2 Tavārīḵẖ 14
1jab abiyāh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use yarūshalam ke us hisse meṅ dafnāyā gayā jo ‘dāūd kā shahar’ kahalātā hai. phir us kā beṭā āsā taḵẖtnashīn huā.
yahūdāh kā bādshāh āsā
āsā kī hukūmat ke tahat mulk meṅ 10 sāl tak amn-o-amān qāim rahā. 2āsā vah kuchh kartā rahā jo rabb us ke ḵẖudā ke nazdīk acchhā aur ṭhīk thā. 3us ne ajnabī mābūdoṅ kī qurbānagāhoṅ ko ūṅchī jagahoṅ ke mandiroṅ samet girā kar devtāoṅ ke liye maḵẖsūs kie gae satūnoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar diyā aur yasīrat devī ke khambe kāṭ ḍāle. 4sāth sāth us ne yahūdāh ke bāshindoṅ ko hidāyat dī ki vah rabb apne bāpdādā ke ḵẖudā ke tālib hoṅ aur us ke ahkām ke tābe raheṅ. 5yahūdāh ke tamām shaharoṅ se us ne baḵẖūr kī qurbāngāheṅ aur ūṅchī jagahoṅ ke mandir dūr kar die. chunāṅche us kī hukūmat ke daurān bādshāhī meṅ sukūn rahā.
6amn-o-amān ke in sāloṅ ke daurān āsā yahūdāh meṅ kaī shaharoṅ kī qil’ābandī kar sakā. jaṅg kā ḵẖatrā nahīṅ thā, kyūṅki rabb ne use sukūn muhayyā kiyā. 7bādshāh ne yahūdāh ke bāshindoṅ se kahā, “āeṅ, ham in shaharoṅ kī qil’ābandī kareṅ! ham in ke ird-gird fasīleṅ banā kar unheṅ burjoṅ, darvāzoṅ aur kuṅḍoṅ se mazbūt kareṅ. kyūṅki ab tak mulk hamāre hāth meṅ hai. chūṅki ham rabb apne ḵẖudā ke tālib rahe haiṅ is liye us ne hameṅ chāroṅ taraf sulah-salāmatī muhayyā kī hai.” chunāṅche qil’ābandī kā kām shurū huā balki takmīl tak pahuṅch sakā.
ethopiyā par fatah
8āsā kī fauj meṅ baṛī ḍhāloṅ aur nezoṅ se les yahūdāh ke 3,00,000 afrād the. is ke ilāvā chhoṭī ḍhāloṅ aur kamānoṅ se musallah binyamīn ke 2,80,000 afrād the. sab tajaribākār faujī the.
9ek din ethopiyā ke bādshāh zārah ne yahūdāh par hamlā kiyā. us ke beshumār faujī aur 300 rath the. baṛhte baṛhte vah maresā tak pahuṅch gayā. 10āsā us kā muqāblā karne ke liye niklā. vādī-e-safātā meṅ donoṅ faujeṅ laṛne ke liye saf’ārā huīṅ. 11āsā ne rabb apne ḵẖudā se iltimās kī, “ai rabb, sirf tū hī bebasoṅ ko tāqatavaroṅ ke hamloṅ se mahfūz rakh saktā hai. ai rabb hamāre ḵẖudā, hamārī madad kar! kyūṅki ham tujh par bharosā rakhte haiṅ. terā hī nām le kar ham is baṛī fauj kā muqāblā karne ke liye nikle haiṅ. ai rabb, tū hī hamārā ḵẖudā hai. aisā na hone de ki insān terī marzī kī ḵẖilāfvarzī karne meṅ kāmyāb ho jāe.”
12tab rabb ne āsā aur yahūdāh ke dekhte dekhte dushman ko shikast dī. ethopiyā ke faujī farār hue, 13aur āsā ne apne faujiyoṅ ke sāth jirār tak un kā tāqqub kiyā. dushman ke itne afrād halāk hue ki us kī fauj bād meṅ bahāl na ho sakī. rabb ḵẖud aur us kī fauj ne dushman ko tabāh kar diyā thā. yahūdāh ke mardoṅ ne bahut sā māl lūṭ liyā. 14vah jirār ke ird-gird ke shaharoṅ par bhī qabzā karne meṅ kāmyāb hue, kyūṅki maqāmī logoṅ meṅ rabb kī dahshat phail gaī thī. natīje meṅ in shaharoṅ se bhī bahut sā māl chhīn liyā gayā. 15is muhimm ke daurān unhoṅ ne gallābānoṅ kī ḵẖaimāgāhoṅ par bhī hamlā kiyā aur un se kasrat kī bheṛ-bakriyāṅ aur ūṅṭ lūṭ kar apne sāth yarūshalam le āe.