2 Tavārīḵẖ 17

yahūdāh kā bādshāh yahūsafat

1āsā ke bād us kā beṭā yahūsafat taḵẖtnashīn huā. us ne yahūdāh kī tāqat baṛhāī tāki vah isrāīl kā muqāblā kar sake. 2yahūdāh ke tamām qil’āband shaharoṅ meṅ us ne daste biṭhāe. yahūdāh ke pūre qabāilī ilāqe meṅ us ne chaukiyāṅ tayyār kar rakhīṅ aur isī tarah ifrāīm ke un shaharoṅ meṅ bhī jo us ke bāp āsā ne isrāīl se chhīn liye the. 3rabb yahūsafat ke sāth thā, kyūṅki vah dāūd ke namūne par chaltā thā aur bāl devtāoṅ ke pīchhe na lagā. 4isrāīl ke bādshāhoṅ ke bar’aks vah apne bāp ke ḵẖudā kā tālib rahā aur us ke ahkām par amal kartā rahā. 5isī liye rabb ne yahūdāh par yahūsafat kī hukūmat ko tāqatvar banā diyā. log tamām yahūdāh se ā kar use tuhfe dete rahe, aur use baṛī daulat aur izzat milī. 6rabb kī rāhoṅ par chalte chalte use baṛā hauslā huā aur natīje meṅ us ne ūṅchī jagahoṅ ke mandiroṅ aur yasīrat devī ke khamboṅ ko yahūdāh se dūr kar diyā.

7apnī hukūmat ke tīsre sāl ke daurān yahūsafat ne apne mulāzimoṅ ko yahūdāh ke tamām shaharoṅ meṅ bhejā tāki vah logoṅ ko rabb kī sharīat kī tālīm deṅ. in afsaroṅ meṅ bin-ḵẖail, abadiyāh, zakariyāh, natanīel aur mīkāyāh shāmil the. 8un ke sāth 9 lāvī banām samāyāh, nataniyāh, zabadiyāh, asāhel, samīrāmot, yahūnatan, adūniyāh, tūbiyāh, aur tūb-adūniyāh the. imāmoṅ kī taraf se ilīsmā aur yahūrām sāth gae. 9rabb kī sharīat kī kitāb apne sāth le kar in ādmiyoṅ ne yahūdāh meṅ shahar-ba-shahar jā kar logoṅ ko tālīm dī.

10us vaqt yahūdāh ke paṛosī mamālik par rabb kā ḵẖauf chhā gayā, aur unhoṅ ne yahūsafat se jaṅg karne kī jur’at na kī. 11ḵẖarāj ke taur par use filistiyoṅ se hadie aur chāṅdī miltī thī, jabki arab use 7,700 meṅḍhe aur 7,700 bakre diyā karte the. 12yūṅ yahūsafat kī tāqat baṛhtī gaī. yahūdāh kī kaī jagahoṅ par us ne qilae aur shāhī godām ke shahar tāmīr kie. 13sāth sāth us ne yahūdāh ke shaharoṅ meṅ zarūriyāt-e-zindagī ke baṛe zaḵẖīre jamā kie aur yarūshalam meṅ tajaribākār faujī rakhe.

14yahūsafat kī fauj ko kuṁboṅ ke mutābiq tartīb diyā gayā thā. yahūdāh ke qabīle kā kamāṅḍar adnā thā. us ke tahat 3,00,000 tajaribākār faujī the. 15us ke ilāvā yūhanān thā jis ke tahat 2,80,000 afrād the 16aur amasiyāh bin zikrī jis ke tahat 2,00,000 afrād the. amasiyāh ne apne āp ko razākārānā taur par rabb kī ḵẖidmat ke liye vaqf kar diyā thā. 17binyamīn ke qabīle kā kamāṅḍar ilyadā thā jo zabardast faujī thā. us ke tahat kamān aur ḍhāloṅ se les 2,00,000 faujī the. 18us ke ilāvā yahūzabad thā jis ke 1,80,000 musallah ādmī the.

19sab fauj meṅ bādshāh kī ḵẖidmat sar’anjām dete the. un meṅ vah faujī nahīṅ shumār kie jāte the jinheṅ bādshāh ne pūre yahūdāh ke qil’āband shaharoṅ meṅ rakhā huā thā.