2 Tavārīḵẖ 21
1jab yahūsafat mar kar apne bāpdādā se jā milā to use yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘dāūd kā shahar’ kahalātā hai ḵẖāndānī qabr meṅ dafan kiyā gayā. phir us kā beṭā yahūrām taḵẖtnashīn huā.
yahūdāh kā bādshāh yahūrām
2yahūsafat ke bāqī beṭe azariyāh, yahīel, zakariyāh, azariyāhū, mīkāel aur safatiyāh the. 3yahūsafat ne unheṅ bahut sonā-chāṅdī aur dīgar qīmtī chīzeṅ de kar yahūdāh ke qil’āband shaharoṅ par muqarrar kiyā thā. lekin yahūrām ko us ne pahalauṭhā hone ke bāis apnā jānshīn banāyā thā. 4bādshāh banne ke bād jab yahūdāh kī hukūmat mazbūtī se us ke hāth meṅ thī to yahūrām ne apne tamām bhāiyoṅ ko yahūdāh ke kuchh rāhanumāoṅ samet qatl kar diyā.
5yahūrām 32 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur vah yarūshalam meṅ rah kar 8 sāl tak hukūmat kartā rahā. 6us kī shādī isrāīl ke bādshāh aḵẖiyab kī beṭī se huī thī, aur vah isrāīl ke bādshāhoṅ aur ḵẖāskar aḵẖiyab ke ḵẖāndān ke bure namūne par chaltā rahā. us kā chāl-chalan rabb ko nāpsand thā. 7to bhī vah dāūd ke gharāne ko tabāh nahīṅ karnā chāhatā thā, kyūṅki us ne dāūd se ahd bāṅdh kar vādā kiyā thā ki terā aur terī aulād kā charāġ hameshā tak jaltā rahegā.
8yahūrām kī hukūmat ke daurān adomiyoṅ ne baġāvat kī aur yahūdāh kī hukūmat ko radd karke apnā bādshāh muqarrar kiyā. 9tab yahūrām apne afsaroṅ aur tamām rathoṅ ko le kar un ke pās pahuṅchā. jab jaṅg chhiṛ gaī to adomiyoṅ ne use aur us ke rathoṅ par muqarrar afsaroṅ ko gher liyā, lekin rāt ko bādshāh gherne vāloṅ kī safoṅ ko toṛne meṅ kāmyāb ho gayā. 10to bhī mulk-e-adom āj tak dubārā yahūdāh kī hukūmat ke tahat nahīṅ āyā. usī vaqt libnā shahar bhī sarkash ho kar ḵẖudmuḵẖtār ho gayā. yah sab kuchh is liye huā ki yahūrām ne rabb apne bāpdādā ke ḵẖudā ko tark kar diyā thā, 11yahāṅ tak ki us ne yahūdāh ke pahāṛī ilāqe meṅ kaī ūṅchī jagahoṅ par mandir banvāe aur yarūshalam ke bāshindoṅ ko rabb se bevafā ho jāne par uksāyā. pūre yahūdāh ko vah butparastī kī ġalat rāh par le āyā.
12tab yahūrām ko ilyās nabī se ḵẖat milā jis meṅ likhā thā, “rabb āp ke bāp dāūd kā ḵẖudā farmātā hai, ‘tū apne bāp yahūsafat aur apne dādā āsā bādshāh ke acchhe namūne par nahīṅ chalā 13balki isrāīl ke bādshāhoṅ kī ġalat rāhoṅ par. bilkul aḵẖiyab ke ḵẖāndān kī tarah tū yarūshalam aur pūre yahūdāh ke bāshindoṅ ko butparastī kī rāh par lāyā hai. aur yah tere liye kāfī nahīṅ thā, balki tū ne apne sage bhāiyoṅ ko bhī jo tujh se behatar the qatl kar diyā. 14is liye rabb terī qaum, tere beṭoṅ aur terī bīviyoṅ ko terī pūrī milkiyat samet baṛī musībat meṅ ḍālne ko hai. 15tū ḵẖud bīmār ho jāegā. lāilāj marz kī zad meṅ ā kar tujhe baṛī der tak taklīf hogī. āḵẖirkār terī aṅtaṛiyāṅ jism se nikaleṅgī’.”
16un dinoṅ meṅ rabb ne filistiyoṅ aur ethopiyā ke paṛos meṅ rahane vāle arab qabīloṅ ko yahūrām par hamlā karne kī taharīk dī. 17yahūdāh meṅ ghus kar vah yarūshalam tak pahuṅch gae aur bādshāh ke mahal ko lūṭne meṅ kāmyāb hue. tamām māl-o-asbāb ke ilāvā unhoṅ ne bādshāh ke beṭoṅ aur bīviyoṅ ko bhī chhīn liyā. sirf sab se chhoṭā beṭā yahūāḵẖaz yānī aḵẖaziyāh bach niklā.
18is ke bād rabb kā ġazab bādshāh par nāzil huā. use lāilāj bīmārī lag gaī jis se us kī aṅtaṛiyāṅ mut’assir huīṅ. 19bādshāh kī hālat bahut ḵẖarāb hotī gaī. do sāl ke bād aṅtaṛiyāṅ jism se nikal gaīṅ. yahūrām shadīd dard kī hālat meṅ kūch kar gayā. janāze par us kī qaum ne us ke ehatirām meṅ lakṛī kā baṛā ḍher na jalāyā, go unhoṅ ne yah us ke bāpdādā ke liye kiyā thā.
20yahūrām 32 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur yarūshalam meṅ rah kar 8 sāl tak hukūmat kartā rahā thā. jab faut huā to kisī ko bhī afsos na huā. use yarūshalam shahar ke us hisse meṅ dafan to kiyā gayā jo ‘dāūd kā shahar’ kahalātā hai, lekin shāhī qabroṅ meṅ nahīṅ.