2 Tavārīḵẖ 22
yahūdāh kā bādshāh aḵẖaziyāh
1yarūshalam ke bāshindoṅ ne yahūrām ke sab se chhoṭe beṭe aḵẖaziyāh ko taḵẖt par biṭhā diyā. bāqī tamām beṭoṅ ko un luṭeroṅ ne qatl kiyā thā jo arboṅ ke sāth shāhī lashkargāh meṅ ghus āe the. yahī vajah thī ki yahūdāh ke bādshāh yahūrām kā beṭā aḵẖaziyāh bādshāh banā. 2vah 22 sāl kī umr meṅ taḵẖtnashīn huā aur yarūshalam meṅ rah kar ek sāl bādshāh rahā. us kī māṅ ataliyāh isrāīl ke bādshāh umrī kī potī thī. 3aḵẖaziyāh bhī aḵẖiyab ke ḵẖāndān ke ġalat namūne par chal paṛā, kyūṅki us kī māṅ use bedīn rāhoṅ par chalne par ubhārtī rahī. 4bāp kī vafāt par vah aḵẖiyab ke gharāne ke mashvre par chalne lagā. natīje meṅ us kā chāl-chalan rabb ko nāpsand thā. āḵẖirkār yahī log us kī halākat kā sabab ban gae.
5in hī ke mashvre par vah isrāīl ke bādshāh yūrām bin aḵẖiyab ke sāth mil kar shām ke bādshāh hazāel se laṛne ke liye niklā. jab rāmāt-jiliād ke qarīb jaṅg chhiṛ gaī to yūrām shām ke faujiyoṅ ke hāthoṅ zaḵẖmī huā 6aur maidān-e-jaṅg ko chhoṛ kar yazrael vāpas āyā tāki zaḵẖm bhar jāeṅ. jab vah vahāṅ ṭhaharā huā thā to yahūdāh kā bādshāh aḵẖaziyāh bin yahūrām us kā hāl pūchhne ke liye yazrael āyā. 7lekin allāh kī marzī thī ki yah mulāqāt aḵẖaziyāh kī halākat kā bāis bane. vahāṅ pahuṅch kar vah yūrām ke sāth yāhū bin nimsī se milne ke liye niklā, vahī yāhū jise rabb ne masah karke aḵẖiyab ke ḵẖāndān ko nest-o-nābūd karne ke liye maḵẖsūs kiyā thā. 8aḵẖiyab ke ḵẖāndān kī adālat karte karte yāhū kī mulāqāt yahūdāh ke kuchh afsaroṅ aur aḵẖaziyāh ke bāz rishtedāroṅ se huī jo aḵẖaziyāh kī ḵẖidmat meṅ us ke sāth āe the. inheṅ qatl karke 9yāhū aḵẖaziyāh ko ḍhūṅḍne lagā. patā chalā ki vah sāmriyā shahar meṅ chhup gayā hai. use yāhū ke pās lāyā gayā jis ne use qatl kar diyā. to bhī use izzat ke sāth dafan kiyā gayā, kyūṅki logoṅ ne kahā, “āḵẖir vah yahūsafat kā potā hai jo pūre dil se rabb kā tālib rahā.” us vaqt aḵẖaziyāh ke ḵẖāndān meṅ koī na pāyā gayā jo bādshāh kā kām saṁbhāl saktā.
ataliyāh kī zālimānā hukūmat
10jab aḵẖaziyāh kī māṅ ataliyāh ko mālūm huā ki merā beṭā mar gayā hai to vah yahūdāh ke pūre shāhī ḵẖāndān ko qatl karne lagī. 11lekin aḵẖaziyāh kī sagī bahan yahūsabā ne aḵẖaziyāh ke chhoṭe beṭe yūās ko chupke se un shahazādoṅ meṅ se nikāl liyā jinheṅ qatl karnā thā aur use us kī dāyā ke sāth ek sṭor meṅ chhupā diyā jis meṅ bistar vaġairā mahfūz rakhe jāte the. vahāṅ vah ataliyāh kī girift se mahfūz rahā. yahūsabā yahoyadā imām kī bīvī thī. 12bād meṅ yūās ko rabb ke ghar meṅ muntaqil kiyā gayā jahāṅ vah un ke sāth un chhah sāloṅ ke daurān chhupā rahā jab ataliyāh malikā thī.