2 Tavārīḵẖ 23

ataliyāh kā anjām aur yūās kī hukūmat

1ataliyāh kī hukūmat ke sātveṅ sāl meṅ yahoyadā ne jur’at karke sau sau faujiyoṅ par muqarrar pāṅch afsaroṅ se ahd bāṅdhā. un ke nām azariyāh bin yarohām, ismāīl bin yūhanān, azariyāh bin obed, māsiyāh bin adāyāh aur ilīsāfat bin zikrī the. 2in ādmiyoṅ ne chupke se yahūdāh ke tamām shaharoṅ meṅ se guzar kar lāviyoṅ aur isrāīlī ḵẖāndānoṅ ke sarparastoṅ ko jamā kiyā aur phir un ke sāth mil kar yarūshalam āe. 3allāh ke ghar meṅ pūrī jamāat ne javān bādshāh yūās ke sāth ahd bāṅdhā.

yahoyadā un se muḵẖātib huā, “hamāre bādshāh kā beṭā hī ham par hukūmat kare, kyūṅki rabb ne muqarrar kiyā hai ki dāūd kī aulād yah zimmādārī saṁbhāle. 4chunāṅche agle sabat ke din āp imāmoṅ aur lāviyoṅ meṅ se jitne ḍyūṭī par āeṅge vah tīn hissoṅ meṅ taqsīm ho jāeṅ. ek hissā rabb ke ghar ke darvāzoṅ par paharā de, 5dūsrā shāhī mahal par aur tīsrā bunyād nāmī darvāze par. bāqī sab ādmī rabb ke ghar ke sahanoṅ meṅ jamā ho jāeṅ. 6ḵẖidmat karne vāle imāmoṅ aur lāviyoṅ ke sivā koī aur rabb ke ghar meṅ dāḵẖil na ho. sirf yahī andar jā sakte haiṅ, kyūṅki rabb ne unheṅ is ḵẖidmat ke liye maḵẖsūs kiyā hai. lāzim hai ki pūrī qaum rabb kī hidāyāt par amal kare. 7bāqī lāvī bādshāh ke ird-gird dāirā banā kar apne hathiyāroṅ ko pakṛe rakheṅ aur jahāṅ bhī vah jāe use ghere rakheṅ. jo bhī rabb ke ghar meṅ ghusne kī koshish kare use mār ḍālnā.”

8lāvī aur yahūdāh ke in tamām mardoṅ ne aisā hī kiyā. agle sabat ke din sab apne bandoṅ samet us ke pās āe, vah bhī jin kī ḍyūṭī thī aur vah bhī jin kī ab chhuṭṭī thī. kyūṅki yahoyadā ne ḵẖidmat karne vāloṅ meṅ se kisī ko bhī jāne kī ijāzat nahīṅ dī thī. 9imām ne sau sau faujiyoṅ par muqarrar afsaroṅ ko dāūd bādshāh ke vah neze aur chhoṭī aur baṛī ḍhāleṅ dīṅ jo ab tak rabb ke ghar meṅ mahfūz rakhī huī thīṅ. 10phir us ne faujiyoṅ ko bādshāh ke ird-gird khaṛā kiyā. har ek apne hathiyār pakṛe tayyār thā. qurbāngāh aur rabb ke ghar ke darmiyān un kā dāirā rabb ke ghar kī junūbī dīvār se le kar us kī shimālī dīvār tak phailā huā thā. 11phir vah yūās ko bāhar lāe aur us ke sar par tāj rakh kar use qavānīn kī kitāb de dī. yūṅ yūās ko bādshāh banā diyā gayā. unhoṅ ne use masah kiyā aur buland āvāz se nārā lagāne lage, “bādshāh zindābād!”

12logoṅ kā shor ataliyāh tak pahuṅchā, kyūṅki sab dauṛ kar jamā ho rahe aur bādshāh kī ḵẖushī meṅ nāre lagā rahe the. vah rabb ke ghar ke sahan meṅ un ke pās āī 13to kyā dekhtī hai ki nayā bādshāh darvāze ke qarīb us satūn ke pās khaṛā hai jahāṅ bādshāh rivāj ke mutābiq khaṛā hotā hai, aur vah afsaroṅ aur turam bajāne vāloṅ se ghirā huā hai. tamām ummat bhī sāth khaṛī turam bajā bajā kar ḵẖushī manā rahī hai. sāth sāth gulūkār apne sāz bajā kar hamd ke gīt gāne meṅ rāhanumāī kar rahe haiṅ. ataliyāh raṅjish ke māre apne kapṛe phāṛ kar chīḵẖ uṭhī, “ġaddārī, ġaddārī!”

14yahoyadā imām ne sau sau faujiyoṅ par muqarrar un afsaroṅ ko bulāyā jin ke sapurd fauj kī gaī thī aur unheṅ hukm diyā, “use bāhar le jāeṅ, kyūṅki munāsib nahīṅ ki use rabb ke ghar ke pās mārā jāe. aur jo bhī us ke pīchhe āe use talvār se mār denā.” 15vah ataliyāh ko pakaṛ kar vahāṅ se bāhar le gae aur use ghoṛoṅ ke darvāze par mār diyā jo shāhī mahal ke pās thā.

16phir yahoyadā ne qaum aur bādshāh ke sāth mil kar rabb se ahd bāṅdh kar vādā kiyā ki ham rabb kī qaum raheṅge. 17is ke bād sab bāl ke mandir par ṭūṭ paṛe aur use ḍhā diyā. us kī qurbānagāhoṅ aur butoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe karke unhoṅ ne bāl ke pujārī mattān ko qurbānagāhoṅ ke sāmne hī mār ḍālā.

18yahoyadā ne imāmoṅ aur lāviyoṅ ko dubārā rabb ke ghar ko saṁbhālne kī zimmādārī dī. dāūd ne unheṅ ḵẖidmat ke liye gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā thā. us kī hidāyāt ke mutābiq un hī ko ḵẖushī manāte aur gīt gāte hue bhasm hone vālī qurbāniyāṅ pesh karnī thīṅ, jis tarah mūsā kī sharīat meṅ likhā hai. 19rabb ke ghar ke darvāzoṅ par yahoyadā ne darbān khaṛe kie tāki aise logoṅ ko andar āne se rokā jāe jo kisī bhī vajah se nāpāk hoṅ.

20phir vah sau sau faujiyoṅ par muqarrar afsaroṅ, asar-o-rasūḵẖ vāloṅ, qaum ke hukmarānoṅ aur bāqī pūrī ummat ke hamrāh julūs nikāl kar bādshāh ko bālāī darvāze se ho kar shāhī mahal meṅ le gayā. vahāṅ unhoṅ ne bādshāh ko taḵẖt par biṭhā diyā, 21aur tamām ummat ḵẖushī manātī rahī. yūṅ yarūshalam shahar ko sukūn milā, kyūṅki ataliyāh ko talvār se mār diyā gayā thā.