2 Tavārīḵẖ 26
yahūdāh kā bādshāh uzziyāh
1yahūdāh ke tamām logoṅ ne amasiyāh kī jagah us ke beṭe uzziyāh ko taḵẖt par biṭhā diyā. us kī umr 16 sāl thī 2jab us kā bāp mar kar apne bāpdādā se jā milā. bādshāh banne ke bād uzziyāh ne ailāt shahar par qabzā karke use dubārā yahūdāh kā hissā banā liyā. us ne shahar meṅ bahut tāmīrī kām karvāyā.
3uzziyāh 16 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur yarūshalam meṅ rah kar 52 sāl hukūmat kartā rahā. us kī māṅ yakūliyāh yarūshalam kī rahane vālī thī. 4apne bāp amasiyāh kī tarah us kā chāl-chalan rabb ko pasand thā. 5imām-e-āzam zakariyāh ke jīte jī uzziyāh rabb kā tālib rahā, kyūṅki zakariyāh use allāh kā ḵẖauf mānne kī tālīm detā rahā. jab tak bādshāh rabb kā tālib rahā us vaqt tak allāh use kāmyābī baḵẖshtā rahā.
6uzziyāh ne filistiyoṅ se jaṅg karke jāt, yabnā aur ashdūd kī fasīloṅ ko ḍhā diyā. dīgar kaī shaharoṅ ko us ne nae sire se tāmīr kiyā jo ashdūd ke qarīb aur filistiyoṅ ke bāqī ilāqe meṅ the. 7lekin allāh ne na sirf filistiyoṅ se laṛte vaqt uzziyāh kī madad kī balki us vaqt bhī jab jūr-bāl meṅ rahane vāle arboṅ aur maūniyoṅ se jaṅg chhiṛ gaī. 8ammoniyoṅ ko uzziyāh ko ḵẖarāj adā karnā paṛā, aur vah itnā tāqatvar banā ki us kī shuharat misr tak phail gaī.
9yarūshalam meṅ uzziyāh ne kone ke darvāze, vādī ke darvāze aur fasīl ke moṛ par mazbūt burj banvāe. 10us ne biyābān meṅ bhī burj tāmīr kie aur sāth sāth patthar ke beshumār hauz tarāshe, kyūṅki maġribī yahūdāh ke nishebī pahāṛī ilāqe aur maidānī ilāqe meṅ us ke baṛe baṛe revaṛ charte the. bādshāh ko kāshtkārī kā kām ḵẖās pasand thā. bahut log pahāṛī ilāqoṅ aur zarḵẖez vādiyoṅ meṅ us ke khetoṅ aur aṅgūr ke bāġoṅ kī nigrānī karte the.
11uzziyāh kī tāqatvar fauj thī. bādshāh ke ālā afsar hananiyāh kī rāhanumāī meṅ mīramunshī yaīel ne afsar māsiyāh ke sāth fauj kī bhartī karke use tartīb diyā thā. 12in dastoṅ par kuṁboṅ ke 2,600 sarparast muqarrar the. 13fauj 3,07,500 jaṅg laṛne ke qābil mardoṅ par mushtamil thī. jaṅg meṅ bādshāh un par pūrā bharosā kar saktā thā. 14uzziyāh ne apne tamām faujiyoṅ ko ḍhāloṅ, nezoṅ, ḵẖodoṅ, zirābaktaroṅ, kamānoṅ aur falāḵẖan ke sāmān se musallah kiyā. 15aur yarūshalam ke burjoṅ aur fasīl ke konoṅ par us ne aisī mashīneṅ lagāeṅ jo tīr chalā saktī aur baṛe baṛe patthar phaiṅk saktī thīṅ.
uzziyāh maġrūr ho jātā hai
ġaraz, allāh kī madad se uzziyāh kī shuharat dūr dūr tak phail gaī, aur us kī tāqat baṛhtī gaī.
16lekin is tāqat ne use maġrūr kar diyā, aur natīje meṅ vah ġalat rāh par ā gayā. rabb apne ḵẖudā kā bevafā ho kar vah ek din rabb ke ghar meṅ ghus gayā tāki baḵẖūr kī qurbāngāh par baḵẖūr jalāe. 17lekin imām-e-āzam azariyāh rabb ke mazīd 80 bahādur imāmoṅ ko apne sāth le kar us ke pīchhe pīchhe gayā. 18unhoṅ ne bādshāh uzziyāh kā sāmnā karke kahā, “munāsib nahīṅ ki āp rabb ko baḵẖūr kī qurbānī pesh kareṅ. yah hārūn kī aulād yānī imāmoṅ kī zimmādārī hai jinheṅ is ke liye maḵẖsūs kiyā gayā hai. maqdis se nikal jāeṅ, kyūṅki āp allāh se bevafā ho gae haiṅ, aur āp kī yah harkat rabb ḵẖudā ke sāmne izzat kā bāis nahīṅ banegī.” 19uzziyāh baḵẖūradān ko pakṛe baḵẖūr ko pesh karne ko thā ki imāmoṅ kī bāteṅ sun kar āg-bagūlā ho gayā. lekin usī lamhe us ke māthe par koṛh phūṭ niklā. 20yah dekh kar imām-e-āzam azariyāh aur dīgar imāmoṅ ne use jaldī se rabb ke ghar se nikāl diyā. uzziyāh ne ḵẖud bhī vahāṅ se nikalne kī jaldī kī, kyūṅki rabb hī ne use sazā dī thī.
21uzziyāh jīte jī is bīmārī se shifā na pā sakā. use alāhidā ghar meṅ rahanā paṛā, aur use rabb ke ghar meṅ dāḵẖil hone kī ijāzat nahīṅ thī. us ke beṭe yūtām ko mahal par muqarrar kiyā gayā, aur vahī ummat par hukūmat karne lagā.
22bāqī jo kuchh uzziyāh kī hukūmat ke daurān shurū se le kar āḵẖir tak huā vah āmūs ke beṭe yasāyāh nabī ne qalamband kiyā hai. 23jab uzziyāh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use koṛh kī vajah se dūsre bādshāhoṅ ke sāth nahīṅ dafnāyā gayā balki qarīb ke ek khet meṅ jo shāhī ḵẖāndān kā thā. phir us kā beṭā yūtām taḵẖtnashīn huā.