2 Tavārīḵẖ 3
rabb ke ghar kī tāmīr
1sulemān ne rabb ke ghar ko yarūshalam kī pahāṛī moriyāh par tāmīr kiyā. us kā bāp dāūd yah maqām muqarrar kar chukā thā. yahīṅ jahāṅ pahale urnān yānī araunāh yabūsī apnā anāj gāhatā thā rabb dāūd par zāhir huā thā. 2tāmīr kā yah kām sulemān kī hukūmat ke chauthe sāl ke dūsre māh aur us ke dūsre din shurū huā.
3makān kī lambāī 90 fuṭ aur chauṛāī 30 fuṭ thī. 4sāmne ek barāmdā banāyā gayā jo imārat jitnā chauṛā yānī 30 fuṭ aur 30 fuṭ ūṅchā thā. us kī andrūnī dīvāroṅ par us ne ḵẖālis sonā chaṛhāyā. 5baṛe hāl kī dīvāroṅ par us ne ūpar se le kar nīche tak jūnīpar kī lakṛī ke taḵẖte lagāe, phir taḵẖtoṅ par ḵẖālis sonā maṅḍhvā kar unheṅ khajūr ke daraḵẖtoṅ aur zanjīroṅ kī tasvīroṅ se ārāstā kiyā. 6sulemān ne rabb ke ghar ko javāhir se bhī sajāyā. jo sonā istemāl huā vah parvāim se maṅgavāyā gayā thā. 7sonā makān, tamām shahatīroṅ, dahalīzoṅ, dīvāroṅ aur darvāzoṅ par maṅḍhā gayā. dīvāroṅ par karūbī farishtoṅ kī tasvīreṅ bhī kandā kī gaīṅ.
muqaddastarīn kamrā
8imārat kā sab se andrūnī kamrā banām muqaddastarīn kamrā imārat jaisā chauṛā yānī 30 fuṭ thā. us kī lambāī bhī 30 fuṭ thī. is kamre kī tamām dīvāroṅ par 20,000 kilogrām se zāid sonā maṅḍhā gayā. 9sone kī kīloṅ kā vazan taqrīban 600 grām thā. bālāḵẖānoṅ kī dīvāroṅ par bhī sonā maṅḍhā gayā.
10phir sulemān ne karūbī farishtoṅ ke do mujassme banvāe jinheṅ muqaddastarīn kamre meṅ rakhā gayā. un par bhī sonā chaṛhāyā gayā. 11-13 jab donoṅ farishtoṅ ko ek dūsre ke sāth muqaddastarīn kamre meṅ khaṛā kiyā gayā to un ke chār paroṅ kī mil kar lambāī 30 fuṭ thī. har ek ke do par the, aur har par kī lambāī sāḍhe sāt sāt fuṭ thī. unheṅ muqaddastarīn kamre meṅ yūṅ ek dūsre ke sāth khaṛā kiyā gayā ki har farishte kā ek par dūsre ke par se lagtā jabki dāīṅ aur bāīṅ taraf har ek kā dūsrā par dīvār ke sāth lagtā thā. vah apne pāoṅ par khaṛe baṛe hāl kī taraf dekhte the. 14muqaddastarīn kamre ke darvāze par sulemān ne bārīk katān se bunā huā pardā lagvāyā. vah nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg ke dhāge se sajā huā thā, aur us par karūbī farishtoṅ kī tasvīreṅ thīṅ.
rabb ke ghar ke darvāze par do satūn
15sulemān ne do satūn ḍhalvā kar rabb ke ghar ke darvāze ke sāmne khaṛe kie. har ek 27 fuṭ lambā thā, aur har ek par ek bālāī hissā rakhā gayā jis kī ūṅchāī sāḍhe 7 fuṭ thī. 16in bālāī hissoṅ ko zanjīroṅ se sajāyā gayā jin se sau anār laṭke hue the. 17donoṅ satūnoṅ ko sulemān ne rabb ke ghar ke darvāze ke dāīṅ aur bāīṅ taraf khaṛā kiyā. dahane hāth ke satūn kā nām us ne ‘yakīn’ aur bāeṅ hāth ke satūn kā nām ‘boaz’ rakhā.