2 Tavārīḵẖ 4
qurbāngāh aur samundar nāmī hauz
1sulemān ne pītal kī ek qurbāngāh bhī banvāī jis kī lambāī 30 fuṭ, chauṛāī 30 fuṭ aur ūṅchāī 15 fuṭ thī.
2is ke bād us ne pītal kā baṛā gol hauz ḍhalvāyā jis kā nām ‘samundar’ rakhā gayā. us kī ūṅchāī sāḍhe 7 fuṭ, us kā muṅh 15 fuṭ chauṛā aur us kā gherā taqrīban 45 fuṭ thā. 3hauz ke kināre ke nīche bailoṅ kī do qatāreṅ thīṅ. fī fuṭ taqrīban 6 bail the. bail aur hauz mil kar ḍhāle gae the. 4hauz ko bailoṅ ke 12 mujassamoṅ par rakhā gayā. tīn bailoṅ kā ruḵẖ shimāl kī taraf, tīn kā ruḵẖ maġrib kī taraf, tīn kā ruḵẖ junūb kī taraf aur tīn kā ruḵẖ mashriq kī taraf thā. un ke pichhle hisse hauz kī taraf the, aur hauz un ke kaṅdhoṅ par paṛā thā. 5hauz kā kinārā piyāle balki sosan ke phūl kī tarah bāhar kī taraf muṛā huā thā. us kī dīvār taqrīban tīn iṅch moṭī thī, aur hauz meṅ pānī ke taqrīban 66,000 liṭar samā jāte the.
6sulemān ne 10 bāsan ḍhalvāe. pāṅch ko rabb ke ghar ke dāeṅ hāth aur pāṅch ko us ke bāeṅ hāth khaṛā kiyā gayā. in bāsnoṅ meṅ gosht ke vah ṭukṛe dhoe jāte jinheṅ bhasm hone vālī qurbānī ke taur par jalānā thā. lekin ‘samundar’ nāmī hauz imāmoṅ ke istemāl ke liye thā. us meṅ vah nahāte the.
sone ke shamādān aur mezeṅ
7sulemān ne sone ke 10 shamādān muqarrarā tafsīlāt ke mutābiq banvā kar rabb ke ghar meṅ rakh die, pāṅch ko dāīṅ taraf aur pāṅch ko bāīṅ taraf. 8das mezeṅ bhī banā kar rabb ke ghar meṅ rakhī gaīṅ, pāṅch ko dāīṅ taraf aur pāṅch ko bāīṅ taraf. in chīzoṅ ke ilāvā sulemān ne chhiṛkāo ke sone ke 100 kaṭore banvāe.
sahan
9phir sulemān ne vah andrūnī sahan banvāyā jis meṅ sirf imāmoṅ ko dāḵẖil hone kī ijāzat thī. us ne baṛā sahan bhī us ke darvāzoṅ samet banvāyā. darvāzoṅ ke kivāṛoṅ par pītal chaṛhāyā gayā. 10‘samundar’ nāmī hauz ko sahan ke junūb-mashriq meṅ rakhā gayā.
us sāmān kī faharist jo hīrām ne tayyār kiyā
11hīrām ne bāsan, belache aur chhiṛkāo ke kaṭore bhī banāe. yūṅ us ne allāh ke ghar meṅ vah sārā kām mukammal kiyā jis ke liye sulemān bādshāh ne use bulāyā thā. us ne zail kī chīzeṅ banāīṅ :
12do satūn,
satūnoṅ par lage piyālānumā bālāī hisse,
bālāī hissoṅ par lagī zanjīroṅ kā ḍizāin,
13zanjīroṅ ke ūpar lage anār (fī bālāī hissā 200 adad),
14hathgāṛiyāṅ,
in par ke pānī ke bāsan,
15hauz banām samundar,
ise uṭhāne vāle bail ke 12 mujassme,
16bālṭiyāṅ, belache, gosht ke kāṅṭe.
tamām sāmān jo hīrām-abī ne sulemān ke hukm par rabb ke ghar ke liye banāyā pītal se ḍhāl kar pālish kiyā gayā thā. 17bādshāh ne use vādī-e-yardan meṅ sukkāt aur zartān ke darmiyān ḍhalvāyā. vahāṅ ek fauṅḍrī thī jahāṅ hīrām ne gāre se sāṅche banā kar har chīz ḍhāl dī. 18is sāmān ke liye sulemān bādshāh ne itnā ziyādā pītal istemāl kiyā ki us kā kul vazan mālūm na ho sakā.
rabb ke ghar ke andar sone kā sāmān
19allāh ke ghar ke andar ke liye sulemān ne darj-e-zail sāmān banvāyā :
sone kī qurbāngāh,
sone kī vah mezeṅ jin par rabb ke liye maḵẖsūs roṭiyāṅ paṛī rahatī thīṅ,
20ḵẖālis sone ke vah shamādān aur charāġ jin ko qavāid ke mutābiq muqaddastarīn kamre ke sāmne jalnā thā,
21ḵẖālis sone ke vah phūl jin se shamādān ārāstā the,
ḵẖālis sone ke charāġ aur battī ko bujhāne ke auzār,
22charāġ ko katarne ke ḵẖālis sone ke auzār, chhiṛkāo ke ḵẖālis sone ke kaṭore aur piyāle,
jalte hue koile ke liye ḵẖālis sone ke bartan,
muqaddastarīn kamre aur baṛe hāl ke darvāze.