2 Salātīn 15

yahūdāh kā bādshāh uzziyāh

1uzziyāh bin amasiyāh isrāīl ke bādshāh yarubiām duvum kī hukūmat ke 27veṅ sāl meṅ yahūdāh kā bādshāh banā. 2us vaqt us kī umr 16 sāl thī, aur vah yarūshalam meṅ rah kar 52 sāl hukūmat kartā rahā. us kī māṅ yakūliyāh yarūshalam kī rahane vālī thī. 3apne bāp amasiyāh kī tarah us kā chāl-chalan rabb ko pasand thā, 4lekin ūṅchī jagahoṅ ko dūr na kiyā gayā, aur ām log vahāṅ apnī qurbāniyāṅ chaṛhāte aur baḵẖūr jalāte rahe.

5ek din rabb ne bādshāh ko sazā dī ki use koṛh lag gayā. uzziyāh jīte jī is bīmārī se shifā na pā sakā, aur use alāhidā ghar meṅ rahanā paṛā. us ke beṭe yūtām ko mahal par muqarrar kiyā gayā, aur vahī ummat par hukūmat karne lagā.

6bāqī jo kuchh uzziyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā vah ‘shāhān-e-yahūdāh kī tārīḵẖ’ kī kitāb meṅ darj hai. 7jab vah mar kar apne bāpdādā se jā milā to use yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘dāūd kā shahar’ kahalātā hai ḵẖāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā. phir us kā beṭā yūtām taḵẖtnashīn huā.

isrāīl kā bādshāh zakariyāh

8zakariyāh bin yarubiām yahūdāh ke bādshāh uzziyāh kī hukūmat ke 38veṅ sāl meṅ isrāīl kā bādshāh banā. us kā dār-ul-hakūmat bhī sāmriyā thā, lekin chhah māh ke bād us kī hukūmat ḵẖatm ho gaī. 9apne bāpdādā kī tarah zakariyāh kā chāl-chalan bhī rabb ko nāpsand thā. vah un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par yarubiām bin nabāt ne isrāīl ko uksāyā thā. 10sallūm bin yabīs ne us ke ḵẖilāf sāzish karke use sab ke sāmne qatl kiyā. phir vah us kī jagah bādshāh ban gayā.

11bāqī jo kuchh zakariyāh kī hukūmat ke daurān huā us kā zikr ‘shāhān-e-isrāīl kī tārīḵẖ’ kī kitāb meṅ kiyā gayā hai.

12yūṅ rabb kā vah vādā pūrā huā jo us ne yāhū se kiyā thā, “terī aulād chauthī pusht tak isrāīl par hukūmat kartī rahegī.”

isrāīl kā bādshāh sallūm

13sallūm bin yabīs yahūdāh ke bādshāh uzziyāh ke 39veṅ sāl meṅ isrāīl kā bādshāh banā. vah sāmriyā meṅ rah kar sirf ek māh tak taḵẖt par baiṭh sakā. 14phir manāhim bin jādī ne tirzā se ā kar sallūm ko sāmriyā meṅ qatl kar diyā. is ke bād vah ḵẖud taḵẖt par baiṭh gayā.

15bāqī jo kuchh sallūm kī hukūmat ke daurān huā aur jo sāzisheṅ us ne kīṅ vah ‘shāhān-e-isrāīl kī tārīḵẖ’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai.

16us vaqt manāhim ne tirzā se ā kar shahar tifsah ko us ke tamām bāshindoṅ aur gird-o-navāh ke ilāqe samet tabāh kiyā. vajah yah thī ki us ke bāshinde apne darvāzoṅ ko khol kar us ke tābe ho jāne ke liye tayyār nahīṅ the. javāb meṅ manāhim ne un ko mārā aur tamām hāmilā aurtoṅ ke peṭ chīr ḍāle.

isrāīl kā bādshāh manāhim

17manāhim bin jādī yahūdāh ke bādshāh uzziyāh kī hukūmat ke 39veṅ sāl meṅ isrāīl kā bādshāh banā. sāmriyā us kā dār-ul-hakūmat thā, aur us kī hukūmat kā daurāniyā 10 sāl thā. 18us kā chāl-chalan rabb ko nāpsand thā, aur vah zindagī bhar un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par yarubiām bin nabāt ne isrāīl ko uksāyā thā.

19-20 manāhim ke daur-e-hukūmat meṅ asūr kā bādshāh pūl yānī tiglat-pilesar mulk se laṛne āyā. manāhim ne use 34,000 kilogrām chāṅdī de dī tāki vah us kī hukūmat mazbūt karne meṅ madad kare. tab asūr kā bādshāh isrāīl ko chhoṛ kar apne mulk vāpas chalā gayā. chāṅdī ke yah paise manāhim ne amīr isrāīliyoṅ se jamā kie. har ek ko chāṅdī ke 50 sikke adā karne paṛe.

21bāqī jo kuchh manāhim kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā vah ‘shāhān-e-isrāīl kī tārīḵẖ’ kī kitāb meṅ darj hai. 22jab vah mar kar apne bāpdādā se jā milā to us kā beṭā fiqahiyāh taḵẖt par baiṭh gayā.

isrāīl kā bādshāh fiqahiyāh

23fiqahiyāh bin manāhim yahūdāh ke bādshāh uzziyāh ke 50veṅ sāl meṅ isrāīl kā bādshāh banā. sāmriyā meṅ rah kar us kī hukūmat kā daurāniyā do sāl thā. 24fiqahiyāh kā chāl-chalan rabb ko nāpsand thā. vah un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par yarubiām bin nabāt ne isrāīl ko uksāyā thā.

25ek din fauj ke ālā afsar fiqah bin ramaliyāh ne us ke ḵẖilāf sāzish kī. jiliād ke 50 ādmiyoṅ ko apne sāth le kar us ne fiqahiyāh ko sāmriyā ke mahal ke burj meṅ mār ḍālā. us vaqt do aur afsar banām arjūb aur ariyā bhī us kī zad meṅ ā kar mar gae. is ke bād fiqah taḵẖt par baiṭh gayā.

26bāqī jo kuchh fiqahiyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā vah ‘shāhān-e-isrāīl kī tārīḵẖ’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai.

isrāīl kā bādshāh fiqah

27fiqah bin ramaliyāh yahūdāh ke bādshāh uzziyāh kī hukūmat ke 52veṅ sāl meṅ isrāīl kā bādshāh banā. sāmriyā meṅ rah kar vah 20 sāl tak hukūmat kartā rahā. 28fiqah kā chāl-chalan rabb ko nāpsand thā. vah un gunāhoṅ se bāz na āyā jo karne par yarubiām bin nabāt ne isrāīl ko uksāyā thā.

29fiqah ke daur-e-hukūmat meṅ asūr ke bādshāh tiglat-pilesar ne isrāīl par hamlā kiyā. zail ke tamām shahar us ke qabze meṅ ā gae : aiyyūn, abīl-bait-mākā, yānūh, qādis aur hasūr. jiliād aur galīl ke ilāqe bhī naftālī ke pūre qabāilī ilāqe samet us kī girift meṅ ā gae. asūr kā bādshāh in tamām jagahoṅ meṅ ābād logoṅ ko giriftār karke apne mulk asūr le gayā.

30ek din hosea bin ailā ne fiqah ke ḵẖilāf sāzish karke use maut ke ghāṭ utār diyā. phir vah ḵẖud taḵẖt par baiṭh gayā. yah yahūdāh ke bādshāh yūtām bin uzziyāh kī hukūmat ke 20veṅ sāl meṅ huā.

31bāqī jo kuchh fiqah kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā vah ‘shāhān-e-isrāīl kī tārīḵẖ’ kī kitāb meṅ darj hai.

yahūdāh kā bādshāh yūtām

32uzziyāh kā beṭā yūtām isrāīl ke bādshāh fiqah kī hukūmat ke dūsre sāl meṅ yahūdāh kā bādshāh banā. 33vah 25 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur yarūshalam meṅ rah kar 16 sāl hukūmat kartā rahā. us kī māṅ yarūsā bint sadoq thī. 34vah apne bāp uzziyāh kī tarah vah kuchh kartā rahā jo rabb ko pasand thā. 35to bhī ūṅchī jagahoṅ ke mandir haṭāe na gae. log vahāṅ apnī qurbāniyāṅ chaṛhāne aur baḵẖūr jalāne se bāz na āe. yūtām ne rabb ke ghar kā bālāī darvāzā tāmīr kiyā.

36bāqī jo kuchh yūtām kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā vah ‘shāhān-e-yahūdāh kī tārīḵẖ’ kī kitāb meṅ qalamband hai. 37un dinoṅ meṅ rabb shām ke bādshāh razīn aur fiqah bin ramaliyāh ko yahūdāh ke ḵẖilāf bhejne lagā tāki us se laṛeṅ. 38jab yūtām mar kar apne bāpdādā se jā milā to use yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘dāūd kā shahar’ kahalātā hai ḵẖāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā. phir us kā beṭā āḵẖaz taḵẖt par baiṭh gayā.