2 Salātīn 20
allāh hizaqiyāh ko shifā detā hai
1un dinoṅ meṅ hizaqiyāh itnā bīmār huā ki marne kī naubat ā pahuṅchī. āmūs kā beṭā yasāyāh nabī us se milne āyā aur kahā, “rabb farmātā hai ki apne ghar kā band-o-bast kar le, kyūṅki tujhe marnā hai. tū is bīmārī se shifā nahīṅ pāegā.”
2yah sun kar hizaqiyāh ne apnā muṅh dīvār kī taraf pher kar duā kī, 3“ai rabb, yād kar ki maiṅ vafādārī aur ḵẖulūsdilī se tere sāmne chaltā rahā hūṅ, ki maiṅ vah kuchh kartā āyā hūṅ jo tujhe pasand hai.” phir vah phūṭ phūṭ kar rone lagā.
4itne meṅ yasāyāh chalā gayā thā. lekin vah abhī andrūnī sahan se niklā nahīṅ thā ki use rabb kā kalām milā, 5“merī qaum ke rāhanumā hizaqiyāh ke pās vāpas jā kar use batā denā ki rabb tere bāp dāūd kā ḵẖudā farmātā hai, ‘maiṅ ne terī duā sun lī aur tere āṅsū dekhe haiṅ. maiṅ tujhe shifā dūṅgā. parsoṅ tū dubārā rabb ke ghar meṅ jāegā. 6maiṅ terī zindagī meṅ 15 sāl kā izāfā karūṅgā. sāth sāth maiṅ tujhe aur is shahar ko asūr ke bādshāh se bachā lūṅgā. maiṅ apnī aur apne ḵẖādim dāūd kī ḵẖātir shahar kā difā karūṅgā’.”
7phir yasāyāh ne hukm diyā, “anjīr kī ṭikkī lā kar bādshāh ke nāsūr par bāṅdh do!” jab aisā kiyā gayā to hizaqiyāh ko shifā milī. 8pahale hizaqiyāh ne yasāyāh se pūchhā thā, “rabb mujhe kaun sā nishān degā jis se mujhe yaqīn āe ki vah mujhe shifā degā aur ki maiṅ parsoṅ dubārā rabb ke ghar kī ibādat meṅ sharīk hūṅgā?” 9yasāyāh ne javāb diyā, “rabb dhūpaghṛī kā sāyā das darje āge karegā yā das darje pīchhe. is se āp jān leṅge ki vah apnā vādā pūrā karegā. āp kyā chāhate haiṅ, kyā sāyā das darje āge chale yā das darje pīchhe?” 10hizaqiyāh ne javāb diyā, “yah karvānā ki sāyā das darje āge chale āsān kām hai. nahīṅ, vah das darje pīchhe jāe.”
11tab yasāyāh nabī ne rabb se duā kī, aur rabb ne āḵẖaz kī banāī huī dhūpaghṛī kā sāyā das darje pīchhe kar diyā.
hizaqiyāh se saṅgīn ġaltī hotī hai
12thoṛī der ke bād bābal ke bādshāh marūdak-baldān bin baldān ne hizaqiyāh kī bīmārī kī ḵẖabar sun kar vafad ke hāth ḵẖat aur tuhfe bheje. 13hizaqiyāh ne vafad kā istiqbāl karke use vah tamām ḵẖazāne dikhāe jo zaḵẖīrāḵẖāne meṅ mahfūz rakhe gae the yānī tamām sonā-chāṅdī, balsān kā tel aur bāqī qīmtī tel. us ne aslihāḵẖānā aur bāqī sab kuchh bhī dikhāyā jo us ke ḵẖazānoṅ meṅ thā. pūre mahal aur pūre mulk meṅ koī ḵẖās chīz na rahī jo us ne unheṅ na dikhāī. 14tab yasāyāh nabī hizaqiyāh bādshāh ke pās āyā aur pūchhā, “in ādmiyoṅ ne kyā kahā? kahāṅ se āe haiṅ?” hizaqiyāh ne javāb diyā, “dūrdarāz mulk bābal se āe haiṅ.” 15yasāyāh bolā, “unhoṅ ne mahal meṅ kyā kuchh dekhā?” hizaqiyāh ne kahā, “unhoṅ ne mahal meṅ sab kuchh dekh liyā hai. mere ḵẖazānoṅ meṅ koī chīz na rahī jo maiṅ ne unheṅ nahīṅ dikhāī.”
16tab yasāyāh ne kahā, “rabb kā farmān suneṅ! 17ek din āne vālā hai ki tere mahal kā tamām māl chhīn liyā jāegā. jitne bhī ḵẖazāne tū aur tere bāpdādā ne āj tak jamā kie haiṅ un sab ko dushman bābal le jāegā. rabb farmātā hai ki ek bhī chīz pīchhe nahīṅ rahegī. 18tere beṭoṅ meṅ se bhī bāz chhīn liye jāeṅge, aise jo ab tak paidā nahīṅ hue. tab vah ḵẖwājāsarā ban kar shāh-e-bābal ke mahal meṅ ḵẖidmat kareṅge.”
19hizaqiyāh bolā, “rabb kā jo paiġām āp ne mujhe diyā hai vah ṭhīk hai.” kyūṅki us ne sochā, “baṛī bāt yah hai ki mere jīte jī amn-o-amān hogā.”
hizaqiyāh kī maut
20bāqī jo kuchh hizaqiyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kāmyābiyāṅ use hāsil huīṅ vah ‘shāhān-e-yahūdāh kī tārīḵẖ’ kī kitāb meṅ darj haiṅ. vahāṅ yah bhī bayān kiyā gayā hai ki us ne kis tarah tālāb banvā kar vah suraṅg khudvāī jis ke zarīe chashme kā pānī shahar tak pahuṅchtā hai. 21jab hizaqiyāh mar kar apne bāpdādā se jā milā to us kā beṭā manassī taḵẖtnashīn huā.