2 Salātīn 21

yahūdāh kā bādshāh manassī

1manassī 12 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā 55 sāl thā. us kī māṅ hifsībāh thī. 2manassī kā chāl-chalan rabb ko nāpsand thā. us ne un qaumoṅ ke qābil-e-ghin rasm-o-rivāj apnā liye jinheṅ rabb ne isrāīliyoṅ ke āge se nikāl diyā thā. 3ūṅchī jagahoṅ ke jin mandiroṅ ko us ke bāp hizaqiyāh ne ḍhā diyā thā unheṅ us ne nae sire se tāmīr kiyā. us ne bāl devtā kī qurbāngāheṅ banvāīṅ aur yasīrat devī kā khambā khaṛā kiyā, bilkul usī tarah jis tarah isrāīl ke bādshāh aḵẖiyab ne kiyā thā. in ke ilāvā vah sūraj, chāṅd balki āsmān ke pūre lashkar ko sijdā karke un kī ḵẖidmat kartā thā. 4us ne rabb ke ghar meṅ bhī apnī qurbāngāheṅ khaṛī kīṅ, hālāṅki rabb ne is maqām ke bāre meṅ farmāyā thā, “maiṅ yarūshalam meṅ apnā nām qāim karūṅgā.” 5lekin manassī ne parvā na kī balki rabb ke ghar ke donoṅ sahanoṅ meṅ āsmān ke pūre lashkar ke liye qurbāngāheṅ banvāīṅ. 6yahāṅ tak ki us ne apne beṭe ko bhī qurbān karke jalā diyā. jādūgrī aur ġaibdānī karne ke ilāvā vah murdoṅ kī rūhoṅ se rābitā karne vāloṅ aur rammāloṅ se bhī mashvrā kartā thā.

ġaraz us ne bahut kuchh kiyā jo rabb ko nāpsand thā aur use taish dilāyā. 7yasīrat devī kā khambā banvā kar us ne use rabb ke ghar meṅ khaṛā kiyā, hālāṅki rabb ne dāūd aur us ke beṭe sulemān se kahā thā, “is ghar aur is shahar yarūshalam meṅ jo maiṅ ne tamām isrāīlī qabīloṅ meṅ se chun liyā hai maiṅ apnā nām abad tak qāim rakhūṅgā. 8agar isrāīlī ehatiyāt se mere un tamām ahkām kī pairvī kareṅ jo mūsā ne sharīat meṅ unheṅ die to maiṅ kabhī nahīṅ hone dūṅgā ki isrāīliyoṅ ko us mulk se jilāvatan kar diyā jāe jo maiṅ ne un ke bāpdādā ko atā kiyā thā.” 9lekin log rabb ke tābe na rahe, aur manassī ne unheṅ aise ġalat kām karne par uksāyā jo un qaumoṅ se bhī sarzad nahīṅ hue the jinheṅ rabb ne mulk meṅ dāḵẖil hote vaqt un ke āge se tabāh kar diyā thā.

10āḵẖirkār rabb ne apne ḵẖādimoṅ yānī nabiyoṅ kī mārifat elān kiyā, 11“yahūdāh ke bādshāh manassī se qābil-e-ghin gunāh sarzad hue haiṅ. us kī harkateṅ mulk meṅ isrāīl se pahale rahane vāle amoriyoṅ kī nisbat kahīṅ ziyādā sharīr haiṅ. apne butoṅ se us ne yahūdāh ke bāshindoṅ ko gunāh karne par uksāyā hai. 12chunāṅche rabb isrāīl kā ḵẖudā farmātā hai, ‘maiṅ yarūshalam aur yahūdāh par aisī āfat nāzil karūṅgā ki jise bhī is kī ḵẖabar milegī us ke kān bajne lageṅge. 13maiṅ yarūshalam ko usī nāp se nāpūṅgā jis se sāmriyā ko nāp chukā hūṅ. maiṅ use us tarāzū meṅ rakh kar tolūṅgā jis meṅ aḵẖiyab kā gharānā tol chukā hūṅ. jis tarah bartan safāī karte vaqt poṅchh kar ulṭe rakhe jāte haiṅ usī tarah maiṅ yarūshalam kā safāyā kar dūṅgā. 14us vaqt maiṅ apnī mīrās kā bachā khachā hissā bhī tark kar dūṅgā. maiṅ unheṅ un ke dushmanoṅ ke havāle kar dūṅgā jo un kī lūṭ-mār kareṅge. 15aur vajah yahī hogī ki un se aisī harkateṅ sarzad huī haiṅ jo mujhe nāpsand haiṅ. us din se le kar jab un ke bāpdādā misr se nikal āe āj tak vah mujhe taish dilāte rahe haiṅ’.”

16lekin manassī ne na sirf yahūdāh ke bāshindoṅ ko butparastī aur aise kām karne par uksāyā jo rabb ko nāpsand the balki us ne beshumār bequsūr logoṅ ko qatl bhī kiyā. un ke ḵẖūn se yarūshalam ek sire se dūsre sire tak bhar gayā.

17bāqī jo kuchh manassī kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā vah ‘shāhān-e-yahūdāh kī tārīḵẖ’ kī kitāb meṅ darj hai. us meṅ us ke gunāhoṅ kā zikr bhī kiyā gayā hai. 18jab vah mar kar apne bāpdādā se jā milā to use us ke mahal ke bāġ meṅ dafnāyā gayā jo uzzā kā bāġ kahalātā hai. phir us kā beṭā amūn taḵẖtnashīn huā.

yahūdāh kā bādshāh amūn

19amūn 22 sāl kī umr meṅ bādshāh banā aur do sāl tak yarūshalam meṅ hukūmat kartā rahā. us kī māṅ masullimat bint harūs yutbā kī rahane vālī thī. 20apne bāp manassī kī tarah amūn aisā ġalat kām kartā rahā jo rabb ko nāpsand thā. 21vah har tarah se apne bāp ke bure namūne par chal kar un butoṅ kī ḵẖidmat aur pūjā kartā rahā jin kī pūjā us kā bāp kartā āyā thā. 22rabb apne bāpdādā ke ḵẖudā ko us ne tark kiyā, aur vah us kī rāhoṅ par nahīṅ chaltā thā.

23ek din amūn ke kuchh afsaroṅ ne us ke ḵẖilāf sāzish karke use mahal meṅ qatl kar diyā. 24lekin ummat ne tamām sāzish karne vāloṅ ko mār ḍālā aur amūn ke beṭe yūsiyāh ko bādshāh banā diyā.

25bāqī jo kuchh amūn kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā vah ‘shāhān-e-yahūdāh kī tārīḵẖ’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. 26use uzzā ke bāġ meṅ us kī apnī qabr meṅ dafan kiyā gayā. phir us kā beṭā yūsiyāh taḵẖtnashīn huā.