2 Salātīn 22
yahūdāh kā bādshāh yūsiyāh
1yūsiyāh 8 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur yarūshalam meṅ rah kar us kī hukūmat kā daurāniyā 31 sāl thā. us kī māṅ yadīdā bint adāyāh busqat kī rahane vālī thī. 2yūsiyāh vah kuchh kartā rahā jo rabb ko pasand thā. vah har bāt meṅ apne bāp dāūd ke acchhe namūne par chaltā rahā aur us se na dāīṅ, na bāīṅ taraf haṭā.
3apnī hukūmat ke 18veṅ sāl meṅ yūsiyāh bādshāh ne apne mīramunshī sāfan bin asaliyāh bin masullām ko rabb ke ghar ke pās bhej kar kahā, 4“imām-e-āzam ḵẖilaqiyāh ke pās jā kar use batā denā ki un tamām paisoṅ ko gin leṅ jo darbānoṅ ne logoṅ se jamā kie haiṅ. 5-6 phir paise un ṭhekedāroṅ ko de deṅ jo rabb ke ghar kī marammat karvā rahe haiṅ tāki vah kārīgaroṅ, tāmīr karne vāloṅ aur rājoṅ kī ujrat adā kar sakeṅ. in paisoṅ se vah darāṛoṅ ko ṭhīk karne ke liye darkār lakṛī aur tarāshe hue patthar bhī ḵẖarīdeṅ. 7ṭhekedāroṅ ko aḵẖrājāt kā hisāb-kitāb dene kī zarūrat nahīṅ hai, kyūṅki vah qābil-e-etimād haiṅ.”
rabb ke ghar se sharīat kī kitāb mil jātī hai
8jab mīramunshī sāfan ḵẖilaqiyāh ke pās pahuṅchā to imām-e-āzam ne use ek kitāb dikhā kar kahā, “mujhe rabb ke ghar meṅ sharīat kī kitāb milī hai.” us ne use sāfan ko de diyā jis ne use paṛh liyā. 9tab sāfan bādshāh ke pās gayā aur use ittilā dī, “ham ne rabb ke ghar meṅ jamāshudā paise marammat par muqarrar ṭhekedāroṅ aur bāqī kām karne vāloṅ ko de die haiṅ.” 10phir sāfan ne bādshāh ko batāyā, “ḵẖilaqiyāh ne mujhe ek kitāb dī hai.” kitāb ko khol kar vah bādshāh kī maujūdgī meṅ us kī tilāvat karne lagā.
11kitāb kī bāteṅ sun kar bādshāh ne raṅjīdā ho kar apne kapṛe phāṛ liye. 12us ne ḵẖilaqiyāh imām, aḵẖīqām bin sāfan, akbor bin mīkāyāh, mīramunshī sāfan aur apne ḵẖās ḵẖādim asāyāh ko bulā kar unheṅ hukm diyā, 13“jā kar merī aur qaum balki tamām yahūdāh kī ḵẖātir rabb se is kitāb meṅ darj bātoṅ ke bāre meṅ darayāft kareṅ. rabb kā jo ġazab ham par nāzil hone vālā hai vah nihāyat saḵẖt hai, kyūṅki hamāre bāpdādā na kitāb ke farmānoṅ ke tābe rahe, na un hidāyāt ke mutābiq zindagī guzārī hai jo us meṅ hamāre liye darj kī gaī haiṅ.”
14chunāṅche ḵẖilaqiyāh imām, aḵẖīqām, akbor, sāfan aur asāyāh ḵẖuldā nabiyā ko milne gae. ḵẖuldā kā shauhar sallūm bin tiqvā bin ḵẖarḵẖas rabb ke ghar ke kapṛe saṁbhāltā thā. vah yarūshalam ke nae ilāqe meṅ rahate the. 15-16 ḵẖuldā ne unheṅ javāb diyā,
“rabb isrāīl kā ḵẖudā farmātā hai ki jis ādmī ne tumheṅ bhejā hai use batā denā, ‘rabb farmātā hai ki maiṅ is shahar aur us ke bāshindoṅ par āfat nāzil karūṅgā. vah tamām bāteṅ pūrī ho jāeṅgī jo yahūdāh ke bādshāh ne kitāb meṅ paṛhī haiṅ. 17kyūṅki merī qaum ne mujhe tark karke dīgar mābūdoṅ ko qurbāniyāṅ pesh kī haiṅ aur apne hāthoṅ se but banā kar mujhe taish dilāyā hai. merā ġazab is maqām par nāzil ho jāegā aur kabhī ḵẖatm nahīṅ hogā.’
18lekin yahūdāh ke bādshāh ke pās jāeṅ jis ne āp ko rabb se darayāft karne ke liye bhejā hai aur use batā deṅ ki rabb isrāīl kā ḵẖudā farmātā hai, ‘merī bāteṅ sun kar 19terā dil narm ho gayā hai. jab tujhe patā chalā ki maiṅ ne is maqām aur is ke bāshindoṅ ke bāre meṅ farmāyā hai ki vah lāntī aur tabāh ho jāeṅge to tū ne apne āp ko rabb ke sāmne past kar diyā. tū ne raṅjīdā ho kar apne kapṛe phāṛ liye aur mere huzūr phūṭ phūṭ kar royā. rabb farmātā hai ki yah dekh kar maiṅ ne terī sunī hai. 20jab tū mere kahane par mar kar apne bāpdādā se jā milegā to salāmatī se dafan hogā. jo āfat maiṅ shahar par nāzil karūṅgā vah tū ḵẖud nahīṅ dekhegā’.”
afsar bādshāh ke pās vāpas gae aur use ḵẖuldā kā javāb sunā diyā.