2 Salātīn 24
1yahūyaqīm kī hukūmat ke daurān bābal ke bādshāh nabūkadnazzar ne yahūdāh par hamlā kiyā. natīje meṅ yahūyaqīm us ke tābe ho gayā. lekin tīn sāl ke bād vah sarkash ho gayā. 2tab rabb ne bābal, shām, moāb aur ammon se ḍākuoṅ ke jathe bhej die tāki use tabāh kareṅ. vaisā hī huā jis tarah rabb ne apne ḵẖādimoṅ yānī nabiyoṅ kī mārifat farmāyā thā. 3yah āfteṅ is liye yahūdāh par āīṅ ki rabb ne in kā hukm diyā thā. vah manassī ke saṅgīn gunāhoṅ kī vajah se yahūdāh ko apne huzūr se ḵẖārij karnā chāhatā thā.
4vah yah haqīqat bhī nazar’andāz na kar sakā ki manassī ne yarūshalam ko bequsūr logoṅ ke ḵẖūn se bhar diyā thā. rabb yah muāf karne ke liye tayyār nahīṅ thā. 5bāqī jo kuchh yahūyaqīm kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā vah ‘shāhān-e-yahūdāh kī tārīḵẖ’ kī kitāb meṅ darj hai. 6jab vah mar kar apne bāpdādā se jā milā to us kā beṭā yahūyākīn taḵẖtnashīn huā. 7us vaqt misr kā bādshāh dubārā apne mulk se nikal na sakā, kyūṅki bābal ke bādshāh ne misr kī sarhadd banām vādī-e-misr se le kar daryā-e-furāt tak kā sārā ilāqā misr ke qabze se chhīn liyā thā.
yahūyākīn kī hukūmat aur yarūshalam par bābal kā qabzā
8yahūyākīn 18 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā tīn māh thā. us kī māṅ nahushtā bint ilnātan yarūshalam kī rahane vālī thī. 9apne bāp kī tarah yahūyākīn bhī aisā kām kartā rahā jo rabb ko nāpsand thā.
10us kī hukūmat ke daurān bābal ke bādshāh nabūkadnazzar kī fauj yarūshalam tak baṛh kar us kā muhāsarā karne lagī. 11nabūkadnazzar ḵẖud shahar ke muhāsare ke daurān pahuṅch gayā. 12tab yahūyākīn ne shikast mān kar apne āp ko apnī māṅ, mulāzimoṅ, afsaroṅ aur darbāriyoṅ samet bābal ke bādshāh ke havāle kar diyā. bādshāh ne use giriftār kar liyā.
yah nabūkadnazzar kī hukūmat ke āṭhveṅ sāl meṅ huā. 13jis kā elān rabb ne pahale kiyā thā vah ab pūrā huā, nabūkadnazzar ne rabb ke ghar aur shāhī mahal ke tamām ḵẖazāne chhīn liye. us ne sone kā vah sārā sāmān bhī lūṭ liyā jo sulemān ne rabb ke ghar ke liye banvāyā thā. 14aur jitne khāte-pīte log yarūshalam meṅ the un sab ko bādshāh ne jilāvatan kar diyā. un meṅ tamām afsar, faujī, dastakār aur dhātoṅ kā kām karne vāle shāmil the, kul 10,000 afrād. ummat ke sirf ġarīb log pīchhe rah gae. 15nabūkadnazzar yahūyākīn ko bhī qaidī banā kar bābal le gayā aur us kī māṅ, bīviyoṅ, darbāriyoṅ aur mulk ke tamām asar-o-rasūḵẖ rakhne vāloṅ ko bhī. 16us ne faujiyoṅ ke 7,000 afrād aur 1,000 dastakāroṅ aur dhātoṅ kā kām karne vāloṅ ko jilāvatan karke bābal meṅ basā diyā. yah sab māhir aur jaṅg karne ke qābil ādmī the. 17yarūshalam meṅ bābal ke bādshāh ne yahūyākīn kī jagah us ke chachā mattaniyāh ko taḵẖt par biṭhā kar us kā nām sidaqiyāh meṅ badal diyā.
yahūdāh kā bādshāh sidaqiyāh
18sidaqiyāh 21 sāl kī umr meṅ bādshāh banā, aur yarūshalam meṅ us kī hukūmat kā daurāniyā 11 sāl thā. us kī māṅ hamūtal bint yaramiyāh libnā shahar kī rahane vālī thī. 19yahūyaqīm kī tarah sidaqiyāh aisā kām kartā rahā jo rabb ko nāpsand thā. 20rabb yarūshalam aur yahūdāh ke bāshindoṅ se itnā nārāz huā ki āḵẖir meṅ us ne unheṅ apne huzūr se ḵẖārij kar diyā.
sidaqiyāh kā farār aur giriftārī
ek din sidaqiyāh bābal ke bādshāh se sarkash huā