2 Salātīn 25

1is liye shāh-e-bābal nabūkadnazzar tamām fauj ko apne sāth le kar dubārā yarūshalam pahuṅchā tāki us par hamlā kare.

sidaqiyāh kī hukūmat ke navveṅ sāl meṅ bābal kī fauj yarūshalam kā muhāsarā karne lagī. yah kām dasveṅ mahīne ke dasveṅ din [a] yānī 15 janvrī shurū huā. pūre shahar ke ird-gird bādshāh ne pushte banvāe. 2sidaqiyāh kī hukūmat ke 11veṅ sāl tak yarūshalam qāim rahā. 3lekin phir kāl ne shahar meṅ zor pakṛā, aur avām ke liye khāne kī chīzeṅ na rahīṅ.

chauthe mahīne ke navveṅ din [b] yānī 18 julāī 4bābal ke faujiyoṅ ne fasīl meṅ raḵẖnā ḍāl diyā. usī rāt sidaqiyāh apne tamām faujiyoṅ samet farār hone meṅ kāmyāb huā, agarchi shahar dushman se ghirā huā thā. vah fasīl ke us darvāze se nikle jo shāhī bāġ ke sāth mulhiq do dīvāroṅ ke bīch meṅ thā. vah vādī-e-yardan kī taraf bhāgne lage, 5lekin bābal kī fauj ne bādshāh kā tāqqub karke use yarīhū ke maidān meṅ pakaṛ liyā. us ke faujī us se alag ho kar chāroṅ taraf muntashir ho gae, 6aur vah ḵẖud giriftār ho gayā.

phir use riblā meṅ shāh-e-bābal ke pās lāyā gayā, aur vahīṅ sidaqiyāh par faislā sādir kiyā gayā. 7sidaqiyāh ke dekhte dekhte us ke beṭoṅ ko qatl kiyā gayā. is ke bād faujiyoṅ ne us kī āṅkheṅ nikāl kar use pītal kī zanjīroṅ meṅ jakaṛ liyā aur bābal le gae.

yarūshalam aur rabb ke ghar kī tabāhī

8shāh-e-bābal nabūkadnazzar kī hukūmat ke 19veṅ sāl meṅ bādshāh kā ḵẖās afsar nabūzarādān yarūshalam pahuṅchā. vah shāhī muhāfizoṅ par muqarrar thā. pāṅchveṅ mahīne ke sātveṅ din [c] yānī 14 agast us ne ā kar 9rabb ke ghar, shāhī mahal aur yarūshalam ke tamām makānoṅ ko jalā diyā. har baṛī imārat bhasm ho gaī. 10us ne apne tamām faujiyoṅ se shahar kī fasīl ko bhī girā diyā. 11phir nabūzarādān ne sab ko jilāvatan kar diyā jo yarūshalam aur yahūdāh meṅ pīchhe rah gae the. vah bhī un meṅ shāmil the jo jaṅg ke daurān ġaddārī karke shāh-e-bābal ke pīchhe lag gae the. 12lekin nabūzarādān ne sab se nichle tabqe ke bāz logoṅ ko mulk-e-yahūdāh meṅ chhoṛ diyā tāki vah aṅgūr ke bāġoṅ aur khetoṅ ko saṁbhāleṅ.

13bābal ke faujiyoṅ ne rabb ke ghar meṅ jā kar pītal ke donoṅ satūnoṅ, pānī ke bāsnoṅ ko uṭhāne vālī hathgāṛiyoṅ aur samundar nāmī pītal ke hauz ko toṛ diyā aur sārā pītal uṭhā kar bābal le gae. 14vah rabb ke ghar kī ḵẖidmat sar’anjām dene ke liye darkār sāmān bhī le gae yānī bālṭiyāṅ, belache, battī katarne ke auzār, bartan aur pītal kā bāqī sārā sāmān. 15ḵẖālis sone aur chāṅdī ke bartan bhī is meṅ shāmil the yānī jalte hue koile ke bartan aur chhiṛkāo ke kaṭore. shāhī muhāfizoṅ kā afsar sārā sāmān uṭhā kar bābal le gayā. 16jab donoṅ satūnoṅ, samundar nāmī hauz aur bāsnoṅ ko uṭhāne vālī hathgāṛiyoṅ kā pītal tuṛvāyā gayā to vah itnā vaznī thā ki use tolā na jā sakā. sulemān bādshāh ne yah chīzeṅ rabb ke ghar ke liye banvāī thīṅ. 17har satūn kī ūṅchāī 27 fuṭ thī. un ke bālāī hissoṅ kī ūṅchāī sāḍhe chār fuṭ thī, aur vah pītal kī jālī aur anāroṅ se saje hue the.

18shāhī muhāfizoṅ ke afsar nabūzarādān ne zail ke qaidiyoṅ ko alag kar diyā : imām-e-āzam sirāyāh, us ke bād āne vālā imām safaniyāh, rabb ke ghar ke tīn darbānoṅ, 19shahar ke bache huoṅ meṅ se us afsar ko jo shahar ke faujiyoṅ par muqarrar thā, sidaqiyāh bādshāh ke pāṅch mushīroṅ, ummat kī bhartī karne vāle afsar aur shahar meṅ maujūd us ke 60 mardoṅ ko. 20nabūzarādān in sab ko alag karke sūbā hamāt ke shahar riblā le gayā jahāṅ bābal kā bādshāh thā. 21vahāṅ nabūkadnazzar ne unheṅ sazā-e-maut dī.

yūṅ yahūdāh ke bāshindoṅ ko jilāvatan kar diyā gayā.

jidaliyāh kī hukūmat

22jin logoṅ ko bābal ke bādshāh nabūkadnazzar ne yahūdāh meṅ pīchhe chhoṛ diyā thā, un par us ne jidaliyāh bin aḵẖīqām bin sāfan muqarrar kiyā. 23jab fauj ke bache hue afsaroṅ aur un ke dastoṅ ko ḵẖabar milī ki jidaliyāh ko gavarnar muqarrar kiyā gayā hai to vah misfāh meṅ us ke pās āe. afsaroṅ ke nām ismāīl bin nataniyāh, yūhanān bin qarīh, sirāyāh bin tanhūmat natūfātī aur yāzaniyāh bin mākātī the. un ke faujī bhī sāth āe.

24jidaliyāh ne qasam khā kar un se vādā kiyā, “bābal ke afsaroṅ se mat ḍarnā! mulk meṅ rah kar bābal ke bādshāh kī ḵẖidmat kareṅ to āp kī salāmatī hogī.”

25lekin us sāl ke sātveṅ mahīne meṅ ismāīl bin nataniyāh bin ilīsmā ne das sāthiyoṅ ke sāth misfāh ā kar dhoke se jidaliyāh ko qatl kiyā. ismāīl shāhī nasal kā thā. jidaliyāh ke ilāvā unhoṅ ne us ke sāth rahane vāle yahūdāh aur bābal ke tamām logoṅ ko bhī qatl kiyā. 26yah dekh kar yahūdāh ke tamām bāshinde chhoṭe se le kar baṛe tak faujī afsaroṅ samet hijrat karke misr chale gae, kyūṅki vah bābal ke intiqām se ḍarte the.

yahūyākīn ko āzād kiyā jātā hai

27yahūdāh ke bādshāh yahūyākīn kī jilāvatanī ke 37veṅ sāl meṅ avīl-marūdak bābal kā bādshāh banā. usī sāl ke 12veṅ mahīne ke 27veṅ din us ne yahūyākīn ko qaidḵẖāne se āzād kar diyā. 28us ne us se narm bāteṅ karke use izzat kī aisī kursī par biṭhāyā jo bābal meṅ jilāvatan kie gae bāqī bādshāhoṅ kī nisbat ziyādā aham thī. 29yahūyākīn ko qaidiyoṅ ke kapṛe utārne kī ijāzat milī, aur use zindagī bhar bādshāh kī mez par bāqāidagī se sharīk hone kā sharaf hāsil rahā. 30bādshāh ne muqarrar kiyā ki yahūyākīn ko umr bhar itnā vazīfā miltā rahe ki us kī rozmarrā zarūriyāt pūrī hotī raheṅ.

[a] yānī 15 janvrī
[b] yānī 18 julāī
[c] yānī 14 agast