Āmāl 21
paulus yarūshalam jātā hai
1mushkil se ifisus ke buzurgoṅ se alag ho kar ham ravānā hue aur sīdhe jazīrā-e-kos pahuṅch gae. agle din ham rudus āe aur vahāṅ se patrā pahuṅche. 2patrā meṅ fenīke ke liye jahāz mil gayā to ham us par savār ho kar ravānā hue. 3jab qubrus dūr se nazar āyā to ham us ke junūb meṅ se guzar kar shām ke shahar sūr pahuṅch gae jahāṅ jahāz ko apnā sāmān utārnā thā. 4jahāz se utar kar ham ne maqāmī shāgirdoṅ ko talāsh kiyā aur sāt din un ke sāth ṭhahare. un īmāndāroṅ ne rūh-ul-quds kī hidāyat se paulus ko samjhāne kī koshish kī ki vah yarūshalam na jāe. 5jab ham ek hafte ke bād jahāz par vāpas chale gae to pūrī jamāat bāl-bacchoṅ samet hamāre sāth shahar se nikal kar sāhil tak āī. vahīṅ ham ne ghuṭne ṭek kar duā kī 6aur ek dūsre ko alvidā kahā. phir ham dubārā jahāz par savār hue jabki vah apne gharoṅ ko lauṭ gae.
7sūr se apnā safar jārī rakh kar ham patulimayis pahuṅche jahāṅ ham ne maqāmī īmāndāroṅ ko salām kiyā aur ek din un ke sāth guzārā. 8agle din ham ravānā ho kar qaisriyā pahuṅch gae. vahāṅ ham filippus ke ghar ṭhahare. yah vahī filippus thā jo allāh kī ḵẖushḵẖabarī kā munād thā aur jise ibatidāī dinoṅ meṅ yarūshalam meṅ khānā taqsīm karne ke liye chhah aur ādmiyoṅ ke sāth muqarrar kiyā gayā thā. 9us kī chār ġairshādīshudā beṭiyāṅ thīṅ jo nubuvvat kī nemat rakhtī thīṅ. 10kaī din guzar gae to yahūdiyā se ek nabī āyā jis kā nām agbus thā. 11jab vah ham se milne āyā to us ne paulus kī peṭī le kar apne pāoṅ aur hāthoṅ ko bāṅdh liyā aur kahā, “rūh-ul-quds farmātā hai ki yarūshalam meṅ yahūdī is peṭī ke mālik ko yūṅ bāṅdh kar ġairyahūdiyoṅ ke havāle kareṅge.”
12yah sun kar ham ne maqāmī īmāndāroṅ samet paulus ko samjhāne kī ḵẖūb koshish kī ki vah yarūshalam na jāe. 13lekin us ne javāb diyā, “āp kyūṅ rote aur merā dil toṛte haiṅ? dekheṅ, maiṅ ḵẖudāvand īsā ke nām kī ḵẖātir yarūshalam meṅ na sirf bāṅdhe jāne balki us ke liye apnī jān tak dene ko tayyār hūṅ.”
14ham use qāil na kar sake, is liye ham yah kahate hue ḵẖāmosh ho gae ki “ḵẖudāvand kī marzī pūrī ho.”
15is ke bād ham tayyāriyāṅ karke yarūshalam chale gae. 16qaisriyā ke kuchh shāgird bhī hamāre sāth chale aur hameṅ manāson ke ghar pahuṅchā diyā jahāṅ hameṅ ṭhaharnā thā. manāson qubrus kā thā aur jamāat ke ibatidāī dinoṅ meṅ īmān lāyā thā.
paulus yāqūb se miltā hai
17jab ham yarūshalam pahuṅche to maqāmī bhāiyoṅ ne garmajoshī se hamārā istiqbāl kiyā. 18agle din paulus hamāre sāth yāqūb se milne gayā. tamām maqāmī buzurg bhī hāzir hue. 19unheṅ salām karke paulus ne tafsīl se bayān kiyā ki allāh ne us kī ḵẖidmat kī mārifat ġairyahūdiyoṅ meṅ kyā kiyā thā. 20yah sun kar unhoṅ ne allāh kī tamjīd kī. phir unhoṅ ne kahā, “bhāī, āp ko mālūm hai ki hazāroṅ yahūdī īmān lāe haiṅ. aur sab baṛī sargarmī se sharīat par amal karte haiṅ. 21unheṅ āp ke bāre meṅ ḵẖabar dī gaī hai ki āp ġairyahūdiyoṅ ke darmiyān rahane vāle yahūdiyoṅ ko tālīm dete haiṅ ki vah mūsā kī sharīat ko chhoṛ kar na apne bacchoṅ kā ḵẖatnā karvāeṅ aur na hamāre rasm-o-rivāj ke mutābiq zindagī guzāreṅ. 22ab ham kyā kareṅ? vah to zarūr suneṅge ki āp yahāṅ ā gae haiṅ. 23is liye ham chāhate haiṅ ki āp yah kareṅ : hamāre pās chār mard haiṅ jinhoṅ ne mannat mān kar use pūrā kar liyā hai. 24ab unheṅ sāth le kar un kī tahārat kī rusūmāt meṅ sharīk ho jāeṅ. un ke aḵẖrājāt bhī āp bardāsht kareṅ tāki vah apne saroṅ ko muṅḍvā sakeṅ. phir sab jān leṅge ki jo kuchh āp ke bāre meṅ kahā jātā hai vah jhūṭ hai aur ki āp bhī sharīat ke mutābiq zindagī guzār rahe haiṅ. 25jahāṅ tak ġairyahūdī īmāndāroṅ kī bāt hai ham unheṅ apnā faislā ḵẖat ke zarīe bhej chuke haiṅ ki vah in chīzoṅ se parhez kareṅ : butoṅ ko pesh kiyā gayā khānā, ḵẖūn, aise jānvaroṅ kā gosht jinheṅ galā ghūṅṭ kar mār diyā gayā ho aur zinākārī.”
26chunāṅche agle din paulus un ādmiyoṅ ko sāth le kar un kī tahārat kī rusūmāt meṅ sharīk huā. phir vah bait-ul-muqaddas meṅ us din kā elān karne gayā jab tahārat ke din pūre ho jāeṅge aur un sab ke liye qurbānī pesh kī jāegī.
bait-ul-muqaddas meṅ paulus kī giriftārī
27is rasm ke liye muqarrarā sāt din ḵẖatm hone ko the ki sūbā āsiyā ke kuchh yahūdiyoṅ ne paulus ko bait-ul-muqaddas meṅ dekhā. unhoṅ ne pūre hujūm meṅ halchal machā kar use pakaṛ liyā 28aur chīḵẖne lage, “isrāīl ke hazrāt, hamārī madad kareṅ! yah vahī ādmī hai jo har jagah tamām logoṅ ko hamārī qaum, hamārī sharīat aur is maqām ke ḵẖilāf tālīm detā hai. na sirf yah balki is ne bait-ul-muqaddas meṅ ġairyahūdiyoṅ ko lā kar is muqaddas jagah kī behuramtī bhī kī hai.” 29(yah āḵẖirī bāt unhoṅ ne is liye kī kyūṅki unhoṅ ne shahar meṅ ifisus ke ġairyahūdī trufimus ko paulus ke sāth dekhā aur ḵẖayāl kiyā thā ki vah use bait-ul-muqaddas meṅ lāyā hai.)
30pūre shahar meṅ haṅgāmā barpā huā aur log chāroṅ taraf se dauṛ kar āe. paulus ko pakaṛ kar unhoṅ ne use bait-ul-muqaddas se bāhar ghasīṭ liyā. jūṅ hī vah nikal gae bait-ul-muqaddas ke sahan ke darvāzoṅ ko band kar diyā gayā. 31vah use mār ḍālne kī koshish kar rahe the ki romī palṭan ke kamāṅḍar ko ḵẖabar mil gaī, “pūre yarūshalam meṅ halchal mach gaī hai.” 32yah sunte hī us ne apne faujiyoṅ aur afsaroṅ ko ikaṭṭhā kiyā aur dauṛ kar un ke sāth hujūm ke pās utar gayā. jab hujūm ne kamāṅḍar aur us ke faujiyoṅ ko dekhā to vah paulus kī piṭāī karne se ruk gayā. 33kamāṅḍar ne nazdīk ā kar use giriftār kiyā aur do zanjīroṅ se bāṅdhne kā hukm diyā. phir us ne pūchhā, “yah kaun hai? is ne kyā kiyā hai?” 34hujūm meṅ se bāz kuchh chillāe aur bāz kuchh. kamāṅḍar koī yaqīnī bāt mālūm na kar sakā, kyūṅki afrā-tafrī aur shor-sharābā bahut thā. is liye us ne hukm diyā ki paulus ko qilae meṅ le jāyā jāe. 35vah qilae kī sīṛhī tak pahuṅch to gae, lekin phir hujūm itnā bekābū ho gayā ki faujiyoṅ ko use apne kaṅdhoṅ par uṭhā kar chalnā paṛā. 36log un ke pīchhe pīchhe chalte aur chīḵẖte chillāte rahe, “use mār ḍālo! use mār ḍālo!”
paulus apnā difā kartā hai
37vah paulus ko qilae meṅ le jā rahe the ki us ne kamāṅḍar se pūchhā, “kyā āp se ek bāt karne kī ijāzat hai?”
kamāṅḍar ne kahā, “acchhā, āp yūnānī bol lete haiṅ? 38to kyā āp vahī misrī nahīṅ haiṅ jo kuchh der pahale hukūmat ke ḵẖilāf uṭh kar chār hazār dahshatagaradoṅ ko registān meṅ lāyā thā?”
39paulus ne javāb diyā, “maiṅ yahūdī aur kilikiyā ke markzī shahar tarsus kā shaharī hūṅ. meharbānī karke mujhe logoṅ se bāt karne deṅ.”
40kamāṅḍar mān gayā aur paulus ne sīṛhī par khaṛe ho kar hāth se ishārā kiyā. jab sab ḵẖāmosh ho gae to paulus arāmī zabān meṅ un se muḵẖātib huā