Āmāl 4
patras aur yūhannā yahūdī adālat-e-āliyā ke sāmne
1patras aur yūhannā logoṅ se bāt kar hī rahe the ki imām, bait-ul-muqaddas ke paharedāroṅ kā kaptān aur sadūqī un ke pās pahuṅche. 2vah nārāz the ki rasūl īsā ke jī uṭhne kī munādī karke logoṅ ko murdoṅ meṅ se jī uṭhne kī tālīm de rahe haiṅ. 3unhoṅ ne unheṅ giriftār karke agle din tak jel meṅ ḍāl diyā, kyūṅki shām ho chukī thī. 4lekin jinhoṅ ne un kā paiġām sun liyā thā un meṅ se bahut se log īmān lāe. yūṅ īmāndāroṅ meṅ mardoṅ kī tādād baṛh kar taqrīban 5,000 tak pahuṅch gaī.
5agle din yarūshalam meṅ yahūdī adālat-e-aliyā ke sardāroṅ, buzurgoṅ aur sharīat ke ulmā kā ijlās mun’aqid huā. 6imām-e-āzam hannā aur isī tarah kāifā, yūhannā, sikandar aur imām-e-āzam ke ḵẖāndān ke dīgar mard bhī shāmil the. 7unhoṅ ne donoṅ ko apne darmiyān khaṛā karke pūchhā, “tum ne yah kām kis quvvat aur nām se kiyā?”
8patras ne rūh-ul-quds se māmūr ho kar un se kahā, “qaum ke rāhanumāo aur buzurgo, 9āj hamārī pūchhgichh kī jā rahī hai ki ham ne māzūr ādmī par raham kā izhār kis ke vasīle se kiyā ki use shifā mil gaī hai. 10to phir āp sab aur pūrī qaum isrāīl jān le ki yah nāsrat ke īsā masīh ke nām se huā hai, jise āp ne maslūb kiyā aur jise allāh ne murdoṅ meṅ se zindā kar diyā. yah ādmī usī ke vasīle se sehat pā kar yahāṅ āp ke sāmne khaṛā hai. 11īsā vah patthar hai jis ke bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘jis patthar ko makān banāne vāloṅ ne radd kiyā vah kone kā bunyādī patthar ban gayā.’ aur āp hī ne use radd kar diyā hai. 12kisī dūsre ke vasīle se najāt hāsil nahīṅ hotī, kyūṅki āsmān ke tale ham insānoṅ ko koī aur nām nahīṅ baḵẖshā gayā jis ke vasīle se ham najāt pā sakeṅ.”
13patras aur yūhannā kī bāteṅ sun kar log hairān hue kyūṅki vah dilerī se bāt kar rahe the agarchi vah na to ālim the, na unhoṅ ne sharīat kī ḵẖās tālīm pāī thī. sāth sāth sunne vāloṅ ne yah bhī jān liyā ki donoṅ īsā ke sāthī haiṅ. 14lekin chūṅki vah apnī āṅkhoṅ se us ādmī ko dekh rahe the jo shifā pā kar un ke sāth khaṛā thā is liye vah is ke ḵẖilāf koī bāt na kar sake. 15chunāṅche unhoṅ ne un donoṅ ko ijlās meṅ se bāhar jāne ko kahā aur āpas meṅ salāh-mashvrā karne lage, 16“ham in logoṅ ke sāth kyā sulūk kareṅ? bāt vāzih hai ki un ke zarīe ek ilāhī nishān dikhāyā gayā hai. is kā yarūshalam ke tamām bāshindoṅ ko ilm huā hai. ham is kā inkār nahīṅ kar sakte. 17lekin lāzim hai ki unheṅ dhamkī de kar hukm deṅ ki vah kisī bhī shaḵẖs se yah nām le kar bāt na kareṅ, varnā yah muāmalā qaum meṅ mazīd phail jāegā.”
18chunāṅche unhoṅ ne donoṅ ko bulā kar hukm diyā ki vah āindā īsā ke nām se na kabhī boleṅ aur na tālīm deṅ.
19lekin patras aur yūhannā ne javāb meṅ kahā, “āp ḵẖud faislā kar leṅ, kyā yah allāh ke nazdīk ṭhīk hai ki ham us kī nisbat āp kī bāt māneṅ? 20mumkin hī nahīṅ ki jo kuchh ham ne dekh aur sun liyā hai use dūsroṅ ko sunāne se bāz raheṅ.”
21tab ijlās ke maimbarān ne donoṅ ko mazīd dhamkiyāṅ de kar chhoṛ diyā. vah faislā na kar sake ki kyā sazā deṅ, kyūṅki tamām log patras aur yūhannā ke is kām kī vajah se allāh kī tamjīd kar rahe the. 22kyūṅki jis ādmī ko mojizānā taur par shifā milī thī vah chālīs sāl se ziyādā laṅgṛā rahā thā.
dilerī ke liye duā
23un kī rihāī ke bād patras aur yūhannā apne sāthiyoṅ ke pās vāpas gae aur sab kuchh sunāyā jo rāhanumā imāmoṅ aur buzurgoṅ ne unheṅ batāyā thā. 24yah sun kar tamām īmāndāroṅ ne mil kar ūṅchī āvāz se duā kī, “ai āqā, tū ne āsmān-o-zamīn aur samundar ko aur jo kuchh un meṅ hai ḵẖalaq kiyā hai. 25aur tū ne apne ḵẖādim hamāre bāp dāūd ke muṅh se rūh-ul-quds kī mārifat kahā,
‘aqvām kyūṅ taish meṅ ā gaī haiṅ?
ummateṅ kyūṅ bekār sāzisheṅ kar rahī haiṅ?
26duniyā ke bādshāh uṭh khaṛe hue,
hukmarān rabb aur us ke masīh ke ḵẖilāf jamā ho gae haiṅ.’
27aur vāqaī yahī kuchh is shahar meṅ huā. herodes antipās, puntiyus pīlātus, ġairyahūdī aur yahūdī sab tere muqaddas ḵẖādim īsā ke ḵẖilāf jamā hue jise tū ne masah kiyā thā. 28lekin jo kuchh unhoṅ ne kiyā vah tū ne apnī qudrat aur marzī se pahale hī se muqarrar kiyā thā. 29ai rabb, ab un kī dhamkiyoṅ par ġaur kar. apne ḵẖādimoṅ ko apnā kalām sunāne kī baṛī dilerī atā farmā. 30apnī qudrat kā izhār kar tāki ham tere muqaddas ḵẖādim īsā ke nām se shifā, ilāhī nishān aur mojize dikhā sakeṅ.”
31duā ke iḵẖtitām par vah jagah hil gaī jahāṅ vah jamā the. sab rūh-ul-quds se māmūr ho gae aur dilerī se allāh kā kalām sunāne lage.
īmāndāroṅ kī mushtarakā milkiyat
32īmāndāroṅ kī pūrī jamāat yakdil thī. kisī ne bhī apnī milkiyat kī kisī chīz ke bāre meṅ nahīṅ kahā ki yah merī hai balki un kī har chīz mushtarakā thī. 33aur rasūl baṛe iḵẖtiyār ke sāth ḵẖudāvand īsā ke jī uṭhne kī gavāhī dete rahe. allāh kī baṛī meharbānī un sab par thī. 34un meṅ se koī bhī zarūratmand nahīṅ thā, kyūṅki jis ke pās bhī zamīneṅ yā makān the us ne unheṅ faroḵẖt karke raqam 35rasūloṅ ke pāoṅ meṅ rakh dī. yūṅ jamāshudā paisoṅ meṅ se har ek ko utne die jāte jitnoṅ kī use zarūrat hotī thī.
36maslan yūsuf nāmī ek ādmī thā jis kā nām rasūloṅ ne barnabās (hausalāafzāī kā beṭā) rakhā thā. vah lāvī qabīle se aur jazīrā-e-qubrus kā rahane vālā thā. 37us ne apnā ek khet faroḵẖt karke paise rasūloṅ ke pāoṅ meṅ rakh die.