Āmāl 9
paulus kī tabdīlī
1ab tak sāūl ḵẖudāvand ke shāgirdoṅ ko dhamkāne aur qatl karne ke darpai thā. us ne imām-e-āzam ke pās jā kar 2us se guzārish kī ki “mujhe damishq meṅ yahūdī ibādatḵẖānoṅ ke liye sifārishī ḵẖat likh kar deṅ tāki vah mere sāth t’āvun kareṅ. kyūṅki maiṅ vahāṅ masīh kī rāh par chalne vāloṅ ko ḵẖwāh vah mard hoṅ yā ḵẖavātīn ḍhūṅḍ kar aur bāṅdh kar yarūshalam lānā chāhatā hūṅ.”
3vah is maqsad se safar karke damishq ke qarīb pahuṅchā hī thā ki achānak āsmān kī taraf se ek tez raushnī us ke gird chamkī. 4vah zamīn par gir paṛā to ek āvāz sunāī dī, “sāūl, sāūl, tū mujhe kyūṅ satātā hai?”
5us ne pūchhā, “ḵẖudāvand, āp kaun haiṅ?”
āvāz ne javāb diyā, “maiṅ īsā hūṅ jise tū satātā hai. 6ab uṭh kar shahar meṅ jā. vahāṅ tujhe batāyā jāegā ki tujhe kyā karnā hai.”
7sāūl ke pās khaṛe hamsafar dam-ba-ḵẖud rah gae. āvāz to vah sun rahe the, lekin unheṅ koī nazar na āyā. 8sāūl zamīn par se uṭhā, lekin jab us ne apnī āṅkheṅ kholīṅ to mālūm huā ki vah aṅdhā hai. chunāṅche us ke sāthī us kā hāth pakaṛ kar use damishq le gae. 9vahāṅ tīn din ke daurān vah aṅdhā rahā. itne meṅ us ne na kuchh khāyā, na piyā.
10us vaqt damishq meṅ īsā kā ek shāgird rahatā thā jis kā nām hananiyāh thā. ab ḵẖudāvand royā meṅ us se hamkalām huā, “hananiyāh!”
us ne javāb diyā, “jī ḵẖudāvand, maiṅ hāzir hūṅ.”
11ḵẖudāvand ne farmāyā, “uṭh, us galī meṅ jā jo ‘sīdhī’ kahalātī hai. vahāṅ yahūdāh ke ghar meṅ tarsus ke ek ādmī kā patā karnā jis kā nām sāūl hai. kyūṅki dekh, vah duā kar rahā hai. 12aur royā meṅ us ne dekh liyā hai ki ek ādmī banām hananiyāh mere pās ā kar apne hāth mujh par rakhegā. is se merī āṅkheṅ bahāl ho jāeṅgī.”
13hananiyāh ne etirāz kiyā, “ai ḵẖudāvand, maiṅ ne bahut se logoṅ se us shaḵẖs kī sharīr harkatoṅ ke bāre meṅ sunā hai. yarūshalam meṅ us ne tere muqaddasoṅ ke sāth bahut ziyādtī kī hai. 14ab use rāhanumā imāmoṅ se iḵẖtiyār mil gayā hai ki yahāṅ bhī har ek ko giriftār kare jo terī ibādat kartā hai.”
15lekin ḵẖudāvand ne kahā, “jā, yah ādmī merā chunā huā vasīlā hai jo merā nām ġairyahūdiyoṅ, bādshāhoṅ aur isrāīliyoṅ tak pahuṅchāegā. 16aur maiṅ use dikhā dūṅgā ki use mere nām kī ḵẖātir kitnā dukh uṭhānā paṛegā.”
17chunāṅche hananiyāh mazkūrā ghar ke pās gayā, us meṅ dāḵẖil huā aur apne hāth sāūl par rakh die. us ne kahā, “sāūl bhāī, ḵẖudāvand īsā jo āp par zāhir huā jab āp yahāṅ ā rahe the usī ne mujhe bhejā hai tāki āp dubārā dekh pāeṅ aur rūh-ul-quds se māmūr ho jāeṅ.” 18yah kahate hī chhilkoṅ jaisī koī chīz sāūl kī āṅkhoṅ par se girī aur vah dubārā dekhne lagā. us ne uṭh kar baptismā liyā, 19phir kuchh khānā khā kar nae sire se taqviyat pāī.
sāūl damishq meṅ allāh kī ḵẖushḵẖabarī sunātā hai
sāūl kaī din shāgirdoṅ ke sāth damishq meṅ rahā. 20usī vaqt vah sīdhā yahūdī ibādatḵẖānoṅ meṅ jā kar elān karne lagā ki īsā allāh kā farzand hai.
21aur jis ne bhī use sunā vah hairān rah gayā aur pūchhā, “kyā yah vah ādmī nahīṅ jo yarūshalam meṅ īsā kī ibādat karne vāloṅ ko halāk kar rahā thā? aur kyā vah is maqsad se yahāṅ nahīṅ āyā ki aise logoṅ ko bāṅdh kar rāhanumā imāmoṅ ke pās le jāe?”
22lekin sāūl roz-ba-roz zor pakaṛtā gayā, aur chūṅki us ne sābit kiyā ki īsā vādā kiyā huā masīh hai is liye damishq meṅ ābād yahūdī uljhan meṅ paṛ gae.
23chunāṅche kāfī dinoṅ ke bād unhoṅ ne mil kar use qatl karne kā mansūbā banāyā. 24lekin sāūl ko patā chal gayā. yahūdī din rāt shahar ke darvāzoṅ kī paharādārī karte rahe tāki use qatl kareṅ, 25is liye us ke shāgirdoṅ ne use rāt ke vaqt ṭokre meṅ biṭhā kar shahar kī chārdīvārī ke ek sūrāḵẖ meṅ se utār diyā.
sāūl yarūshalam meṅ
26sāūl yarūshalam vāpas chalā gayā. vahāṅ us ne shāgirdoṅ se rābitā karne kī koshish kī, lekin sab us se ḍarte the, kyūṅki unheṅ yaqīn nahīṅ āyā thā ki vah vāqaī īsā kā shāgird ban gayā hai. 27phir barnabās use rasūloṅ ke pās le āyā. us ne unheṅ sāūl ke bāre meṅ sab kuchh batāyā, ki us ne damishq kī taraf safar karte vaqt rāste meṅ ḵẖudāvand ko dekhā, ki ḵẖudāvand us se hamkalām huā thā aur us ne damishq meṅ dilerī se īsā ke nām se bāt kī thī. 28chunāṅche sāūl un ke sāth rah kar āzādī se yarūshalam meṅ phirne aur dilerī se ḵẖudāvand īsā ke nām se kalām karne lagā. 29us ne yūnānī zabān bolne vāle yahūdiyoṅ se bhī muḵẖātib ho kar bahs kī, lekin javāb meṅ vah use qatl karne kī koshish karne lage. 30jab bhāiyoṅ ko mālūm huā to unhoṅ ne use qaisriyā pahuṅchā diyā aur jahāz meṅ biṭhā kar tarsus ke liye ravānā kar diyā.
31is par yahūdiyā, galīl aur sāmriyā ke pūre ilāqe meṅ phailī huī jamāat ko amn-o-amān hāsil huā. rūh-ul-quds kī himāyat se us kī tāmīr-o-taqviyat huī, vah ḵẖudā kā ḵẖauf mān kar chaltī rahī aur tādād meṅ bhī baṛhtī gaī.
patras luddā aur yāfā meṅ
32ek din jab patras jagah jagah safar kar rahā thā to vah luddā meṅ ābād muqaddasoṅ ke pās bhī āyā. 33vahāṅ us kī mulāqāt ek ādmī banām ainiyās se huī. ainiyās maflūj thā. vah āṭh sāl se bistar se uṭh na sakā thā. 34patras ne us se kahā, “ainiyās, īsā masīh āp ko shifā detā hai. uṭh kar apnā bistar sameṭ leṅ.” ainiyās fauran uṭh khaṛā huā. 35jab luddā aur maidānī ilāqe shārūn ke tamām rahane vāloṅ ne use dekhā to unhoṅ ne ḵẖudāvand kī taraf rujū kiyā.
36yāfā meṅ ek aurat thī jo shāgird thī aur nek kām karne aur ḵẖairāt dene meṅ bahut āge thī. us kā nām tabītā (ġazālā) thā. 37un hī dinoṅ meṅ vah bīmār ho kar faut ho gaī. logoṅ ne use ġusal de kar bālāḵẖāne meṅ rakh diyā. 38luddā yāfā ke qarīb hai, is liye jab shāgirdoṅ ne sunā ki patras luddā meṅ hai to unhoṅ ne us ke pās do ādmiyoṅ ko bhej kar iltimās kī, “sīdhe hamāre pās āeṅ aur der na kareṅ.” 39patras uṭh kar un ke sāth chalā gayā. vahāṅ pahuṅch kar log use bālāḵẖāne meṅ le gae. tamām bevāoṅ ne use gher liyā aur rote chillāte vah sārī qamīseṅ aur bāqī libās dikhāne lagīṅ jo tabītā ne un ke liye banāe the jab vah abhī zindā thī. 40lekin patras ne un sab ko kamre se nikāl diyā aur ghuṭne ṭek kar duā kī. phir lāsh kī taraf muṛ kar us ne kahā, “tabītā, uṭheṅ!” aurat ne apnī āṅkheṅ khol dīṅ. patras ko dekh kar vah baiṭh gaī. 41patras ne us kā hāth pakaṛ liyā aur uṭhne meṅ us kī madad kī. phir us ne muqaddasoṅ aur bevāoṅ ko bulā kar tabītā ko zindā un ke sapurd kiyā. 42yah vāqiā pūre yāfā meṅ mashhūr huā, aur bahut se log ḵẖudāvand īsā par īmān lāe. 43patras kāfī dinoṅ tak yāfā meṅ rahā. vahāṅ vah chamṛā raṅgne vāle ek ādmī ke ghar ṭhaharā jis kā nām shamāūn thā.