Āmūs 1
isrāīl ke paṛosiyoṅ kī adālat
1zail meṅ āmūs ke paiġāmāt qalamband haiṅ. āmūs taqūa shahar kā gallābān thā. zalzle se do sāl pahale us ne isrāīl ke bāre meṅ royā meṅ yah kuchh dekhā. us vaqt uzziyāh yahūdāh kā aur yarubiām bin yūās isrāīl kā bādshāh thā.
2āmūs bolā, “rabb koh-e-siyyūn par se dahāṛatā hai, us kī garajtī āvāz yarūshalam se sunāī detī hai. tab gallābānoṅ kī charāgāheṅ sūkh jātī haiṅ aur karmil kī choṭī par jaṅgal murjhā jātā hai.”
3rabb farmātā hai, “damishq ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is liye maiṅ unheṅ sazā die baġair nahīṅ chhoṛūṅgā. kyūṅki unhoṅ ne jiliād ko gāhane ke āhanī auzār se ḵẖūb kūṭ kar gāh liyā hai. 4chunāṅche maiṅ hazāel ke gharāne par āg nāzil karūṅgā, aur bin-hadad ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge. 5maiṅ damishq ke kuṅḍe ko toṛ kar biq’at-āvan aur bait-adan ke hukmarānoṅ ko maut ke ghāṭ utārūṅgā. arām kī qaum jilāvatan ho kar qīr meṅ jā basegī.” yah rabb kā farmān hai.
6rabb farmātā hai, “ġazzā ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is liye maiṅ unheṅ sazā die baġair nahīṅ chhoṛūṅgā. kyūṅki unhoṅ ne pūrī ābādiyoṅ ko jilāvatan karke adom ke havāle kar diyā hai. 7chunāṅche maiṅ ġazzā kī fasīl par āg nāzil karūṅgā, aur us ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge. 8ashdūd aur asqalūn ke hukmarānoṅ ko maiṅ mār ḍālūṅgā, aqrūn par bhī hamlā karūṅgā. tab bache khache filistī bhī halāk ho jāeṅge.” yah rabb qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
9rabb farmātā hai, “sūr ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is liye maiṅ unheṅ sazā die baġair nahīṅ chhoṛūṅgā. kyūṅki unhoṅ ne barādrānā ahd kā lihāz na kiyā balki pūrī ābādiyoṅ ko jilāvatan karke adom ke havāle kar diyā. 10chunāṅche maiṅ sūr kī fasīl par āg nāzil karūṅgā, aur us ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge.”
11rabb farmātā hai, “adom ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is liye maiṅ unheṅ sazā die baġair nahīṅ chhoṛūṅgā. kyūṅki unhoṅ ne apne isrāīlī bhāiyoṅ ko talvār se mār mār kar un kā tāqqub kiyā aur saḵẖtī se un par raham karne se inkār kiyā. un kā qahar bhaṛaktā rahā, un kā taish kabhī ṭhaṅḍā na huā. 12chunāṅche maiṅ temān par āg nāzil karūṅgā, aur busrā ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge.”
13rabb farmātā hai, “ammon ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is liye maiṅ unheṅ sazā die baġair nahīṅ chhoṛūṅgā. kyūṅki apnī sarhaddoṅ ko baṛhāne ke liye unhoṅ ne jiliād kī hāmilā aurtoṅ ke peṭ chīr ḍāle. 14chunāṅche maiṅ rabbā kī fasīl ko āg lagā dūṅgā, aur us ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge. jaṅg ke us din har taraf faujiyoṅ ke nāre buland ho jāeṅge, tūfān ke us din un par saḵẖt āṅdhī ṭūṭ paṛegī. 15un kā bādshāh apne afsaroṅ samet qaidī ban kar jilāvatan ho jāegā.” yah rabb kā farmān hai.