Āmūs 2

1rabb farmātā hai, “moāb ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is liye maiṅ unheṅ sazā die baġair nahīṅ chhoṛūṅgā. kyūṅki unhoṅ ne adom ke bādshāh kī haḍḍiyoṅ ko jalā kar rākh kar diyā hai. 2chunāṅche maiṅ mulk-e-moāb par āg nāzil karūṅgā, aur qariyot ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge. jaṅg kā shor-sharābā machegā, faujiyoṅ ke nāre buland ho jāeṅge, narsiṅgā phūṅkā jāegā. tab moāb halāk ho jāegā. 3maiṅ us ke hukmarān ko us ke tamām afsaroṅ samet halāk kar dūṅgā.” yah rabb kā farmān hai.

yahūdāh kī adālat

4rabb farmātā hai, “yahūdāh ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is liye maiṅ unheṅ sazā die baġair nahīṅ chhoṛūṅgā. kyūṅki unhoṅ ne rabb kī sharīat ko radd karke us ke ahkām par amal nahīṅ kiyā. un ke jhūṭe devtā unheṅ ġalat rāh par le gae haiṅ, vah devtā jin kī pairvī un ke bāpdādā bhī karte rahe. 5chunāṅche maiṅ yahūdāh par āg nāzil karūṅgā, aur yarūshalam ke mahal nazar-e-ātish ho jāeṅge.”

isrāīl kī adālat

6rabb farmātā hai, “isrāīl ke bāshindoṅ ne bār bār gunāh kiyā hai, is liye maiṅ unheṅ sazā die baġair nahīṅ chhoṛūṅgā. kyūṅki vah sharīf logoṅ ko paise ke liye bechate aur zarūratmandoṅ ko faroḵẖt karte haiṅ tāki ek joṛī jūte mil jāe. 7vah ġarīboṅ ke sar ko zamīn par kuchal dete, musībatazadoṅ ko insāf milne se rokte haiṅ. bāp aur beṭā donoṅ ek hī kasbī ke pās jā kar mere nām kī behuramtī karte haiṅ. 8jab kabhī kisī qurbāngāh ke pās pūjā karne jāte haiṅ to aise kapṛoṅ par ārām karte haiṅ jo qarzdāroṅ ne zamānat ke taur par die the. jab kabhī apne devtā ke mandir meṅ jāte to aise paisoṅ se mai ḵẖarīd kar pīte haiṅ jo jurmānā ke taur par zarūratmandoṅ se mil gae the.

9yah kaisī bāt hai? maiṅ hī ne amoriyoṅ ko un ke āge āge nest kar diyā thā, hālāṅki vah deodār ke daraḵẖtoṅ jaise lambe aur balūt ke daraḵẖtoṅ jaise tāqatvar the. maiṅ hī ne amoriyoṅ ko jaṛoṅ aur phal samet miṭā diyā thā. 10is se pahale maiṅ hī tumheṅ misr se nikāl lāyā, maiṅ hī ne chālīs sāl tak registān meṅ tumhārī rāhanumāī karte karte tumheṅ amoriyoṅ ke mulk tak pahuṅchāyā tāki us par qabzā karo. 11maiṅ hī ne tumhāre beṭoṅ meṅ se nabī barpā kie, aur maiṅ hī ne tumhāre naujvānoṅ meṅ se kuchh chun liye tāki apnī ḵẖidmat ke liye maḵẖsūs karūṅ.” rabb farmātā hai, “ai isrāīliyo, kyā aisā nahīṅ thā? 12lekin tum ne mere liye maḵẖsūs ādmiyoṅ ko mai pilāī aur nabiyoṅ ko hukm diyā ki nubuvvat mat karo.

13ab maiṅ hone dūṅgā ki tum anāj se ḵẖūb ladī huī bailgāṛī kī tarah jhūlne lagoge. 14na tezrau shaḵẖs bhāg kar bachegā, na tāqatvar ādmī kuchh kar pāegā. na sūrmā apnī jān bachāegā, 15na tīr chalāne vālā qāim rahegā. koī nahīṅ bachegā, ḵẖwāh paidal dauṛne vālā ho yā ghoṛe par savār. 16us din sab se bahādur sūrmā bhī hathiyār ḍāl kar naṅgī hālat meṅ bhāg jāegā.” yah rabb kā farmān hai.