Istisnā 11
rabb se muhabbat rakh aur us kī sun
1rabb apne ḵẖudā se piyār kar aur hameshā us ke ahkām ke mutābiq zindagī guzār. 2āj jān lo ki tumhāre bacchoṅ ne nahīṅ balki tum hī ne rabb apne ḵẖudā se tarbiyat pāī. tum ne us kī azmat, baṛe iḵẖtiyār aur qudrat ko dekhā, 3aur tum un mojizoṅ ke gavāh ho jo us ne misr ke bādshāh firaaun aur us ke pūre mulk ke sāmne kie. 4tum ne dekhā ki rabb ne kis tarah misrī fauj ko us ke ghoṛoṅ aur rathoṅ samet bahar-e-qulzum meṅ ġarq kar diyā jab vah tumhārā tāqqub kar rahe the. us ne unheṅ yūṅ tabāh kiyā ki vah āj tak bahāl nahīṅ hue.
5tumhāre bacche nahīṅ balki tum hī gavāh ho ki yahāṅ pahuṅchne se pahale rabb ne registān meṅ tumhārī kis tarah dekh-bhāl kī. 6tum ne us kā iliyāb ke beṭoṅ dātan aur abīrām ke sāth sulūk dekhā jo rūbin ke qabīle ke the. us din zamīn ne ḵẖaimāgāh ke andar muṅh khol kar unheṅ un ke gharānoṅ, ḍeroṅ aur tamām jāndāroṅ samet haṛap kar liyā.
7tum ne apnī hī āṅkhoṅ se rabb ke yah tamām azīm kām dekhe haiṅ. 8chunāṅche un tamām ahkām par amal karte raho jo maiṅ āj tumheṅ de rahā hūṅ tāki tumheṅ vah tāqat hāsil ho jo darkār hogī jab tum daryā-e-yardan ko pār karke mulk par qabzā karoge. 9agar tum faramāṁbardār raho to der tak us mulk meṅ jīte rahoge jis kā vādā rabb ne qasam khā kar tumhāre bāpdādā se kiyā thā aur jis meṅ dūdh aur shahad kī kasrat hai.
10kyūṅki yah mulk misr kī mānind nahīṅ hai jahāṅ se tum nikal āe ho. vahāṅ ke khetoṅ meṅ tujhe bīj bo kar baṛī mehanat se us kī ābpāshī karnī paṛtī thī 11jabki jis mulk par tum qabzā karoge us meṅ pahāṛ aur vādiyāṅ haiṅ jinheṅ sirf bārish kā pānī serāb kartā hai. 12rabb terā ḵẖudā ḵẖud us mulk kā ḵẖayāl rakhtā hai. rabb tere ḵẖudā kī āṅkheṅ sāl ke pahale din se le kar āḵẖir tak mutvātir us par lagī rahatī haiṅ.
13chunāṅche un ahkām ke tābe raho jo maiṅ āj tumheṅ de rahā hūṅ. rabb apne ḵẖudā se piyār karo aur apne pūre dil-o-jān se us kī ḵẖidmat karo. 14phir vah ḵẖarīf aur bahār kī sālānā bārish vaqt par bhejegā. anāj, aṅgūr aur zaitūn kī fasleṅ pakeṅgī, aur tū unheṅ jamā kar legā. 15nīz, allāh terī charāgāhoṅ meṅ tere revṛoṅ ke liye ghās muhayyā karegā, aur tū khā kar ser ho jāegā.
16lekin ḵẖabardār, kahīṅ tumheṅ varġalāyā na jāe. aisā na ho ki tum rabb kī rāh se haṭ jāo aur dīgar mābūdoṅ ko sijdā karke un kī ḵẖidmat karo. 17varnā rabb kā ġazab tum par ān paṛegā, aur vah mulk meṅ bārish hone nahīṅ degā. tumhārī fasleṅ nahīṅ pakeṅgī, aur tumheṅ jald hī us acchhe mulk meṅ se miṭā diyā jāegā jo rabb tumheṅ de rahā hai.
18chunāṅche merī yah bāteṅ apne diloṅ par naqsh kar lo. unheṅ nishān ke taur par aur yāddahānī ke liye apne hāthoṅ aur māthoṅ par lagāo. 19unheṅ apne bacchoṅ ko sikhāo. har jagah aur hameshā un ke bāre meṅ bāt karo, ḵẖwāh tū ghar meṅ baiṭhā yā rāste par chaltā ho, leṭā ho yā khaṛā ho. 20unheṅ apne gharoṅ kī chaukhṭoṅ aur apne shaharoṅ ke darvāzoṅ par likh 21tāki jab tak zamīn par āsmān qāim hai tum aur tumhārī aulād us mulk meṅ jīte raheṅ jis kā vādā rabb ne qasam khā kar tumhāre bāpdādā se kiyā thā.
22ehatiyāt se un ahkām kī pairvī karo jo maiṅ tumheṅ de rahā hūṅ. rabb apne ḵẖudā se piyār karo, us ke tamām ahkām par amal karo aur us ke sāth lipṭe raho. 23phir vah tumhāre āge āge yah tamām qaumeṅ nikāl degā aur tum aisī qaumoṅ kī zamīnoṅ par qabzā karoge jo tum se baṛī aur tāqatvar haiṅ. 24tum jahāṅ bhī qadam rakhoge vah tumhārā hī hogā, junūbī registān se le kar lubnān tak, daryā-e-furāt se bahīrā-e-rūm tak. 25koī bhī tumhārā sāmnā nahīṅ kar sakegā. tum us mulk meṅ jahāṅ bhī jāoge vahāṅ rabb tumhārā ḵẖudā apne vāde ke mutābiq tumhārī dahshat aur ḵẖauf paidā kar degā. 26āj tum ḵẖud faislā karo. kyā tum rabb kī barkat yā us kī lānat pānā chāhate ho? 27agar tum rabb apne ḵẖudā ke un ahkām par amal karo jo maiṅ āj tumheṅ de rahā hūṅ to vah tumheṅ barkat degā. 28lekin agar tum un ke tābe na raho balki merī peshakaradā rāh se haṭ kar dīgar mābūdoṅ kī pairvī karo to vah tum par lānat bhejegā.
29jab rabb terā ḵẖudā tujhe us mulk meṅ le jāegā jis par tū qabzā karegā to lāzim hai ki garizīm pahāṛ par chaṛh kar barkat kā elān kare aur aibāl pahāṛ par lānat kā. 30yah do pahāṛ daryā-e-yardan ke maġrib meṅ un kan’āniyoṅ ke ilāqe meṅ vāqe haiṅ jo vādī-e-yardan meṅ ābād haiṅ. vah maġrib kī taraf jiljāl shahar ke sāmne morih ke balūt ke daraḵẖtoṅ ke nazdīk haiṅ. 31ab tum daryā-e-yardan ko pār karke us mulk par qabzā karne vāle ho jo rabb tumhārā ḵẖudā tumheṅ de rahā hai. jab tum use apnā kar us meṅ ābād ho jāoge 32to ehatiyāt se un tamām ahkām par amal karte raho jo maiṅ āj tumheṅ de rahā hūṅ.