Istisnā 3
basan ke bādshāh oj kī shikast
1is ke bād ham shimāl meṅ basan kī taraf baṛh gae. basan kā bādshāh oj apnī tamām fauj ke sāth nikal kar hamārā muqāblā karne ke liye idraī āyā. 2rabb ne mujh se kahā, “us se mat ḍar. maiṅ use, us kī pūrī fauj aur us kā mulk tere havāle kar chukā hūṅ. us ke sāth vah kuchh kar jo tū ne amorī bādshāh sīhon ke sāth kiyā jo hasbon meṅ hukūmat kartā thā.”
3aisā hī huā. rabb hamāre ḵẖudā kī madad se ham ne basan ke bādshāh oj aur us kī tamām qaum ko shikast dī. ham ne sab ko halāk kar diyā. koī bhī na bachā. 4usī vaqt ham ne us ke tamām shaharoṅ par qabzā kar liyā. ham ne kul 60 shaharoṅ par yānī arjūb ke sāre ilāqe par qabzā kiyā jis par oj kī hukūmat thī. 5in tamām shaharoṅ kī hifāzat ūṅchī ūṅchī fasīloṅ aur kuṅḍe vāle darvāzoṅ se kī gaī thī. dīhāt meṅ bahut sī aisī ābādiyāṅ bhī mil gaīṅ jin kī fasīleṅ nahīṅ thīṅ. 6ham ne un ke sāth vah kuchh kiyā jo ham ne hasbon ke bādshāh sīhon ke ilāqe ke sāth kiyā thā. ham ne sab kuchh rabb ke havāle karke har shahar ko aur tamām mardoṅ, aurtoṅ aur bacchoṅ ko halāk kar ḍālā. 7ham ne sirf tamām maveshī aur shaharoṅ kā lūṭā huā māl apne liye bachāe rakhā.
8yūṅ ham ne us vaqt amoriyoṅ ke in do bādshāhoṅ se daryā-e-yardan kā mashriqī ilāqā vādī-e-arnon se le kar harmūn pahāṛ tak chhīn liyā. 9(saidā ke bāshinde harmūn ko siryūn kahate haiṅ jabki amoriyoṅ ne us kā nām sanīr rakhā). 10ham ne oj bādshāh ke pūre ilāqe par qabzā kar liyā. is meṅ maidān-e-murtafā ke tamām shahar shāmil the, nīz salkā aur idraī tak jiliād aur basan ke pūre ilāqe.
11bādshāh oj deo qabīle rafāī kā āḵẖirī mard thā. us kā lohe kā tābūt 13 se zāid fuṭ lambā aur chhah fuṭ chauṛā thā aur āj tak ammoniyoṅ ke shahar rabā meṅ dekhā jā saktā hai.
yardan ke mashriq meṅ mulk kī taqsīm
12jab ham ne daryā-e-yardan ke mashriqī ilāqe par qabzā kiyā to maiṅ ne rūbin aur jad ke qabīloṅ ko us kā junūbī hissā shaharoṅ samet diyā. is ilāqe kī junūbī sarhadd daryā-e-arnon par vāqe shahar aroīr hai jabki shimāl meṅ is meṅ jiliād ke pahāṛī ilāqe kā ādhā hissā bhī shāmil hai. 13jiliād kā shimālī hissā aur basan kā mulk maiṅ ne manassī ke ādhe qabīle ko diyā.
(basan meṅ arjūb kā ilāqā hai jahāṅ pahale oj bādshāh kī hukūmat thī aur jo rafāiyoṅ yānī deoṅ kā mulk kahalātā thā. 14manassī ke qabīle ke ek ādmī banām yāīr ne arjūb par jasūriyoṅ aur mākātiyoṅ kī sarhadd tak qabzā kar liyā thā. us ne is ilāqe kī bastiyoṅ ko apnā nām diyā. āj tak yahī nām havvot-yāīr yānī yāīr kī bastiyāṅ chaltā hai.)
15maiṅ ne jiliād kā shimālī hissā manassī ke kuṁbe makīr ko diyā 16lekin jiliād kā junūbī hissā rūbin aur jad ke qabīloṅ ko diyā. is hisse kī ek sarhadd junūb meṅ vādī-e-arnon ke bīch meṅ se guzartī hai jabki dūsrī sarhadd daryā-e-yabboq hai jis ke pār ammoniyoṅ kī hukūmat hai. 17us kī maġribī sarhadd daryā-e-yardan hai yānī kinnarat (galīl) kī jhīl se le kar bahīrā-e-murdār tak jo pisgā ke pahāṛī silsile ke dāman meṅ hai.
18us vaqt maiṅ ne rūbin, jad aur manassī ke qabīloṅ se kahā, “rabb tumhāre ḵẖudā ne tumheṅ mīrās meṅ yah mulk de diyā hai. lekin shart yah hai ki tumhāre tamām jaṅg karne ke qābil mard musallah ho kar tumhāre isrāīlī bhāiyoṅ ke āge āge daryā-e-yardan ko pār kareṅ. 19sirf tumhārī aurteṅ aur bacche pīchhe rah kar un shaharoṅ meṅ intizār kar sakte haiṅ jo maiṅ ne tumhāre liye muqarrar kie haiṅ. tum apne maveshiyoṅ ko bhī pīchhe chhoṛ sakte ho, kyūṅki mujhe patā hai ki tumhāre bahut ziyādā jānvar haiṅ. 20apne bhāiyoṅ ke sāth chalte hue un kī madad karte raho. jab rabb tumhārā ḵẖudā unheṅ daryā-e-yardan ke maġrib meṅ vāqe mulk degā aur vah tumhārī tarah ārām aur sukūn se vahāṅ ābād ho jāeṅge tab tum apne mulk meṅ vāpas jā sakte ho.”
mūsā ko yardan pār karne kī ijāzat nahīṅ miltī
21sāth sāth maiṅ ne yashūa se kahā, “tū ne apnī āṅkhoṅ se sab kuchh dekh liyā hai jo rabb tumhāre ḵẖudā ne in donoṅ bādshāhoṅ sīhon aur oj se kiyā. vah yahī kuchh har us bādshāh ke sāth karegā jis ke mulk par tū daryā ko pār karke hamlā karegā. 22un se na ḍaro. tumhārā ḵẖudā ḵẖud tumhāre liye jaṅg karegā.”
23us vaqt maiṅ ne rabb se iltijā karke kahā, 24“ai rabb qādir-e-mutlaq, tū apne ḵẖādim ko apnī azmat aur qudrat dikhāne lagā hai. kyā āsmān yā zamīn par koī aur ḵẖudā hai jo terī tarah ke azīm kām kar saktā hai? hargiz nahīṅ! 25meharbānī karke mujhe bhī daryā-e-yardan ko pār karke us acchhe mulk yānī us behtarīn pahāṛī ilāqe ko lubnān tak dekhne kī ijāzat de.”
26lekin tumhāre sabab se rabb mujh se nārāz thā. us ne merī na sunī balki kahā, “bas kar! āindā mere sāth is kā zikr na karnā. 27pisgā kī choṭī par chaṛh kar chāroṅ taraf nazar dauṛā. vahāṅ se ġaur se dekh, kyūṅki tū ḵẖud daryā-e-yardan ko ubūr nahīṅ karegā. 28apnī jagah yashūa ko muqarrar kar. us kī hausalāafzāī kar aur use mazbūt kar, kyūṅki vahī is qaum ko daryā-e-yardan ke maġrib meṅ le jāegā aur qabīloṅ meṅ us mulk ko taqsīm karegā jise tū pahāṛ se dekhegā.”
29chunāṅche ham bait-faġūr ke qarīb vādī meṅ ṭhahare.