Istisnā 5
das ahkām
1mūsā ne tamām isrāīliyoṅ ko jamā karke kahā,
e isrāīl, dhyān se vah hidāyāt aur ahkām sun jo maiṅ tumheṅ āj pesh kar rahā hūṅ. unheṅ sīkho aur baṛī ehatiyāt se un par amal karo. 2rabb hamāre ḵẖudā ne horib yānī sīnā pahāṛ par hamāre sāth ahd bāṅdhā. 3us ne yah ahd hamāre bāpdādā ke sāth nahīṅ balki hamāre hī sāth bāṅdhā hai, jo āj is jagah par zindā haiṅ. 4rabb pahāṛ par āg meṅ se rū-ba-rū ho kar tum se hamkalām huā. 5us vaqt maiṅ tumhāre aur rabb ke darmiyān khaṛā huā tāki tumheṅ rabb kī bāteṅ sunāūṅ. kyūṅki tum āg se ḍarte the aur is liye pahāṛ par na chaṛhe. us vaqt rabb ne kahā,
6“maiṅ rabb terā ḵẖudā hūṅ jo tujhe mulk-e-misr kī ġulāmī se nikāl lāyā. 7mere sivā kisī aur mābūd kī parastish na karnā.
8apne liye but na banānā. kisī bhī chīz kī mūrat na banānā, chāhe vah āsmān meṅ, zamīn par yā samundar meṅ ho. 9na butoṅ kī parastish, na un kī ḵẖidmat karnā, kyūṅki maiṅ terā rabb ġayūr ḵẖudā hūṅ. jo mujh se nafrat karte haiṅ unheṅ maiṅ tīsrī aur chauthī pusht tak sazā dūṅgā. 10lekin jo mujh se muhabbat rakhte aur mere ahkām pūre karte haiṅ un par maiṅ hazār pushtoṅ tak meharbānī karūṅgā.
11rabb apne ḵẖudā kā nām bemaqsad yā ġalat maqsad ke liye istemāl na karnā. jo bhī aisā kartā hai use rabb sazā die baġair nahīṅ chhoṛegā.
12sabat ke din kā ḵẖayāl rakhnā. use is tarah manānā ki vah maḵẖsūs-o-muqaddas ho, usī tarah jis tarah rabb tere ḵẖudā ne tujhe hukm diyā hai. 13hafte ke pahale chhah din apnā kām-kāj kar, 14lekin sātvāṅ din rabb tere ḵẖudā kā ārām kā din hai. us din kisī tarah kā kām na karnā. na tū, na terā beṭā, na terī beṭī, na terā naukar, na terī naukrānī, na terā bail, na terā gadhā, na terā koī aur maveshī. jo pardesī tere darmiyān rahatā hai vah bhī kām na kare. tere naukar aur terī naukrānī ko terī tarah ārām kā mauqā milnā hai. 15yād rakhnā ki tū misr meṅ ġulām thā aur ki rabb terā ḵẖudā hī tujhe baṛī qudrat aur iḵẖtiyār se vahāṅ se nikāl lāyā. is liye us ne tujhe hukm diyā hai ki sabat kā din manānā.
16apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā jis tarah rabb tere ḵẖudā ne tujhe hukm diyā hai. phir tū us mulk meṅ jo rabb terā ḵẖudā tujhe dene vālā hai ḵẖushhāl hogā aur der tak jītā rahegā.
17qatl na karnā.
18zinā na karnā.
19chorī na karnā.
20apne paṛosī ke bāre meṅ jhūṭī gavāhī na denā.
21apne paṛosī kī bīvī kā lālach na karnā. na us ke ghar kā, na us kī zamīn kā, na us ke naukar kā, na us kī naukrānī kā, na us ke bail aur na us ke gadhe kā balki us kī kisī bhī chīz kā lālach na karnā.”
22rabb ne tum sab ko yah ahkām die jab tum sīnā pahāṛ ke dāman meṅ jamā the. vahāṅ tum ne āg, bādal aur gahare aṅdhere meṅ se us kī zordār āvāz sunī. yahī kuchh us ne kahā aur bas. phir us ne unheṅ patthar kī do taḵẖtiyoṅ par likh kar mujhe de diyā.
log rabb se ḍarte haiṅ
23jab tum ne tārīkī se yah āvāz sunī aur pahāṛ kī jaltī huī hālat dekhī to tumhāre qabīloṅ ke rāhanumā aur buzurg mere pās āe. 24unhoṅ ne kahā, “rabb hamāre ḵẖudā ne ham par apnā jalāl aur azmat zāhir kī hai. āj ham ne āg meṅ se us kī āvāz sunī hai. ham ne dekh liyā hai ki jab allāh insān se hamkalām hotā hai to zarūrī nahīṅ ki vah mar jāe. 25lekin ab ham kyūṅ apnī jān ḵẖatre meṅ ḍāleṅ? agar ham mazīd rabb apne ḵẖudā kī āvāz suneṅ to yah baṛī āg hameṅ bhasm kar degī aur ham apnī jān se hāth dho baiṭheṅge. 26kyūṅki fānī insānoṅ meṅ se kaun hamārī tarah zindā ḵẖudā ko āg meṅ se bāteṅ karte hue sun kar zindā rahā hai? koī bhī nahīṅ! 27āp hī qarīb jā kar un tamām bātoṅ ko suneṅ jo rabb hamārā ḵẖudā hameṅ batānā chāhatā hai. phir lauṭ kar hameṅ vah bāteṅ sunāeṅ. ham unheṅ suneṅge aur un par amal kareṅge.”
28jab rabb ne yah sunā to us ne mujh se kahā, “maiṅ ne in logoṅ kī yah bāteṅ sun lī haiṅ. vah ṭhīk kahate haiṅ. 29kāsh un kī soch hameshā aisī hī ho! kāsh vah hameshā isī tarah merā ḵẖauf māneṅ aur mere ahkām par amal kareṅ! agar vah aisā kareṅge to vah aur un kī aulād hameshā kāmyāb raheṅge. 30jā, unheṅ batā de ki apne ḵẖaimoṅ meṅ lauṭ jāo. 31lekin tū yahāṅ mere pās rah tāki maiṅ tujhe tamām qavānīn aur ahkām de dūṅ. un ko logoṅ ko sikhānā tāki vah us mulk meṅ un ke mutābiq chaleṅ jo maiṅ unheṅ dūṅgā.”
32chunāṅche ehatiyāt se un ahkām par amal karo jo rabb tumhāre ḵẖudā ne tumheṅ die haiṅ. un se na dāeṅ haṭo na bāeṅ. 33hameshā us rāh par chalte raho jo rabb tumhāre ḵẖudā ne tumheṅ batāī hai. phir tum kāmyāb hoge aur us mulk meṅ der tak jīte rahoge jis par tum qabzā karoge.