Āstar 7
hāmān kā satyānās
1chunāṅche bādshāh aur hāmān āstar malikā kī ziyāfat meṅ sharīk hue. 2mai pīte vaqt bādshāh ne pahale din kī tarah ab bhī pūchhā, “āstar malikā, ab batāeṅ, āp kyā chāhatī haiṅ? vah āp ko diyā jāegā. apnī daraḵẖwāst pesh kareṅ, kyūṅki maiṅ saltanat ke ādhe hisse tak āp ko dene ke liye tayyār hūṅ.”
3malikā ne javāb diyā, “agar bādshāh mujh se ḵẖush hoṅ aur unheṅ merī bāt manzūr ho to merī guzārish pūrī kareṅ ki merī aur merī qaum kī jān bachī rahe. 4kyūṅki mujhe aur merī qaum ko un ke hāth bech ḍālā gayā hai jo hameṅ tabāh aur halāk karke nest-o-nābūd karnā chāhate haiṅ. agar ham bik kar ġulām aur lauṅḍiyāṅ ban jāte to maiṅ ḵẖāmosh rahatī. aisī koī musībat bādshāh ko taṅg karne ke liye kāfī na hotī.”
5yah sun kar aḵẖasverus ne āstar se savāl kiyā, “kaun aisī harkat karne kī jur’at kartā hai? vah kahāṅ hai?” 6āstar ne javāb diyā, “hamārā dushman aur muḵẖālif yah sharīr ādmī hāmān hai!”
tab hāmān bādshāh aur malikā se dahshat khāne lagā. 7bādshāh āg-bagūlā ho kar khaṛā ho gayā aur mai ko chhoṛ kar mahal ke bāġ meṅ ṭahalne lagā. hāmān pīchhe rah kar āstar se iltijā karne lagā, “merī jān bachāeṅ” kyūṅki use andāzā ho gayā thā ki bādshāh ne mujhe sazā-e-maut dene kā faislā kar liyā hai.
8jab bādshāh vāpas āyā to kyā dekhtā hai ki hāmān us sofe par gir gayā hai jis par āstar ṭek lagāe baiṭhī hai. bādshāh garjā, “kyā yah ādmī yahīṅ mahal meṅ mere huzūr malikā kī ismatdarī karnā chāhatā hai?” jūṅ hī bādshāh ne yah alfāz kahe mulāzimoṅ ne hāmān ke muṅh par kapṛā ḍāl diyā. 9bādshāh kā ḵẖwājāsarā ḵẖarbūnāh bol uṭhā, “hāmān ne apne ghar ke qarīb sūlī tayyār karvāī hai jis kī ūṅchāī 75 fuṭ hai. vah mardkī ke liye banvāī gaī hai, us shaḵẖs ke liye jis ne bādshāh kī jān bachāī.” bādshāh ne hukm diyā, “hāmān ko us se laṭkā do.”
10chunāṅche hāmān ko usī sūlī se laṭkā diyā gayā jo us ne mardkī ke liye banvāī thī. tab bādshāh kā ġussā ṭhaṅḍā ho gayā.