Āstar 9
yahūdī badlā lete haiṅ
1phir 12veṅ mahīne adār kā 13vāṅ din [a] 7 mārch. ā gayā jab bādshāh ke farmān par amal karnā thā. dushmanoṅ ne us din yahūdiyoṅ par ġālib āne kī ummīd rakhī thī, lekin ab is ke ulaṭ huā, yahūdī ḵẖud un par ġālib āe jo un se nafrat rakhte the. 2saltanat ke tamām sūboṅ meṅ vah apne apne shaharoṅ meṅ jamā hue tāki un par hamlā kareṅ jo unheṅ nuqsān pahuṅchānā chāhate the. koī un kā muqāblā na kar sakā, kyūṅki dīgar tamām qaumoṅ ke log un se ḍar gae the. 3sāth sāth sūboṅ ke shurfā, gavarnaroṅ, hākimoṅ aur dīgar shāhī afsaroṅ ne yahūdiyoṅ kī madad kī, kyūṅki mardkī kā ḵẖauf un par tārī ho gayā thā, 4aur darbār meṅ us ke ūṅche uhde aur us ke baṛhte hue asar-o-rasūḵẖ kī ḵẖabar tamām sūboṅ meṅ phail gaī thī.
5us din yahūdiyoṅ ne apne dushmanoṅ ko talvār se mār ḍālā aur halāk karke nest-o-nābūd kar diyā. jo bhī un se nafrat rakhtā thā us ke sāth unhoṅ ne jo jī chāhā sulūk kiyā. 6sosan ke qilae meṅ unhoṅ ne 500 ādmiyoṅ ko mār ḍālā, 7-10 nīz yahūdiyoṅ ke dushman hāmān ke 10 beṭoṅ ko bhī. un ke nām parshandātā, dalfūn, aspātā, porātā, adaliyāh, arīdātā, parmashtā, arīsī, aridī aur vaizātā the. lekin yahūdiyoṅ ne un kā māl na lūṭā.
11usī din bādshāh ko ittilā dī gaī ki sosan ke qilae meṅ kitne afrād halāk hue the. 12tab us ne āstar malikā se kahā, “sirf yahāṅ sosan ke qilae meṅ yahūdiyoṅ ne hāmān ke 10 beṭoṅ ke ilāvā 500 ādmiyoṅ ko maut ke ghāṭ utār diyā hai. to phir unhoṅ ne dīgar sūboṅ meṅ kyā kuchh na kiyā hogā! ab mujhe batāeṅ, āp mazīd kyā chāhatī haiṅ? vah āp ko diyā jāegā. apnī daraḵẖwāst pesh kareṅ, kyūṅki vah pūrī kī jāegī.” 13āstar ne javāb diyā, “agar bādshāh ko manzūr ho to sosan ke yahūdiyoṅ ko ijāzat dī jāe ki vah āj kī tarah kal bhī apne dushmanoṅ par hamlā kareṅ. aur hāmān ke 10 beṭoṅ kī lāsheṅ sūlī se laṭkāī jāeṅ.”
14bādshāh ne ijāzat dī to sosan meṅ is kā elān kiyā gayā. tab hāmān ke 10 beṭoṅ ko sūlī se laṭkā diyā gayā, 15aur agle din yānī mahīne ke 14veṅ din [b] 8 mārch. shahar ke yahūdī dubārā jamā hue. is bār unhoṅ ne 300 ādmiyoṅ ko qatl kiyā. lekin unhoṅ ne kisī kā māl na lūṭā.
16-17 saltanat ke sūboṅ ke bāqī yahūdī bhī mahīne ke 13veṅ din [c] 7 mārch. apne difā ke liye jamā hue the. unhoṅ ne 75,000 dushmanoṅ ko qatl kiyā lekin kisī kā māl na lūṭā thā. ab vah dubārā chain kā sāṅs le kar ārām se zindagī guzār sakte the. agle din unhoṅ ne ek dūsre kī ziyāfat karke ḵẖushī kā baṛā jashn manāyā. 18sosan ke yahūdiyoṅ ne mahīne ke 13veṅ aur 14veṅ din jamā ho kar apne dushmanoṅ par hamlā kiyā thā, is liye unhoṅ ne 15veṅ din ḵẖushī kā baṛā jashn manāyā. 19yahī vajah hai ki dīhāt aur khule shaharoṅ meṅ rahane vāle yahūdī āj tak 12veṅ mahīne ke 14veṅ din [d] farvrī tā mārch. jashn manāte hue ek dūsre kī ziyāfat karte aur ek dūsre ko tuhfe dete haiṅ.
īd-e-pūrīm kī ibtidā
20jo kuchh us vaqt huā thā use mardkī ne qalamband kar diyā. sāth sāth us ne fārsī saltanat ke qarībī aur dūrdarāz ke tamām sūboṅ meṅ ābād yahūdiyoṅ ko ḵẖat likh die 21jin meṅ us ne elān kiyā, “ab se sālānā adār mahīne ke 14veṅ aur 15veṅ din jashn manānā hai. 22ḵẖushī manāte hue ek dūsre kī ziyāfat karnā, ek dūsre ko tuhfe denā aur ġarīboṅ meṅ ḵẖairāt taqsīm karnā, kyūṅki in dinoṅ ke daurān āp ko apne dushmanoṅ se sukūn hāsil huā hai, āp kā dukh sukh meṅ aur āp kā mātam shādmānī meṅ badal gayā.”
23mardkī kī in hidāyāt ke mutābiq in do dinoṅ kā jashn dastūr ban gayā.
24-26 īd kā nām ‘pūrīm’ paṛ gayā, kyūṅki jab yahūdiyoṅ kā dushman hāmān bin hammadātā ajājī un sab ko halāk karne kā mansūbā bāṅdh rahā thā to us ne yahūdiyoṅ ko mārne kā sab se mubārak din mālūm karne ke liye qur’ā banām pūr ḍāl diyā. jab aḵẖasverus ko sab kuchh mālūm huā to us ne hukm diyā ki hāmān ko vah sazā dī jāe jis kī tayyāriyāṅ us ne yahūdiyoṅ ke liye kī thīṅ. tab use us ke beṭoṅ samet phāṅsī se laṭkāyā gayā.
chūṅki yahūdī is tajribe se guzre the aur mardkī ne hidāyat dī thī 27is liye vah muttafiq hue ki ham sālānā isī vaqt yah do din ain hidāyāt ke mutābiq manāeṅge. yah dastūr na sirf hamārā farz hai, balki hamārī aulād aur un ġairyahūdiyoṅ kā bhī jo yahūdī mazhab meṅ sharīk ho jāeṅge. 28lāzim hai ki jo kuchh huā hai har nasal aur har ḵẖāndān use yād karke manātā rahe, ḵẖwāh vah kisī bhī sūbe yā shahar meṅ kyūṅ na ho. zarūrī hai ki yahūdī pūrīm kī īd manāne kā dastūr kabhī na bhūleṅ, ki us kī yād un kī aulād meṅ se kabhī bhī miṭ na jāe.
29malikā āstar bint abīḵẖail aur mardkī yahūdī ne pūre iḵẖtiyār ke sāth pūrīm kī īd ke bāre meṅ ek aur ḵẖat likh diyā tāki us kī tasdīq ho jāe. 30yah ḵẖat fārsī saltanat ke 127 sūboṅ meṅ ābād tamām yahūdiyoṅ ko bhejā gayā. salāmatī kī duā aur apnī vafādārī kā izhār karne ke bād 31malikā aur mardkī ne unheṅ dubārā hidāyat kī, “jis tarah ham ne farmāyā hai, yah īd lāziman mut’ayyin auqāt ke ain mutābiq manānī hai. ise manāne ke liye yūṅ muttafiq ho jāeṅ jis tarah āp ne apne aur apnī aulād ke liye rozā rakhne aur mātam karne ke din muqarrar kie haiṅ.” 32apne is farmān se āstar ne pūrīm kī īd aur use manāne ke qavāid kī tasdīq kī, aur yah tārīḵẖī kitāb meṅ darj kiyā gayā.