Ḵẖurūj 1
yāqūb kā ḵẖāndān misr meṅ
1zail meṅ un beṭoṅ ke nām haiṅ jo apne bāp yāqūb aur apne ḵẖāndānoṅ samet misr meṅ āe the : 2rūbin, shamāūn, lāvī, yahūdāh, 3ishkār, zabūlūn, binyamīn, 4dān, naftālī, jad aur āshar. 5us vaqt yāqūb kī aulād kī tādād 70 thī. yūsuf to pahale hī misr ā chukā thā.
6misr meṅ rahate hue bahut din guzar gae. itne meṅ yūsuf, us ke tamām bhāī aur us nasal ke tamām log mar gae. 7isrāīlī phale phūle aur tādād meṅ bahut baṛh gae. natīje meṅ vah nihāyat hī tāqatvar ho gae. pūrā mulk un se bhar gayā.
isrāīliyoṅ ko dabāyā jātā hai
8hote hote ek nayā bādshāh taḵẖtnashīn huā jo yūsuf se nāvāqif thā. 9us ne apne logoṅ se kahā, “isrāīliyoṅ ko dekho. vah tādād aur tāqat meṅ ham se baṛh gae haiṅ. 10āo, ham hikmat se kām leṅ, varnā vah mazīd baṛh jāeṅge. aisā na ho ki vah kisī jaṅg ke mauqe par dushman kā sāth de kar ham se laṛeṅ aur mulk ko chhoṛ jāeṅ.”
11chunāṅche misriyoṅ ne isrāīliyoṅ par nigrān muqarrar kie tāki begār meṅ un se kām karvā kar unheṅ dabāte raheṅ. us vaqt unhoṅ ne pitom aur rāmsīs ke shahar tāmīr kie. in shaharoṅ meṅ firaaun bādshāh ke baṛe baṛe godām the. 12lekin jitnā isrāīliyoṅ ko dabāyā gayā utnā hī vah tādād meṅ baṛhte aur phailte gae. āḵẖirkār misrī un se dahshat khāne lage, 13aur vah baṛī berahamī se un se kām karvāte rahe. 14isrāīliyoṅ kā guzārā nihāyat mushkil ho gayā. unheṅ gārā tayyār karke īṅṭeṅ banānā aur khetoṅ meṅ muḵẖtalif qism ke kām karnā paṛe. is meṅ misrī un se baṛī berahamī se pesh āte rahe.
dāiyāṅ allāh kī rāh par chaltī haiṅ
15isrāīliyoṅ kī do dāiyāṅ thīṅ jin ke nām sifrā aur fūā the. misr ke bādshāh ne un se kahā, 16“jab ibrānī aurteṅ tumheṅ madad ke liye bulāeṅ to ḵẖabardār raho. agar laṛkā paidā ho to use jān se mār do, agar laṛkī ho to use jītā chhoṛ do.” 17lekin dāiyāṅ allāh kā ḵẖauf māntī thīṅ. unhoṅ ne misr ke bādshāh kā hukm na mānā balki laṛkoṅ ko bhī jīne diyā.
18tab misr ke bādshāh ne unheṅ dubārā bulā kar pūchhā, “tum ne yah kyūṅ kiyā? tum laṛkoṅ ko kyūṅ jītā chhoṛ detī ho?” 19unhoṅ ne javāb diyā, “ibrānī aurteṅ misrī aurtoṅ se ziyādā mazbūt haiṅ. bacche hamāre pahuṅchne se pahale hī paidā ho jāte haiṅ.”
20chunāṅche allāh ne dāiyoṅ ko barkat dī, aur isrāīlī qaum tādād meṅ baṛh kar bahut tāqatvar ho gaī. 21aur chūṅki dāiyāṅ allāh kā ḵẖauf māntī thīṅ is liye us ne unheṅ aulād de kar un ke ḵẖāndānoṅ ko qāim rakhā.
22āḵẖirkār bādshāh ne apne tamām hamvatanoṅ se bāt kī, “jab bhī ibrāniyoṅ ke laṛke paidā hoṅ to unheṅ daryā-e-nīl meṅ phaiṅk denā. sirf laṛkiyoṅ ko zindā rahane do.”