Ḵẖurūj 20
das ahkām
1tab allāh ne yah tamām bāteṅ farmāīṅ, 2“maiṅ rabb terā ḵẖudā hūṅ jo tujhe mulk-e-misr kī ġulāmī se nikāl lāyā. 3mere sivā kisī aur mābūd kī parastish na karnā. 4apne liye but na banānā. kisī bhī chīz kī mūrat na banānā, chāhe vah āsmān meṅ, zamīn par yā samundar meṅ ho. 5na butoṅ kī parastish, na un kī ḵẖidmat karnā, kyūṅki maiṅ terā rabb ġayūr ḵẖudā hūṅ. jo mujh se nafrat karte haiṅ unheṅ maiṅ tīsrī aur chauthī pusht tak sazā dūṅgā. 6lekin jo mujh se muhabbat rakhte aur mere ahkām pūre karte haiṅ un par maiṅ hazār pushtoṅ tak meharbānī karūṅgā.
7rabb apne ḵẖudā kā nām bemaqsad yā ġalat maqsad ke liye istemāl na karnā. jo bhī aisā kartā hai use rabb sazā die baġair nahīṅ chhoṛegā.
8sabat ke din kā ḵẖayāl rakhnā. use is tarah manānā ki vah maḵẖsūs-o-muqaddas ho. 9hafte ke pahale chhah din apnā kām-kāj kar, 10lekin sātvāṅ din rabb tere ḵẖudā kā ārām kā din hai. us din kisī tarah kā kām na karnā. na tū, na terā beṭā, na terī beṭī, na terā naukar, na terī naukrānī aur na tere maveshī. jo pardesī tere darmiyān rahatā hai vah bhī kām na kare. 11kyūṅki rabb ne pahale chhah din meṅ āsmān-o-zamīn, samundar aur jo kuchh un meṅ hai banāyā lekin sātveṅ din ārām kiyā. is liye rabb ne sabat ke din ko barkat de kar muqarrar kiyā ki vah maḵẖsūs aur muqaddas ho.
12apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā. phir tū us mulk meṅ jo rabb terā ḵẖudā tujhe dene vālā hai der tak jītā rahegā.
13qatl na karnā.
14zinā na karnā.
15chorī na karnā.
16apne paṛosī ke bāre meṅ jhūṭī gavāhī na denā.
17apne paṛosī ke ghar kā lālach na karnā. na us kī bīvī kā, na us ke naukar kā, na us kī naukrānī kā, na us ke bail aur na us ke gadhe kā balki us kī kisī bhī chīz kā lālach na karnā.”
log ghabrā jāte haiṅ
18jab bāqī tamām logoṅ ne bādal kī garaj aur narsiṅge kī āvāz sunī aur bijlī kī chamak aur pahāṛ se uṭhte hue dhueṅ ko dekhā to vah ḵẖauf ke māre kāṁpne lage aur pahāṛ se dūr khaṛe ho gae. 19unhoṅ ne mūsā se kahā, “āp hī ham se bāt kareṅ to ham suneṅge. lekin allāh ko ham se bāt na karne deṅ varnā ham mar jāeṅge.”
20lekin mūsā ne un se kahā, “mat ḍaro, kyūṅki rabb tumheṅ jāṅchne ke liye āyā hai, tāki us kā ḵẖauf tumhārī āṅkhoṅ ke sāmne rahe aur tum gunāh na karo.” 21log dūr hī rahe jabki mūsā us gaharī tārīkī ke qarīb gayā jahāṅ allāh thā.
22tab rabb ne mūsā se kahā, “isrāīliyoṅ ko batā, ‘tum ne ḵẖud dekhā ki maiṅ ne āsmān par se tumhāre sāth bāteṅ kī haiṅ. 23chunāṅche merī parastish ke sāth sāth apne liye sone yā chāṅdī ke but na banāo. 24mere liye miṭṭī kī qurbāngāh banā kar us par apnī bheṛ-bakriyoṅ aur gāy-bailoṅ kī bhasm hone vālī aur salāmatī kī qurbāniyāṅ chaṛhānā. maiṅ tujhe vah jagaheṅ dikhāūṅgā jahāṅ mere nām kī tāzīm meṅ qurbāniyāṅ pesh karnī haiṅ. aisī tamām jagahoṅ par maiṅ tere pās ā kar tujhe barkat dūṅgā.
25agar tū mere liye qurbāngāh banāne kī ḵẖātir patthar istemāl karnā chāhe to tarāshe hue patthar istemāl na karnā. kyūṅki tū tarāshne ke liye istemāl hone vāle auzār se us kī behuramtī karegā. 26qurbāngāh ko sīṛhiyoṅ ke baġair banānā hai tāki us par chaṛhne se tere libās ke nīche se terā naṅgāpan nazar na āe.’