Ḵẖurūj 24
rabb isrāīl se ahd bāṅdhtā hai
1rabb ne mūsā se kahā, “tū, hārūn, nadab, abīhū aur isrāīl ke 70 buzurg mere pās ūpar āeṅ. kuchh fāsile par khaṛe ho kar mujhe sijdā karo. 2sirf tū akelā hī mere qarīb ā, dūsre dūr raheṅ. aur qaum ke bāqī log tere sāth pahāṛ par na chaṛheṅ.”
3tab mūsā ne qaum ke pās jā kar rabb kī tamām bāteṅ aur ahkām pesh kie. javāb meṅ sab ne mil kar kahā, “ham rabb kī in tamām bātoṅ par amal kareṅge.”
4tab mūsā ne rabb kī tamām bāteṅ likh līṅ. agle din vah subah-savere uṭhā aur pahāṛ ke pās gayā. us ke dāman meṅ us ne qurbāngāh banāī. sāth hī us ne isrāīl ke har ek qabīle ke liye ek ek patthar kā satūn khaṛā kiyā. 5phir us ne kuchh isrāīlī naujvānoṅ ko qurbānī pesh karne ke liye bulāyā tāki vah rabb kī tāzīm meṅ bhasm hone vālī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ aur javān bailoṅ ko salāmatī kī qurbānī ke taur par pesh kareṅ. 6mūsā ne qurbāniyoṅ kā ḵẖūn jamā kiyā. us kā ādhā hissā us ne bāsnoṅ meṅ ḍāl diyā aur ādhā hissā qurbāngāh par chhiṛak diyā.
7phir us ne vah kitāb lī jis meṅ rabb ke sāth ahd kī tamām sharāit darj thīṅ aur use qaum ko paṛh kar sunāyā. javāb meṅ unhoṅ ne kahā, “ham rabb kī in tamām bātoṅ par amal kareṅge. ham us kī suneṅge.” 8is par mūsā ne bāsnoṅ meṅ se ḵẖūn le kar use logoṅ par chhiṛkā aur kahā, “yah ḵẖūn us ahd kī tasdīq kartā hai jo rabb ne tumhāre sāth kiyā hai aur jo us kī tamām bātoṅ par mabnī hai.”
9is ke bād mūsā, hārūn, nadab, abīhū aur isrāīl ke 70 buzurg sīnā pahāṛ par chaṛhe. 10vahāṅ unhoṅ ne isrāīl ke ḵẖudā ko dekhā. lagtā thā ki us ke pāoṅ ke nīche saṅg-e-lājvard kā sā taḵẖtā thā. vah āsmān kī mānind sāf-o-shaffāf thā. 11agarchi isrāīl ke rāhanumāoṅ ne yah sab kuchh dekhā to bhī rabb ne unheṅ halāk na kiyā, balki vah allāh ko dekhte rahe aur us ke huzūr ahd kā khānā khāte aur pīte rahe.
patthar kī taḵẖtiyāṅ
12pahāṛ se utarne ke bād rabb ne mūsā se kahā, “mere pās pahāṛ par ā kar kuchh der ke liye ṭhahare rahanā. maiṅ tujhe patthar kī taḵẖtiyāṅ dūṅgā jin par maiṅ ne apnī sharīat aur ahkām likhe haiṅ aur jo isrāīl kī tālīm-o-tarbiyat ke liye zarūrī haiṅ.”
13mūsā apne madadgār yashūa ke sāth chal paṛā aur allāh ke pahāṛ par chaṛh gayā. 14pahale us ne buzurgoṅ se kahā, “hamārī vāpsī ke intizār meṅ yahāṅ ṭhahare raho. hārūn aur hūr tumhāre pās raheṅge. koī bhī muāmalā ho to log un hī ke pās jāeṅ.”
mūsā rabb se miltā hai
15jab mūsā chaṛhne lagā to pahāṛ par bādal chhā gayā. 16rabb kā jalāl koh-e-sīnā par utar āyā. chhah din tak bādal us par chhāyā rahā. sātveṅ din rabb ne bādal meṅ se mūsā ko bulāyā. 17rabb kā jalāl isrāīliyoṅ ko bhī nazar ātā thā. unheṅ yūṅ lagā jaisā ki pahāṛ kī choṭī par tez āg bhaṛak rahī ho. 18chaṛhte chaṛhte mūsā bādal meṅ dāḵẖil huā. vahāṅ vah chālīs din aur chālīs rāt rahā.