Ḵẖurūj 26
mulāqāt kā ḵẖaimā
1muqaddas ḵẖaime ke liye das parde banānā. un ke liye bārīk katān aur nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg kā dhāgā istemāl karnā. pardoṅ meṅ kisī māhir kārīgar ke kaṛāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāin banvānā. 2har parde kī lambāī 42 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ ho. 3pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛe jāeṅ aur isī tarah bāqī pāṅch bhī. yūṅ do baṛe ṭukṛe ban jāeṅge. 4donoṅ ṭukṛoṅ ko ek dūsre ke sāth milāne ke liye nīle dhāge ke halqe banānā. yah halqe har ṭukṛe ke 42 fuṭ vāle ek kināre par lagāe jāeṅ, 5ek ṭukṛe ke hāshie par 50 halqe aur dūsre par bhī utne hī halqe. in do hāshiyoṅ ke halqe ek dūsre ke āmne-sāmne hoṅ. 6phir sone kī 50 hukeṅ banā kar un se āmne-sāmne ke halqe ek dūsre ke sāth milānā. yūṅ donoṅ ṭukṛe juṛ kar ḵẖaime kā kām deṅge.
7bakrī ke bāloṅ se bhī 11 parde banānā jinheṅ kapṛe vāle ḵẖaime ke ūpar rakhā jāe. 8har parde kī lambāī 45 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ ho. 9pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛe jāeṅ aur isī tarah bāqī chhah bhī. in chhah pardoṅ ke chhaṭe parde ko ek dafā tah karnā. yah sāmne vāle hisse se laṭke.
10bakrī ke bāl ke in donoṅ ṭukṛoṅ ko bhī milānā hai. is ke liye har ṭukṛe ke 45 fuṭ vāle ek kināre par pachās pachās halqe lagānā. 11phir pītal kī 50 hukeṅ banā kar un se donoṅ hisse milānā. 12jab bakriyoṅ ke bāloṅ kā yah ḵẖaimā kapṛe ke ḵẖaime ke ūpar lagāyā jāegā to ādhā pardā bāqī rahegā. vah ḵẖaime kī pichhlī taraf laṭkā rahe. 13ḵẖaime ke dāīṅ aur bāīṅ taraf bakrī ke bāloṅ kā ḵẖaimā kapṛe ke ḵẖaime kī nisbat ḍeṛh ḍeṛh fuṭ lambā hogā. yūṅ vah donoṅ taraf laṭke hue kapṛe ke ḵẖaime ko mahfūz rakhegā.
14ek dūsre ke ūpar ke in donoṅ ḵẖaimoṅ kī hifāzat ke liye do ġilāf banāne haiṅ. bakrī ke bāloṅ ke ḵẖaime par meṅḍhoṅ kī surḵẖ raṅgī huī khāleṅ joṛ kar rakhī jāeṅ aur un par taḵẖas kī khāleṅ milā kar rakhī jāeṅ.
15kīkar kī lakṛī ke taḵẖte banānā jo khaṛe kie jāeṅ tāki ḵẖaime kī dīvāroṅ kā kām deṅ. 16har taḵẖte kī ūṅchāī 15 fuṭ ho aur chauṛāī savā do fuṭ. 17har taḵẖte ke nīche do do chūleṅ hoṅ. yah chūleṅ har taḵẖte ko us ke pāiyoṅ ke sāth joṛeṅgī tāki taḵẖtā khaṛā rahe. 18ḵẖaime kī junūbī dīvār ke liye 20 taḵẖtoṅ kī zarūrat hai 19aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāiyoṅ kī. un par taḵẖte khaṛe kie jāeṅge. har taḵẖte ke nīche do pāe hoṅge, aur har pāe meṅ ek chūl lagegī. 20isī tarah ḵẖaime kī shimālī dīvār ke liye bhī 20 taḵẖtoṅ kī zarūrat hai 21aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāiyoṅ kī. vah bhī taḵẖtoṅ ko khaṛā karne ke liye haiṅ. har taḵẖte ke nīche do pāe hoṅge. 22ḵẖaime kī pichhlī yānī maġribī dīvār ke liye chhah taḵẖte banānā. 23is dīvār ko shimālī aur junūbī dīvāroṅ ke sāth joṛne ke liye kone vāle do taḵẖte banānā. 24in do taḵẖtoṅ meṅ nīche se le kar ūpar tak konā ho tāki ek se shimālī dīvār maġribī dīvār ke sāth juṛ jāe aur dūsre se junūbī dīvār maġribī dīvār ke sāth. in ke ūpar ke sire kaṛoṅ se mazbūt kie jāeṅ. 25yūṅ pichhle yānī maġribī taḵẖtoṅ kī pūrī tādād 8 hogī aur in ke liye chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād 16, har taḵẖte ke nīche do do pāe hoṅge.
26-27 is ke ilāvā kīkar kī lakṛī ke shahatīr banānā, tīnoṅ dīvāroṅ ke liye pāṅch pāṅch shahatīr. vah har dīvār ke taḵẖtoṅ par yūṅ lagāe jāeṅ ki vah unheṅ ek dūsre ke sāth milāeṅ. 28darmiyānī shahatīr dīvār kī ādhī ūṅchāī par dīvār ke ek sire se dūsre sire tak lagāyā jāe. 29shahatīroṅ ko taḵẖtoṅ ke sāth lagāne ke liye sone ke kaṛe banā kar taḵẖtoṅ meṅ lagānā. tamām taḵẖtoṅ aur shahatīroṅ par sonā chaṛhānā.
30pūre muqaddas ḵẖaime ko usī namūne ke mutābiq banānā jo maiṅ tujhe pahāṛ par dikhātā hūṅ.
muqaddas ḵẖaime ke parde
31ab ek aur pardā banānā. is ke liye bhī bārīk katān aur nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg kā dhāgā istemāl karnā. us par bhī kisī māhir kārīgar ke kaṛāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāin banvānā. 32ise sone kī hukoṅ se kīkar kī lakṛī ke chār satūnoṅ se laṭkānā. in satūnoṅ par sonā chaṛhāyā jāe aur vah chāṅdī ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ. 33yah pardā muqaddas kamre ko muqaddastarīn kamre se alag karegā jis meṅ ahd kā sandūq paṛā rahegā. parde ko laṭkāne ke bād us ke pīchhe muqaddastarīn kamre meṅ ahd kā sandūq rakhnā. 34phir ahd ke sandūq par kaffāre kā ḍhaknā rakhnā.
35jis mez par mere liye maḵẖsūs kī gaī roṭiyāṅ paṛī rahatī haiṅ vah parde ke bāhar muqaddas kamre meṅ shimāl kī taraf rakhī jāe. us ke muqābil junūb kī taraf shamādān rakhā jāe.
36phir ḵẖaime ke darvāze ke liye bhī pardā banāyā jāe. is ke liye bhī bārīk katān aur nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg kā dhāgā istemāl kiyā jāe. is par kaṛāī kā kām kiyā jāe.
37is parde ko sone kī hukoṅ se kīkar kī lakṛī ke pāṅch satūnoṅ se laṭkānā. in satūnoṅ par bhī sonā chaṛhāyā jāe, aur vah pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.