Ḵẖurūj 29
imāmoṅ kī maḵẖsūsiyat
1imāmoṅ ko maqdis meṅ merī ḵẖidmat ke liye maḵẖsūs karne kā yah tarīqā hai :
ek javān bail aur do beaib meṅḍhe chun lenā. 2behtarīn maide se tīn qism kī chīzeṅ pakānā jin meṅ ḵẖamīr na ho. pahale, sādā roṭī. dūsre, roṭī jis meṅ tel ḍālā gayā ho. tīsre, roṭī jis par tel lagāyā gayā ho. 3yah chīzeṅ ṭokrī meṅ rakh kar javān bail aur do meṅḍhoṅ ke sāth rabb ko pesh karnā. 4phir hārūn aur us ke beṭoṅ ko mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par lā kar ġusal karānā. 5is ke bād zerjāmā, choġā, bālāposh aur sīne kā kīsā le kar hārūn ko pahanānā. bālāposh ko us ke mahārat se bune hue paṭke ke zarīe bāṅdhnā. 6us ke sar par pagṛī bāṅdh kar us par sone kī muqaddas taḵẖtī lagānā. 7hārūn ke sar par masah kā tel uṅḍel kar use masah karnā.
8phir us ke beṭoṅ ko āge lā kar zerjāmā pahanānā. 9un ke pagṛiyāṅ aur kamarband bāṅdhnā. yūṅ tū hārūn aur us ke beṭoṅ ko un ke mansab par muqarrar karnā. sirf vah aur un kī aulād hameshā tak maqdis meṅ merī ḵẖidmat karte raheṅ.
10bail ko mulāqāt ke ḵẖaime ke sāmne lānā. hārūn aur us ke beṭe us ke sar par apne hāth rakheṅ. 11use ḵẖaime ke darvāze ke sāmne rabb ke huzūr zabah karnā. 12bail ke ḵẖūn meṅ se kuchh le kar apnī uṅglī se qurbāngāh ke sīṅgoṅ par lagānā aur bāqī ḵẖūn qurbāngāh ke pāe par uṅḍel denā. 13aṅtaṛiyoṅ par kī tamām charbī, joṛkalejī aur donoṅ gurde un kī charbī samet le kar qurbāngāh par jalā denā. 14lekin bail ke gosht, khāl aur aṅtaṛiyoṅ ke gobar ko ḵẖaimāgāh ke bāhar jalā denā. yah gunāh kī qurbānī hai.
15is ke bād pahale meṅḍhe ko le ānā. hārūn aur us ke beṭe apne hāth meṅḍhe ke sar par rakheṅ. 16use zabah karke us kā ḵẖūn qurbāngāh ke chār pahalūoṅ par chhiṛaknā. 17meṅḍhe ko ṭukṛe ṭukṛe karke us kī aṅtaṛiyoṅ aur piṅḍaliyoṅ ko dhonā. phir unheṅ sar aur bāqī ṭukṛoṅ ke sāth milā kar 18pūre meṅḍhe ko qurbāngāh par jalā denā. jalne vālī yah qurbānī rabb ke liye bhasm hone vālī qurbānī hai, aur us kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai.
19ab dūsre meṅḍhe ko le ānā. hārūn aur us ke beṭe apne hāth meṅḍhe ke sar par rakheṅ. 20us ko zabah karnā. us ke ḵẖūn meṅ se kuchh le kar hārūn aur us ke beṭoṅ ke dahane kān kī lau par lagānā. isī tarah ḵẖūn ko un ke dahane hāth aur dahane pāoṅ ke aṅgūṭhoṅ par bhī lagānā. bāqī ḵẖūn qurbāngāh ke chār pahalūoṅ par chhiṛaknā. 21jo ḵẖūn qurbāngāh par paṛā hai us meṅ se kuchh le kar aur masah ke tel ke sāth milā kar hārūn aur us ke kapṛoṅ par chhiṛaknā. isī tarah us ke beṭoṅ aur un ke kapṛoṅ par bhī chhiṛaknā. yūṅ vah aur us ke beṭe ḵẖidmat ke liye maḵẖsūs-o-muqaddas ho jāeṅge.
22is meṅḍhe kā ḵẖās maqsad yah hai ki hārūn aur us ke beṭoṅ ko maqdis meṅ ḵẖidmat karne kā iḵẖtiyār aur uhdā diyā jāe. meṅḍhe kī charbī, dum, aṅtaṛiyoṅ par kī sārī charbī, joṛkalejī, donoṅ gurde un kī charbī samet aur dahanī rān alag karnī hai. 23us ṭokrī meṅ se jo rabb ke huzūr yānī ḵẖaime ke darvāze par paṛī hai ek sādā roṭī, ek roṭī jis meṅ tel ḍālā gayā ho aur ek roṭī jis par tel lagāyā gayā ho nikālnā. 24meṅḍhe se alag kī gaī chīzeṅ aur beḵẖamīrī roṭī kī ṭokrī kī yah chīzeṅ le kar hārūn aur us ke beṭoṅ ke hāthoṅ meṅ denā, aur vah unheṅ hilāne vālī qurbānī ke taur par rabb ke sāmne hilāeṅ. 25phir yah chīzeṅ un se vāpas le kar bhasm hone vālī qurbānī ke sāth qurbāngāh par jalā denā. yah rabb ke liye jalne vālī qurbānī hai, aur us kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai.
26ab us meṅḍhe kā sīnā lenā jis kī mārifat hārūn ko imām-e-āzam kā iḵẖtiyār diyā jātā hai. sīne ko bhī hilāne vālī qurbānī ke taur par rabb ke sāmne hilānā. yah sīnā qurbānī kā terā hissā hogā. 27yūṅ tujhe hārūn aur us ke beṭoṅ kī maḵẖsūsiyat ke liye mustāmal meṅḍhe ke ṭukṛe maḵẖsūs-o-muqaddas karne haiṅ. us ke sīne ko rabb ke sāmne hilāne vālī qurbānī ke taur par hilāyā jāe aur us kī rān ko uṭhāne vālī qurbānī ke taur par uṭhāyā jāe. 28hārūn aur us kī aulād ko isrāīliyoṅ kī taraf se hameshā tak yah milne kā haq hai. jab bhī isrāīlī rabb ko apnī salāmatī kī qurbāniyāṅ pesh kareṅ to imāmoṅ ko yah do ṭukṛe mileṅge.
29jab hārūn faut ho jāegā to us ke muqaddas libās us kī aulād meṅ se us mard ko dene haiṅ jise masah karke hārūn kī jagah muqarrar kiyā jāegā. 30jo beṭā us kī jagah muqarrar kiyā jāegā aur maqdis meṅ ḵẖidmat karne ke liye mulāqāt ke ḵẖaime meṅ āegā vah yah libās sāt din tak pahane rahe.
31jo meṅḍhā hārūn aur us ke beṭoṅ kī maḵẖsūsiyat ke liye zabah kiyā gayā hai use muqaddas jagah par ubālnā hai. 32phir hārūn aur us ke beṭe mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par meṅḍhe kā gosht aur ṭokrī kī beḵẖamīrī roṭiyāṅ khāeṅ. 33vah yah chīzeṅ khāeṅ jin se unheṅ gunāhoṅ kā kaffārā aur imām kā uhdā milā hai. lekin koī aur yah na khāe, kyūṅki yah maḵẖsūs-o-muqaddas haiṅ. 34aur agar aglī subah tak is gosht yā roṭī meṅ se kuchh bach jāe to use jalāyā jāe. use khānā manā hai, kyūṅki vah muqaddas hai.
35jab tū hārūn aur us ke beṭoṅ ko imām muqarrar karegā to ain merī hidāyat par amal karnā. yah taqrīb sāt din tak manāī jāe. 36is ke daurān gunāh kī qurbānī ke taur par rozānā ek javān bail zabah karnā. is se tū qurbāngāh kā kaffārā de kar use har tarah kī nāpākī se pāk karegā. is ke ilāvā us par masah kā tel uṅḍelanā. is se vah mere liye maḵẖsūs-o-muqaddas ho jāegā. 37sāt din tak qurbāngāh kā kaffārā de kar use pāk-sāf karnā aur use tel se maḵẖsūs-o-muqaddas karnā. phir qurbāngāh nihāyat muqaddas hogī. jo bhī use chhuegā vah bhī maḵẖsūs-o-muqaddas ho jāegā.
rozmarrā kī qurbāniyāṅ
38rozānā ek ek sāl ke do bheṛ ke nar bacche qurbāngāh par jalā denā, 39ek ko subah ke vaqt, dūsre ko sūraj ke ġurūb hone ke ain bād. 40pahale jānvar ke sāth ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā pesh kiyā jāe jo kūṭe hue zaitūnoṅ ke ek liṭar tel ke sāth milāyā gayā ho. mai kī nazar ke taur par ek liṭar mai bhī qurbāngāh par uṅḍelanā. 41dūsre jānvar ke sāth bhī ġallā aur mai kī yah do nazreṅ pesh kī jāeṅ. aisī qurbānī kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai.
42lāzim hai ki āne vālī tamām nasleṅ bhasm hone vālī yah qurbānī bāqāidagī se muqaddas ḵẖaime ke darvāze par rabb ke huzūr chaṛhāeṅ. vahāṅ maiṅ tum se milā karūṅgā aur tum se hamkalām hūṅgā. 43vahāṅ maiṅ isrāīliyoṅ se bhī milā karūṅgā, aur vah jagah mere jalāl se maḵẖsūs-o-muqaddas ho jāegī. 44yūṅ maiṅ mulāqāt ke ḵẖaime aur qurbāngāh ko maḵẖsūs karūṅgā aur hārūn aur us ke beṭoṅ ko maḵẖsūs karūṅgā tāki vah imāmoṅ kī haisiyat se merī ḵẖidmat kareṅ.
45tab maiṅ isrāīliyoṅ ke darmiyān rahūṅgā aur un kā ḵẖudā hūṅgā. 46vah jān leṅge ki maiṅ rabb un kā ḵẖudā hūṅ, ki maiṅ unheṅ misr se nikāl lāyā tāki un ke darmiyān sukūnat karūṅ. maiṅ rabb un kā ḵẖudā hūṅ.