Ḵẖurūj 30
baḵẖūr jalāne kī qurbāngāh
1kīkar kī lakṛī kī qurbāngāh banānā jis par baḵẖūr jalāyā jāe. 2vah ḍeṛh fuṭ lambī, itnī hī chauṛī aur tīn fuṭ ūṅchī ho. us ke chāroṅ konoṅ meṅ se sīṅg nikleṅ jo qurbāngāh ke sāth ek hī ṭukṛe se banāe gae hoṅ. 3us kī ūpar kī satah, us ke chār pahalūoṅ aur us ke sīṅgoṅ par ḵẖālis sonā chaṛhānā. ūpar kī satah ke ird-gird sone kī jhālar ho. 4sone ke do kaṛe banā kar unheṅ us jhālar ke nīche ek dūsre ke muqābil pahalūoṅ par lagānā. in kaṛoṅ meṅ qurbāngāh ko uṭhāne kī lakṛiyāṅ ḍālī jāeṅgī. 5yah lakṛiyāṅ kīkar kī hoṅ, aur un par bhī sonā chaṛhānā.
6is qurbāngāh ko ḵẖaime ke muqaddas kamre meṅ us parde ke sāmne rakhnā jis ke pīchhe ahd kā sandūq aur us kā ḍhaknā hoṅge, vah ḍhaknā jahāṅ maiṅ tujh se milā karūṅgā. 7jab hārūn har subah shamādān ke charāġ tayyār kare us vaqt vah us par ḵẖushbūdār baḵẖūr jalāe. 8sūraj ke ġurūb hone ke bād bhī jab vah dubārā charāġoṅ kī dekh-bhāl karegā to vah sāth sāth baḵẖūr jalāe. yūṅ rabb ke sāmne baḵẖūr mutvātir jaltā rahe. lāzim hai ki bād kī nasleṅ bhī is usūl par qāim raheṅ.
9is qurbāngāh par sirf jāiz baḵẖūr istemāl kiyā jāe. is par na to jānvaroṅ kī qurbāniyāṅ chaṛhāī jāeṅ, na ġallā yā mai kī nazreṅ pesh kī jāeṅ. 10hārūn sāl meṅ ek dafā us kā kaffārā de kar use pāk kare. is ke liye vah kaffāre ke din us qurbānī kā kuchh ḵẖūn sīṅgoṅ par lagāe. yah usūl bhī abad tak qāim rahe. yah qurbāngāh rabb ke liye nihāyat muqaddas hai.”
mardumashumārī ke paise
11rabb ne mūsā se kahā, 12“jab bhī tū isrāīliyoṅ kī mardumashumārī kare to lāzim hai ki jin kā shumār kiyā gayā ho vah rabb ko apnī jān kā fidyā deṅ tāki un meṅ vabā na phaile. 13jis jis kā shumār kiyā gayā ho vah chāṅdī ke ādhe sikke ke barābar raqam uṭhāne vālī qurbānī ke taur par de. sikke kā vazan maqdis ke sikkoṅ ke barābar ho. yānī chāṅdī ke sikke kā vazan 11 grām ho, is liye chhah grām chāṅdī denī hai. 14jis kī bhī umr 20 sāl yā is se zāid ho vah rabb ko yah raqam uṭhāne vālī qurbānī ke taur par de. 15amīr aur ġarīb donoṅ itnā hī deṅ, kyūṅki yahī nazrānā rabb ko pesh karne se tumhārī jān kā kaffārā diyā jātā hai. 16kaffāre kī yah raqam mulāqāt ke ḵẖaime kī ḵẖidmat ke liye istemāl karnā. phir yah nazrānā rabb ko yād dilātā rahegā ki tumhārī jānoṅ kā kaffārā diyā gayā hai.”
dhone kā hauz
17rabb ne mūsā se kahā, 18“pītal kā ḍhāṅchā banānā jis par pītal kā hauz banā kar rakhnā hai. yah hauz dhone ke liye hai. use sahan meṅ mulāqāt ke ḵẖaime aur jānvaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh ke darmiyān rakh kar pānī se bhar denā. 19hārūn aur us ke beṭe apne hāth-pāoṅ dhone ke liye us kā pānī istemāl kareṅ. 20mulāqāt ke ḵẖaime meṅ dāḵẖil hone se pahale hī vah apne āp ko dhoeṅ varnā vah mar jāeṅge. isī tarah jab bhī vah ḵẖaime ke bāhar kī qurbāngāh par jānvaroṅ kī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ 21to lāzim hai ki pahale hāth-pāoṅ dho leṅ, varnā vah mar jāeṅge. yah usūl hārūn aur us kī aulād ke liye hameshā tak qāim rahe.”
masah kā tel
22rabb ne mūsā se kahā, 23“masah ke tel ke liye umdā qism ke masāle istemāl karnā. 6 kilogrām āb-e-mur, 3 kilogrām ḵẖushbūdār dārchīnī, 3 kilogrām ḵẖushbūdār bed 24aur 6 kilogrām tejpāt. yah chīzeṅ maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tol kar chār liṭar zaitūn ke tel meṅ ḍālnā. 25sab kuchh milā kar ḵẖushbūdār tel tayyār karnā. vah muqaddas hai aur sirf us vaqt istemāl kiyā jāe jab koī chīz yā shaḵẖs mere liye maḵẖsūs-o-muqaddas kiyā jāe.
26yahī tel le kar mulāqāt kā ḵẖaimā aur us kā sārā sāmān masah karnā yānī ḵẖaimā, ahd kā sandūq, 27mez aur us kā sāmān, shamādān aur us kā sāmān, baḵẖūr jalāne kī qurbāngāh, 28jānvaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh aur us kā sāmān, dhone kā hauz aur us kā ḍhāṅchā. 29yūṅ tū yah tamām chīzeṅ maḵẖsūs-o-muqaddas karegā. is se vah nihāyat muqaddas ho jāeṅgī. jo bhī unheṅ chhuegā vah muqaddas ho jāegā.
30hārūn aur us ke beṭoṅ ko bhī is tel se masah karnā tāki vah muqaddas ho kar mere liye imām kā kām sar’anjām de sakeṅ. 31isrāīliyoṅ ko kah de ki yah tel hameshā tak mere liye maḵẖsūs-o-muqaddas hai. 32is liye ise apne liye istemāl na karnā aur na is tarkīb se apne liye tel banānā. yah tel maḵẖsūs-o-muqaddas hai aur tumheṅ bhī ise yūṅ ṭhaharānā hai. 33jo is tarkīb se ām istemāl ke liye tel banātā hai yā kisī ām shaḵẖs par lagātā hai use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālnā hai.”
baḵẖūr kī qurbānī
34rabb ne mūsā se kahā, “baḵẖūr is tarkīb se banānā hai : mastkī, onikā [a] onayachaha (unaguis odortus) , birījā aur ḵẖālis lubān barābar ke hissoṅ meṅ 35milā kar ḵẖushbūdār baḵẖūr banānā. itrasāz kā yah kām namkīn, ḵẖālis aur muqaddas ho. 36is meṅ se kuchh pīs kar pāuḍar banānā aur mulāqāt ke ḵẖaime meṅ ahd ke sandūq ke sāmne ḍālnā jahāṅ maiṅ tujh se milā karūṅgā.
is baḵẖūr ko muqaddastarīn ṭhaharānā. 37isī tarkīb ke mutābiq apne liye baḵẖūr na banānā. ise rabb ke liye maḵẖsūs-o-muqaddas ṭhaharānā hai. 38jo bhī apne zātī istemāl ke liye is qism kā baḵẖūr banāe use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālnā hai.”