Ḵẖurūj 33
1rabb ne mūsā se kahā, “is jagah se ravānā ho jā. un logoṅ ko le kar jin ko tū misr se nikāl lāyā hai us mulk ko jā jis kā vādā maiṅ ne ibrāhīm, ishāq aur yāqūb se kiyā hai. un hī se maiṅ ne qasam khā kar kahā thā, ‘maiṅ yah mulk tumhārī aulād ko dūṅgā.’ 2maiṅ tere āge āge farishtā bhej kar kan’ānī, amorī, hittī, farizzī, hivvī aur yabūsī aqvām ko us mulk se nikāl dūṅgā. 3uṭh, us mulk ko jā jahāṅ dūdh aur shahad kī kasrat hai. lekin maiṅ sāth nahīṅ jāūṅgā. tum itne haṭdharm ho ki agar maiṅ sāth jāūṅ to ḵẖatrā hai ki tumheṅ vahāṅ pahuṅchne se pahale hī barbād kar dūṅ.”
4jab isrāīliyoṅ ne yah saḵẖt alfāz sune to vah mātam karne lage. kisī ne bhī apne zevar na pahane, 5kyūṅki rabb ne mūsā se kahā thā, “isrāīliyoṅ ko batā ki tum haṭdharm ho. agar maiṅ ek lamhā bhī tumhāre sāth chalūṅ to ḵẖatrā hai ki maiṅ tumheṅ tabāh kar dūṅ. ab apne zevrāt utār ḍālo. phir maiṅ faislā karūṅgā ki tumhāre sāth kyā kiyā jāe.”
6in alfāz par isrāīliyoṅ ne horib yānī sīnā pahāṛ par apne zevar utār die.
mulāqāt kā ḵẖaimā
7us vaqt mūsā ne ḵẖaimā le kar use kuchh fāsile par ḵẖaimāgāh ke bāhar lagā diyā. us ne us kā nām ‘mulāqāt kā ḵẖaimā’ rakhā. jo bhī rabb kī marzī darayāft karnā chāhatā vah ḵẖaimāgāh se nikal kar vahāṅ jātā. 8jab bhī mūsā ḵẖaimāgāh se nikal kar vahāṅ jātā to tamām log apne ḵẖaimoṅ ke darvāzoṅ par khaṛe ho kar mūsā ke pīchhe dekhne lagte. us ke mulāqāt ke ḵẖaime meṅ ojhal hone tak vah use dekhte rahate.
9mūsā ke ḵẖaime meṅ dāḵẖil hone par bādal kā satūn utar kar ḵẖaime ke darvāze par ṭhahar jātā. jitnī der tak rabb mūsā se bāteṅ kartā utnī der tak vah vahāṅ ṭhaharā rahatā. 10jab isrāīlī mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par bādal kā satūn dekhte to vah apne apne ḵẖaime ke darvāze par khaṛe ho kar sijdā karte. 11rabb mūsā se rū-ba-rū bāteṅ kartā thā, aise shaḵẖs kī tarah jo apne dost se bāteṅ kartā hai. is ke bād mūsā nikal kar ḵẖaimāgāh ko vāpas chalā jātā. lekin us kā javān madadgār yashūa bin nūn ḵẖaime ko nahīṅ chhoṛtā thā.
mūsā rabb kā jalāl dekhtā hai
12mūsā ne rabb se kahā, “dekh, tū mujh se kahatā āyā hai ki is qaum ko kan’ān le chal. lekin tū mere sāth kis ko bhejegā? tū ne ab tak yah bāt mujhe nahīṅ batāī hālāṅki tū ne kahā hai, ‘maiṅ tujhe banām jāntā hūṅ, tujhe merā karam hāsil huā hai.’ 13agar mujhe vāqaī terā karam hāsil hai to mujhe apne rāste dikhā tāki maiṅ tujhe jān lūṅ aur terā karam mujhe hāsil hotā rahe. is bāt kā ḵẖayāl rakh ki yah qaum terī hī ummat hai.”
14rabb ne javāb diyā, “maiṅ ḵẖud tere sāth chalūṅgā aur tujhe ārām dūṅgā.” 15mūsā ne kahā, “agar tū ḵẖud sāth nahīṅ chalegā to phir hameṅ yahāṅ se ravānā na karnā. 16agar tū hamāre sāth na jāe to kis tarah patā chalegā ki mujhe aur terī qaum ko terā karam hāsil huā hai? ham sirf isī vajah se duniyā kī dīgar qaumoṅ se alag aur mumtāz haiṅ.”
17rabb ne mūsā se kahā, “maiṅ terī yah daraḵẖwāst bhī pūrī karūṅgā, kyūṅki tujhe merā karam hāsil huā hai aur maiṅ tujhe banām jāntā hūṅ.”
18phir mūsā bolā, “barāh-e-karam mujhe apnā jalāl dikhā.” 19rabb ne javāb diyā, “maiṅ apnī pūrī bhalāī tere sāmne se guzarne dūṅgā aur tere sāmne hī apne nām rabb kā elān karūṅgā. maiṅ jis par meharbān honā chāhūṅ us par meharbān hotā hūṅ, aur jis par raham karnā chāhūṅ us par raham kartā hūṅ. 20lekin tū merā chiharā nahīṅ dekh saktā, kyūṅki jo bhī merā chiharā dekhe vah zindā nahīṅ rah saktā.” 21phir rabb ne farmāyā, “dekh, mere pās ek jagah hai. vahāṅ kī chaṭān par khaṛā ho jā. 22jab merā jalāl vahāṅ se guzregā to maiṅ tujhe chaṭān ke ek shigāf meṅ rakhūṅgā aur apnā hāth tere ūpar phailāūṅgā tāki tū mere guzarne ke daurān mahfūz rahe. 23is ke bād maiṅ apnā hāth haṭāūṅgā aur tū mere pīchhe dekh sakegā. lekin merā chiharā dekhā nahīṅ jā saktā.”