Ḵẖurūj 35
sabat kā din
1mūsā ne isrāīl kī pūrī jamāat ko ikaṭṭhā karke kahā, “rabb ne tum ko yah hukm die haiṅ : 2chhah din kām-kāj kiyā jāe, lekin sātvāṅ din maḵẖsūs-o-muqaddas ho. vah rabb ke liye ārām kā sabat hai. jo bhī is din kām kare use sazā-e-maut dī jāe. 3hafte ke din apne tamām gharoṅ meṅ āg tak na jalānā.”
mulāqāt ke ḵẖaime ke liye sāmān
4mūsā ne isrāīl kī pūrī jamāat se kahā, “rabb ne hidāyat dī hai 5ki jo kuchh tumhāre pās hai us meṅ se hadie lā kar rabb ko uṭhāne vālī qurbānī ke taur par pesh karo. jo bhī dilī ḵẖushī se denā chāhe vah in chīzoṅ meṅ se kuchh de : sonā, chāṅdī, pītal; 6nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg kā dhāgā, bārīk katān, bakrī ke bāl, 7meṅḍhoṅ kī surḵẖ raṅgī huī khāleṅ, taḵẖas kī khāleṅ, kīkar kī lakṛī, 8shamādān ke liye zaitūn kā tel, masah karne ke liye tel aur ḵẖushbūdār baḵẖūr ke liye masāle, 9aqīq-e-ahmar aur dīgar javāhir jo imām-e-āzam ke bālāposh aur sīne ke kīse meṅ jaṛe jāeṅge.
10tum meṅ se jitne māhir kārīgar haiṅ vah ā kar vah kuchh banāeṅ jo rabb ne farmāyā 11yānī ḵẖaimā aur vah ġilāf jo us ke ūpar lagāe jāeṅge, hukeṅ, dīvāroṅ ke taḵẖte, shahatīr, satūn aur pāe, 12ahd kā sandūq, use uṭhāne kī lakṛiyāṅ, us ke kaffāre kā ḍhaknā, muqaddastarīn kamre ke darvāze kā pardā, 13maḵẖsūs roṭiyoṅ kī mez, use uṭhāne kī lakṛiyāṅ, us kā sārā sāmān aur roṭiyāṅ, 14shamādān aur us par rakhne ke charāġ us ke sāmān samet, shamādān ke liye tel, 15baḵẖūr jalāne kī qurbāngāh, use uṭhāne kī lakṛiyāṅ, masah kā tel, ḵẖushbūdār baḵẖūr, muqaddas ḵẖaime ke darvāze kā pardā, 16jānvaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh, us kā pītal kā jaṅglā, use uṭhāne kī lakṛiyāṅ aur bāqī sārā sāmān, dhone kā hauz aur vah ḍhāṅchā jis par hauz rakhā jātā hai, 17chārdīvārī ke parde un ke khamboṅ aur pāiyoṅ samet, sahan ke darvāze kā pardā, 18ḵẖaime aur chārdīvārī kī meḵẖeṅ aur rasse, 19aur vah muqaddas libās jo hārūn aur us ke beṭe maqdis meṅ ḵẖidmat karne ke liye pahante haiṅ.”
20yah sun kar isrāīl kī pūrī jamāat mūsā ke pās se chalī gaī. 21aur jo jo dilī ḵẖushī se denā chāhatā thā vah mulāqāt ke ḵẖaime, us ke sāmān yā imāmoṅ ke kapṛoṅ ke liye koī hadiyā le kar vāpas āyā. 22rabb ke hadie ke liye mard aur ḵẖavātīn dilī ḵẖushī se apne sone ke zevrāt maslan jaṛāo pineṅ, bāliyāṅ aur chhalle le āe. 23jis jis ke pās darkār chīzoṅ meṅ se kuchh thā vah use mūsā ke pās le āyā yānī nīle, qirmizī aur arġvānī raṅg kā dhāgā, bārīk katān, bakrī ke bāl, meṅḍhoṅ kī surḵẖ raṅgī huī khāleṅ aur taḵẖas kī khāleṅ. 24chāṅdī, pītal aur kīkar kī lakṛī bhī hadie ke taur par lāī gaī. 25aur jitnī aurteṅ kātne meṅ māhir thīṅ vah apnī kātī huī chīzeṅ le āīṅ yānī nīle, qirmizī aur arġvānī raṅg kā dhāgā aur bārīk katān. 26isī tarah jo jo aurat bakrī ke bāl kātne meṅ māhir thī aur dilī ḵẖushī se maqdis ke liye kām karnā chāhatī thī vah yah kāt kar le āī. 27sardār aqīq-e-ahmar aur dīgar javāhir le āe jo imām-e-āzam ke bālāposh aur sīne ke kīse ke liye darkār the. 28vah shamādān, masah ke tel aur ḵẖushbūdār baḵẖūr ke liye masāle aur zaitūn kā tel bhī le āe.
29yūṅ isrāīl ke tamām mard aur ḵẖavātīn jo dilī ḵẖushī se rabb ko kuchh denā chāhate the us sāre kām ke liye hadie le āe jo rabb ne mūsā kī mārifat karne ko kahā thā.
bazalīel aur uhaliyāb
30phir mūsā ne isrāīliyoṅ se kahā, “rabb ne yahūdāh ke qabīle ke bazalīel bin ūrī bin hūr ko chun liyā hai. 31us ne use ilāhī rūh se māmūr karke hikmat, samajh aur tāmīr ke har kām ke liye darkār ilm de diyā hai. 32vah naqshe banā kar un ke mutābiq sone, chāṅdī aur pītal kī chīzeṅ banā saktā hai. 33vah javāhir ko kāṭ kar jaṛne kī qābiliyat rakhtā hai. vah lakṛī ko tarāsh kar us se muḵẖtalif chīzeṅ banā saktā hai. vah bahut sāre aur kāmoṅ meṅ bhī mahārat rakhtā hai. 34sāth hī rabb ne use aur dān ke qabīle ke uhaliyāb bin aḵẖīsamak ko dūsroṅ ko sikhāne kī qābiliyat bhī dī hai. 35us ne unheṅ vah mahārat aur hikmat dī hai jo har kām ke liye darkār hai yānī kārīgrī ke har kām ke liye, kaṛāī ke kām ke liye, nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg ke dhāge aur bārīk katān se kapṛā banāne ke liye aur bunāī ke kām ke liye. vah māhir kārīgar haiṅ aur naqshe bhī banā sakte haiṅ.