Ḵẖurūj 37
ahd kā sandūq
1bazalīel ne kīkar kī lakṛī kā sandūq banāyā. us kī lambāī paune chār fuṭ thī jabki us kī chauṛāī aur ūṅchāī savā do do fuṭ thī. 2us ne pūre sandūq par andar aur bāhar se ḵẖālis sonā chaṛhāyā. ūpar kī satah ke ird-gird us ne sone kī jhālar lagāī. 3sandūq ko uṭhāne ke liye us ne sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ sandūq ke chārpāiyoṅ par lagāyā. donoṅ taraf do do kaṛe the. 4phir us ne kīkar kī do lakṛiyāṅ sandūq ko uṭhāne ke liye tayyār kīṅ aur un par sonā chaṛhāyā. 5us ne in lakṛiyoṅ ko donoṅ taraf ke kaṛoṅ meṅ ḍāl diyā tāki un se sandūq ko uṭhāyā jā sake.
6bazalīel ne sandūq kā ḍhaknā ḵẖālis sone kā banāyā. us kī lambāī paune chār fuṭ aur chauṛāī savā do fuṭ thī. 7-8 phir us ne do karūbī farishte sone se ghaṛ kar banāe jo ḍhakne ke donoṅ siroṅ par khaṛe the. yah do farishte aur ḍhaknā ek hī ṭukṛe se banāe gae.
maḵẖsūs roṭiyoṅ kī mez
9farishtoṅ ke par yūṅ ūpar kī taraf phaile hue the ki vah ḍhakne ko panāh dete the. un ke muṅh ek dūsre kī taraf kie hue the, aur vah ḍhakne kī taraf dekhte the. 10is ke bād bazalīel ne kīkar kī lakṛī kī mez banāī. us kī lambāī tīn fuṭ, chauṛāī ḍeṛh fuṭ aur ūṅchāī savā do fuṭ thī. 11us ne us par ḵẖālis sonā chaṛhā kar us ke ird-gird sone kī jhālar lagāī. 12mez kī ūpar kī satah par us ne chaukhṭā bhī lagāyā jis kī ūṅchāī tīn iṅch thī aur jis par sone kī jhālar lagī thī. 13ab us ne sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ chāroṅ konoṅ par lagāyā jahāṅ mez ke pāe lage the. 14yah kaṛe mez kī satah par lage chaukhṭe ke nīche lagāe gae. un meṅ vah lakṛiyāṅ ḍālnī thīṅ jin se mez ko uṭhānā thā. 15bazalīel ne yah lakṛiyāṅ bhī kīkar se banāīṅ aur un par sonā chaṛhāyā.
16āḵẖirkār us ne ḵẖālis sone ke vah thāl, piyāle, mai kī nazreṅ pesh karne ke bartan aur martabān banāe jo us par rakhe jāte the.
shamādān
17phir bazalīel ne ḵẖālis sone kā shamādān banāyā. us kā pāyā aur ḍaṅḍī ghaṛ kar banāe gae. us kī piyāliyāṅ jo phūloṅ aur kaliyoṅ kī shakl kī thīṅ pāe aur ḍaṅḍī ke sāth ek hī ṭukṛā thīṅ. 18ḍaṅḍī se dāīṅ aur bāīṅ taraf tīn tīn shāḵẖeṅ nikaltī thīṅ. 19har shāḵẖ par tīn piyāliyāṅ lagī thīṅ jo bādām kī kaliyoṅ aur phūloṅ kī shakl kī thīṅ. 20shamādān kī ḍaṅḍī par bhī is qism kī piyāliyāṅ lagī thīṅ, lekin tādād meṅ chār. 21in meṅ se tīn piyāliyāṅ dāeṅ bāeṅ kī chhah shāḵẖoṅ ke nīche lagī thīṅ. vah yūṅ lagī thīṅ ki har piyālī se do shāḵẖeṅ nikaltī thīṅ. 22shāḵẖeṅ aur piyāliyāṅ balki pūrā shamādān ḵẖālis sone ke ek hī ṭukṛe se ghaṛ kar banāyā gayā.
23bazalīel ne shamādān ke liye ḵẖālis sone ke sāt charāġ banāe. us ne battī katarne kī qaiṅchiyāṅ aur jalte koile ke liye chhoṭe bartan bhī ḵẖālis sone se banāe. 24shamādān aur us ke tamām sāmān ke liye pūre 34 kilogrām ḵẖālis sonā istemāl huā.
baḵẖūr jalāne kī qurbāngāh
25bazalīel ne kīkar kī lakṛī kī qurbāngāh banāī jo baḵẖūr jalāne ke liye thī. vah ḍeṛh fuṭ lambī, itnī hī chauṛī aur tīn fuṭ ūṅchī thī. us ke chār konoṅ meṅ se sīṅg nikalte the jo qurbāngāh ke sāth ek hī ṭukṛe se banāe gae the. 26us kī ūpar kī satah, us ke chār pahalūoṅ aur us ke sīṅgoṅ par ḵẖālis sonā chaṛhāyā gayā. ūpar kī satah ke ird-gird bazalīel ne sone kī jhālar banāī. 27sone ke do kaṛe banā kar us ne unheṅ is jhālar ke nīche ek dūsre ke muqābil pahalūoṅ par lagāyā. in kaṛoṅ meṅ qurbāngāh ko uṭhāne kī lakṛiyāṅ ḍālī gaīṅ. 28yah lakṛiyāṅ kīkar kī thīṅ, aur un par bhī sonā chaṛhāyā gayā.
29bazalīel ne masah karne kā muqaddas tel aur ḵẖushbūdār ḵẖālis baḵẖūr bhī banāyā. yah itrasāz kā kām thā.