Ḵẖurūj 38
jānvaroṅ ko pesh karne kī qurbāngāh
1bazalīel ne kīkar kī lakṛī kī ek aur qurbāngāh banāī jo bhasm hone vālī qurbāniyoṅ ke liye thī. us kī ūṅchāī sāḍhe chār fuṭ, us kī lambāī aur chauṛāī sāḍhe sāt sāt fuṭ thī. 2us ke ūpar chāroṅ konoṅ meṅ se sīṅg nikalte the. sīṅg aur qurbāngāh ek hī ṭukṛe ke the, aur us par pītal chaṛhāyā gayā. 3us kā tamām sāz-o-sāmān aur bartan bhī pītal ke the yānī rākh ko uṭhā kar le jāne kī bālṭiyāṅ, belache, kāṅṭe, jalte hue koile ke liye bartan aur chhiṛkāo ke kaṭore.
4qurbāngāh ko uṭhāne ke liye us ne pītal kā jaṅglā banāyā. vah ūpar se khulā thā aur yūṅ banāyā gayā ki jab qurbāngāh us meṅ rakhī jāe to vah us kināre tak pahuṅche jo qurbāngāh kī ādhī ūṅchāī par lagī thī. 5us ne qurbāngāh ko uṭhāne ke liye chār kaṛe banā kar unheṅ jaṅgle ke chār konoṅ par lagāyā. 6phir us ne kīkar kī do lakṛiyāṅ banā kar un par pītal chaṛhāyā 7aur qurbāngāh ke donoṅ taraf lage in kaṛoṅ meṅ ḍāl dīṅ. yūṅ use uṭhāyā jā saktā thā. qurbāngāh lakṛī kī thī lekin khokhlī thī.
8bazalīel ne dhone kā hauz aur us kā ḍhāṅchā bhī pītal se banāyā. us kā pītal un aurtoṅ ke āīnoṅ se milā thā jo mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par ḵẖidmat kartī thīṅ.
ḵẖaime kā sahan
9phir bazalīel ne sahan banāyā. us kī chārdīvārī bārīk katān ke kapṛe se banāī gaī. chārdīvārī kī lambāī junūb kī taraf 150 fuṭ thī. 10kapṛe ko lagāne ke liye chāṅdī kī hukeṅ, paṭṭiyāṅ, lakṛī ke khambe aur un ke pāe banāe gae. 11chārdīvārī shimāl kī taraf bhī isī tarah banāī gaī. 12ḵẖaime ke pīchhe maġrib kī taraf chārdīvārī kī chauṛāī 75 fuṭ thī. kapṛe ke ilāvā us ke liye 10 khambe, 10 pāe aur kapṛā lagāne ke liye chāṅdī kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ. 13sāmne, mashriq kī taraf jahāṅ se sūraj tulū hotā hai chārdīvārī kī chauṛāī bhī 75 fuṭ thī. 14-15 kapṛā darvāze ke dāīṅ taraf sāḍhe 22 fuṭ chauṛā thā aur us ke bāīṅ taraf bhī utnā hī chauṛā. use donoṅ taraf tīn tīn khamboṅ ke sāth lagāyā gayā jo pītal ke pāiyoṅ par khaṛe the. 16chārdīvārī ke tamām pardoṅ ke liye bārīk katān istemāl huā. 17khambe pītal ke pāiyoṅ par khaṛe the, aur parde chāṅdī kī hukoṅ aur paṭṭiyoṅ se khamboṅ ke sāth lage the. khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par chāṅdī chaṛhāī gaī thī. sahan ke tamām khamboṅ par chāṅdī kī paṭṭiyāṅ lagī thīṅ.
18chārdīvārī ke darvāze kā pardā nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg ke dhāge aur bārīk katān se banāyā gayā, aur us par kaṛāī kā kām kiyā gayā. vah 30 fuṭ chauṛā aur chārdīvārī ke dūsre pardoṅ kī tarah sāḍhe sāt fuṭ ūṅchā thā. 19us ke chār khambe aur pītal ke chār pāe the. us kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ chāṅdī kī thīṅ, aur khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par chāṅdī chaṛhāī gaī thī. 20ḵẖaime aur chārdīvārī kī tamām meḵẖeṅ pītal kī thīṅ.
ḵẖaime kā tāmīrī sāmān
21zail meṅ us sāmān kī faharist hai jo maqdis kī tāmīr ke liye istemāl huā. mūsā ke hukm par imām-e-āzam hārūn ke beṭe itmar ne lāviyoṅ kī mārifat yah faharist tayyār kī. 22(yahūdāh ke qabīle ke bazalīel bin ūrī bin hūr ne vah sab kuchh banāyā jo rabb ne mūsā ko batāyā thā. 23us ke sāth dān ke qabīle kā uhaliyāb bin aḵẖīsamak thā jo kārīgrī ke har kām aur kaṛāī ke kām meṅ māhir thā. vah nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg ke dhāge aur bārīk katān se kapṛā banāne meṅ bhī māhir thā.)
24us sone kā vazan jo logoṅ ke hadiyoṅ se jamā huā aur maqdis kī tāmīr ke liye istemāl huā taqrīban 1,000 kilogrām thā (use maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā).
25tāmīr ke liye chāṅdī jo mardumashumārī ke hisāb se vasūl huī, us kā vazan taqrīban 3,430 kilogrām thā (use bhī maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā). 26jin mardoṅ kī umr 20 sāl yā is se zāid thī unheṅ chāṅdī kā ādhā ādhā sikkā denā paṛā. mardoṅ kī kul tādād 6,03,550 thī. 27chūṅki dīvāroṅ ke taḵẖtoṅ ke pāe aur muqaddastarīn kamre ke darvāze ke satūnoṅ ke pāe chāṅdī ke the is liye taqrīban pūrī chāṅdī in 100 pāiyoṅ ke liye sarf huī. 28taqrīban 30 kilogrām chāṅdī bach gaī. is se chārdīvārī ke khamboṅ kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ, aur yah khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par bhī chaṛhāī gaī.
29jo pītal hadiyoṅ se jamā huā us kā vazan taqrīban 2,425 kilogrām thā. 30ḵẖaime ke darvāze ke pāe, jānvaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh, us kā jaṅglā, bartan aur sāz-o-sāmān, 31chārdīvārī ke pāe, sahan ke darvāze ke pāe aur ḵẖaime aur chārdīvārī kī tamām meḵẖeṅ isī se banāī gaīṅ.