Ḵẖurūj 39
hārūn kā bālāposh
1bazalīel kī hidāyat par kārīgaroṅ ne nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg kā dhāgā le kar maqdis meṅ ḵẖidmat ke liye libās banāe. unhoṅ ne hārūn ke muqaddas kapṛe un hidāyāt ke ain mutābiq banāe jo rabb ne mūsā ko dī thīṅ. 2unhoṅ ne imām-e-āzam kā bālāposh banāne ke liye sonā, nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg kā dhāgā aur bārīk katān istemāl kiyā. 3unhoṅ ne sone ko kūṭ kūṭ kar varq banāyā aur phir use kāṭ kar dhāge banāe. jab nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg ke dhāge aur bārīk katān se kapṛā banāyā gayā to sone kā yah dhāgā mahārat se kaṛāī ke kām meṅ istemāl huā. 4unhoṅ ne bālāposh ke liye do paṭṭiyāṅ banāīṅ aur unheṅ bālāposh ke kaṅdhoṅ par rakh kar sāmne aur pīchhe se bālāposh ke sāth lagāiṅ. 5paṭkā bhī banāyā gayā jis se bālāposh ko bāṅdhā jātā thā. is ke liye bhī sonā, nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg kā dhāgā aur bārīk katān istemāl huā. yah un hidāyāt ke ain mutābiq huā jo rabb ne mūsā ko dī thīṅ. 6phir unhoṅ ne aqīq-e-ahmar ke do patthar chun liye aur unheṅ sone ke ḵẖānoṅ meṅ jaṛ kar un par isrāīl ke bārah beṭoṅ ke nām kandā kie. yah nām jauharoṅ par us tarah kandā kie gae jis tarah muhar kandā kī jātī hai. 7unhoṅ ne pattharoṅ ko bālāposh kī do paṭṭiyoṅ par yūṅ lagāyā ki vah hārūn ke kaṅdhoṅ par rabb ko isrāīliyoṅ kī yād dilāte raheṅ. yah sab kuchh rabb kī dī gaī hidāyāt ke ain mutābiq huā.
sīne kā kīsā
8is ke bād unhoṅ ne sīne kā kīsā banāyā. yah māhir kārīgar kā kām thā aur un hī chīzoṅ se banā jin se hārūn kā bālāposh bhī banā thā yānī sone aur nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg ke dhāge aur bārīk katān se. 9jab kapṛe ko ek dafā tah kiyā gayā to kīse kī lambāī aur chauṛāī nau nau iṅch thī. 10unhoṅ ne us par chār qatāroṅ meṅ javāhir jaṛe. har qatār meṅ tīn tīn jauhar the. pahalī qatār meṅ lāl, zabarjad aur zumurrad. 11dūsrī meṅ fīrozā, saṅg-e-lājvard aur hajr-ul-qamar. 12tīsrī meṅ zarqon, aqīq aur yāqūt-e-arġvānī. 13chauthī meṅ pukhrāj, aqīq-e-ahmar aur yashab. har jauhar sone ke ḵẖāne meṅ jaṛā huā thā. 14yah bārah javāhir isrāīl ke bārah qabīloṅ kī numāindagī karte the. ek ek jauhar par ek qabīle kā nām kandā kiyā gayā, aur yah nām us tarah kandā kie gae jis tarah muhar kandā kī jātī hai.
15ab unhoṅ ne sīne ke kīse ke liye ḵẖālis sone kī do zanjīreṅ banāīṅ jo ḍorī kī tarah guṅdhī huī thīṅ. 16sāth sāth unhoṅ ne sone ke do ḵẖāne aur do kaṛe bhī banāe. unhoṅ ne yah kaṛe kīse ke ūpar ke do konoṅ par lagāe. 17phir donoṅ zanjīreṅ un do kaṛoṅ ke sāth lagāī gaīṅ. 18un ke dūsre sire bālāposh kī kaṅdhoṅ vālī paṭṭiyoṅ ke do ḵẖānoṅ ke sāth joṛ die gae, phir sāmne kī taraf lagāe gae. 19unhoṅ ne kīse ke nichle do konoṅ par bhī sone ke do kaṛe lagāe. vah andar, bālāposh kī taraf lage the. 20ab unhoṅ ne do aur kaṛe banā kar bālāposh kī kaṅdhoṅ vālī paṭṭiyoṅ par lagāe. yah bhī sāmne kī taraf lage the lekin nīche, bālāposh ke paṭke ke ūpar hī. 21unhoṅ ne sīne ke kīse ke nichle kaṛe nīlī ḍorī se bālāposh ke in nichle kaṛoṅ ke sāth bāṅdhe. yūṅ kīsā paṭke ke ūpar acchhī tarah sīne ke sāth lagā rahā. yah un hidāyāt ke ain mutābiq huā jo rabb ne mūsā ko dī thīṅ.
hārūn kā choġā
22phir kārīgaroṅ ne choġā bunā. vah pūrī tarah nīle dhāge se banāyā gayā. choġe ko bālāposh se pahale pahannā thā. 23us ke girībān ko bune hue kālar se mazbūt kiyā gayā tāki vah na phaṭe. 24unhoṅ ne nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg ke dhāge se anār banā kar unheṅ choġe ke dāman meṅ lagā diyā. 25un ke darmiyān ḵẖālis sone kī ghaṅṭiyāṅ lagāī gaīṅ. 26dāman meṅ anār aur ghaṅṭiyāṅ bārī bārī lagāī gaīṅ. lāzim thā ki hārūn ḵẖidmat karne ke liye hameshā yah choġā pahane. rabb ne mūsā ko yahī hukm diyā thā.
ḵẖidmat ke liye dīgar libās
27kārīgaroṅ ne hārūn aur us ke beṭoṅ ke liye bārīk katān ke zerjāme banāe. yah bunne vāle kā kām thā. 28sāth sāth unhoṅ ne bārīk katān kī pagṛiyāṅ aur bārīk katān ke pājāme banāe. 29kamarband ko bārīk katān aur nīle, arġvānī aur qirmizī raṅg ke dhāge se banāyā gayā. kaṛāī karne vāloṅ ne is par kām kiyā. sab kuchh un hidāyāt ke mutābiq banāyā gayā jo rabb ne mūsā ko dī thīṅ.
30unhoṅ ne muqaddas tāj yānī ḵẖālis sone kī taḵẖtī banāī aur us par yah alfāz kandā kie, ‘rabb ke liye maḵẖsūs-o-muqaddas.’ 31phir unhoṅ ne ise nīlī ḍorī se pagṛī ke sāmne vāle hisse se lagā diyā. yah bhī un hidāyāt ke mutābiq banāyā gayā jo rabb ne mūsā ko dī thīṅ.
mukammal sāmān mūsā ko dikhāyā jātā hai
32āḵẖirkār maqdis kā kām mukammal huā. isrāīliyoṅ ne sab kuchh un hidāyāt ke mutābiq banāyā thā jo rabb ne mūsā ko dī thīṅ. 33vah maqdis kī tamām chīzeṅ mūsā ke pās le āe yānī muqaddas ḵẖaimā aur us kā sārā sāmān, us kī hukeṅ, dīvāroṅ ke taḵẖte, shahatīr, satūn aur pāe, 34ḵẖaime par meṅḍhoṅ kī surḵẖ raṅgī huī khāloṅ kā ġilāf aur taḵẖas kī khāloṅ kā ġilāf, muqaddastarīn kamre ke darvāze kā pardā, 35ahd kā sandūq jis meṅ sharīat kī taḵẖtiyāṅ rakhnī thīṅ, use uṭhāne kī lakṛiyāṅ aur us kā ḍhaknā, 36maḵẖsūs roṭiyoṅ kī mez, us kā sārā sāmān aur roṭiyāṅ, 37ḵẖālis sone kā shamādān aur us par rakhne ke charāġ us ke sāre sāmān samet, shamādān ke liye tel, 38baḵẖūr jalāne kī sone kī qurbāngāh, masah kā tel, ḵẖushbūdār baḵẖūr, muqaddas ḵẖaime ke darvāze kā pardā, 39jānvaroṅ ko chaṛhāne kī pītal kī qurbāngāh, us kā pītal kā jaṅglā, use uṭhāne kī lakṛiyāṅ aur bāqī sārā sāmān, dhone kā hauz aur vah ḍhāṅchā jis par hauz rakhnā thā, 40chārdīvārī ke parde un ke khamboṅ aur pāiyoṅ samet, sahan ke darvāze kā pardā, chārdīvārī ke rasse aur meḵẖeṅ, mulāqāt ke ḵẖaime meṅ ḵẖidmat karne kā bāqī sārā sāmān 41aur maqdis meṅ ḵẖidmat karne ke vah muqaddas libās jo hārūn aur us ke beṭoṅ ko pahanne the.
42sab kuchh un hidāyāt ke mutābiq banāyā gayā thā jo rabb ne mūsā ko dī thīṅ. 43mūsā ne tamām chīzoṅ kā muāinā kiyā aur mālūm kiyā ki unhoṅ ne sab kuchh rabb kī hidāyāt ke mutābiq banāyā thā. tab us ne unheṅ barkat dī.