Ḵẖurūj 4
1mūsā ne etirāz kiyā, “lekin isrāīlī na merī bāt kā yaqīn kareṅge, na merī suneṅge. vah to kaheṅge, ‘rabb tum par zāhir nahīṅ huā’.” 2javāb meṅ rabb ne mūsā se kahā, “tū ne hāth meṅ kyā pakṛā huā hai?” mūsā ne kahā, “lāṭhī.” 3rabb ne kahā, “use zamīn par ḍāl de.” mūsā ne aisā kiyā to lāṭhī sāṁp ban gaī, aur mūsā ḍar kar bhāgā. 4rabb ne kahā, “ab sāṁp kī dum ko pakaṛ le.” mūsā ne aisā kiyā to sāṁp phir lāṭhī ban gayā.
5rabb ne kahā, “yah dekh kar logoṅ ko yaqīn āegā ki rabb jo un ke bāpdādā kā ḵẖudā, ibrāhīm kā ḵẖudā, ishāq kā ḵẖudā aur yāqūb kā ḵẖudā hai tujh par zāhir huā hai. 6ab apnā hāth apne libās meṅ ḍāl de.” mūsā ne aisā kiyā. jab us ne apnā hāth nikālā to vah barf kī mānind safed ho gayā thā. koṛh jaisī bīmārī lag gaī thī. 7tab rabb ne kahā, “ab apnā hāth dubārā apne libās meṅ ḍāl.” mūsā ne aisā kiyā. jab us ne apnā hāth dubārā nikālā to vah phir sehatmand thā.
8rabb ne kahā, “agar logoṅ ko pahalā mojizā dekh kar yaqīn na āe aur vah terī na suneṅ to shāyad unheṅ dūsrā mojizā dekh kar yaqīn āe. 9agar unheṅ phir bhī yaqīn na āe aur vah terī na suneṅ to daryā-e-nīl se kuchh pānī nikāl kar use ḵẖushk zamīn par uṅḍel de. yah pānī zamīn par girte hī ḵẖūn ban jāegā.”
10lekin mūsā ne kahā, “mere āqā, maiṅ māzrat chāhatā hūṅ, maiṅ acchhī tarah bāt nahīṅ kar saktā balki maiṅ kabhī bhī yah liyāqat nahīṅ rakhtā thā. is vaqt bhī jab maiṅ tujh se bāt kar rahā hūṅ merī yahī hālat hai. maiṅ ruk ruk kar boltā hūṅ.” 11rabb ne kahā, “kis ne insān kā muṅh banāyā? kaun ek ko gūṅgā aur dūsre ko baharā banā detā hai? kaun ek ko dekhne kī qābiliyat detā hai aur dūsre ko is se maharūm rakhtā hai? kyā maiṅ jo rabb hūṅ yah sab kuchh nahīṅ kartā? 12ab jā! tere bolte vaqt maiṅ ḵẖud tere sāth hūṅgā aur tujhe vah kuchh sikhāūṅgā jo tujhe kahanā hai.”
13lekin mūsā ne iltijā kī, “mere āqā, meharbānī karke kisī aur ko bhej de.”
14tab rabb mūsā se saḵẖt ḵẖafā huā. us ne kahā, “kyā terā lāvī bhāī hārūn aise kām ke liye hāzir nahīṅ hai? maiṅ jāntā hūṅ ki vah acchhī tarah bol saktā hai. dekh, vah tujh se milne ke liye nikal chukā hai. tujhe dekh kar vah nihāyat ḵẖush hogā. 15use vah kuchh batā jo use kahanā hai. tumhāre bolte vaqt maiṅ tere aur us ke sāth hūṅgā aur tumheṅ vah kuchh sikhāūṅgā jo tumheṅ karnā hogā. 16hārūn terī jagah qaum se bāt karegā jabki tū merī tarah use vah kuchh batāegā jo use kahanā hai. 17lekin yah lāṭhī bhī sāth le jānā, kyūṅki isī ke zarīe tū yah mojize karegā.”
mūsā misr ko lauṭ jātā hai
18phir mūsā apne susar yitro ke ghar vāpas chalā gayā. us ne kahā, “mujhe zarā apne azīzoṅ ke pās vāpas jāne deṅ jo misr meṅ haiṅ. maiṅ mālūm karnā chāhatā hūṅ ki vah abhī tak zindā haiṅ ki nahīṅ.” yitro ne javāb diyā, “ṭhīk hai, salāmatī se jāeṅ.” 19mūsā abhī midiyān meṅ thā ki rabb ne us se kahā, “misr ko vāpas chalā jā, kyūṅki jo ādmī tujhe qatl karnā chāhate the vah mar gae haiṅ.” 20chunāṅche mūsā apnī bīvī aur beṭoṅ ko gadhe par savār karke misr ko lauṭne lagā. allāh kī lāṭhī us ke hāth meṅ thī.
21rabb ne us se yah bhī kahā, “misr jā kar firaaun ke sāmne vah tamām mojize dikhā jin kā maiṅ ne tujhe iḵẖtiyār diyā hai. lekin mere kahane par vah aṛā rahegā. vah isrāīliyoṅ ko jāne kī ijāzat nahīṅ degā. 22us vaqt firaaun ko batā denā, ‘rabb farmātā hai ki isrāīl merā pahalauṭhā hai. 23maiṅ tujhe batā chukā hūṅ ki mere beṭe ko jāne de tāki vah merī ibādat kare. agar tū mere beṭe ko jāne se manā kare to maiṅ tere pahalauṭhe ko jān se mār dūṅgā’.”
24ek din jab mūsā apne ḵẖāndān ke sāth rāste meṅ kisī sarāy meṅ ṭhaharā huā thā to rabb ne us par hamlā karke use mār dene kī koshish kī. 25yah dekh kar saffūrā ne ek tez patthar se apne beṭe kā ḵẖatnā kiyā aur kāṭe hue hisse se mūsā ke pair chhue. us ne kahā, “yaqīnan tum mere ḵẖūnī dūlhā ho.” 26tab allāh ne mūsā ko chhoṛ diyā. saffūrā ne use ḵẖatne ke bāis hī ‘ḵẖūnī dūlhā’ kahā thā.
27rabb ne hārūn se bhī bāt kī, “registān meṅ mūsā se milne jā.” hārūn chal paṛā aur allāh ke pahāṛ ke pās mūsā se milā. us ne use bosā diyā. 28mūsā ne hārūn ko sab kuchh sunā diyā jo rabb ne use kahane ke liye bhejā thā. us ne use un mojizoṅ ke bāre meṅ bhī batāyā jo use dikhāne the.
29phir donoṅ mil kar misr gae. vahāṅ pahuṅch kar unhoṅ ne isrāīl ke tamām buzurgoṅ ko jamā kiyā. 30hārūn ne unheṅ vah tamām bāteṅ sunāīṅ jo rabb ne mūsā ko batāī thīṅ. us ne mazkūrā mojize bhī logoṅ ke sāmne dikhāe. 31phir unheṅ yaqīn āyā. aur jab unhoṅ ne sunā ki rabb ko tumhārā ḵẖayāl hai aur vah tumhārī musībat se āgāh hai to unhoṅ ne rabb ko sijdā kiyā.