Ḵẖurūj 5
mūsā aur hārūn firaaun ke darbār meṅ
1phir mūsā aur hārūn firaaun ke pās gae. unhoṅ ne kahā, “rabb isrāīl kā ḵẖudā farmātā hai, ‘merī qaum ko registān meṅ jāne de tāki vah mere liye īd manāeṅ’.” 2firaaun ne javāb diyā, “yah rabb kaun hai? maiṅ kyūṅ us kā hukm mān kar isrāīliyoṅ ko jāne dūṅ? na maiṅ rabb ko jāntā hūṅ, na isrāīliyoṅ ko jāne dūṅgā.”
3hārūn aur mūsā ne kahā, “ibrāniyoṅ kā ḵẖudā ham par zāhir huā hai. is liye meharbānī karke hameṅ ijāzat deṅ ki registān meṅ tīn din kā safar karke rabb apne ḵẖudā ke huzūr qurbāniyāṅ pesh kareṅ. kahīṅ vah hameṅ kisī bīmārī yā talvār se na māre.”
4lekin misr ke bādshāh ne inkār kiyā, “mūsā aur hārūn, tum logoṅ ko kām se kyūṅ rok rahe ho? jāo, jo kām ham ne tum ko diyā hai us par lag jāo! 5isrāīlī vaise bhī tādād meṅ bahut baṛh gae haiṅ, aur tum unheṅ kām karne se rok rahe ho.”
javāb meṅ firaaun kā saḵẖt dabāo
6usī din firaaun ne misrī nigrānoṅ aur un ke tahat ke isrāīlī nigrānoṅ ko hukm diyā, 7“ab se isrāīliyoṅ ko īṅṭeṅ banāne ke liye bhūsā mat denā, balki vah ḵẖud jā kar bhūsā jamā kareṅ. 8to bhī vah utnī hī īṅṭeṅ banāeṅ jitnī pahale banāte the. vah sust ho gae haiṅ aur isī liye chīḵẖ rahe haiṅ ki hameṅ jāne deṅ tāki apne ḵẖudā ko qurbāniyāṅ pesh kareṅ. 9un se aur ziyādā saḵẖt kām karāo, unheṅ kām meṅ lagāe rakho. un ke pās itnā vaqt hī na ho ki vah jhūṭī bātoṅ par dhyān deṅ.”
10misrī nigrān aur un ke tahat ke isrāīlī nigrānoṅ ne logoṅ ke pās jā kar un se kahā, “firaaun kā hukm hai ki tumheṅ bhūsā na diyā jāe. 11is liye ḵẖud jāo aur bhūsā ḍhūṅḍ kar jamā karo. lekin ḵẖabardār! utnī hī īṅṭeṅ banāo jitnī pahale banāte the.”
12yah sun kar isrāīlī bhūsā jamā karne ke liye pūre mulk meṅ phail gae. 13misrī nigrān yah kah kar un par dabāo ḍālte rahe ki utnī īṅṭeṅ banāo jitnī pahale banāte the. 14jo isrāīlī nigrān unhoṅ ne muqarrar kie the unheṅ vah pīṭte aur kahate rahe, “tum ne kal aur āj utnī īṅṭeṅ kyūṅ nahīṅ banvāīṅ jitnī pahale banvāte the?”
15phir isrāīlī nigrān firaaun ke pās gae. unhoṅ ne shikāyat karke kahā, “āp apne ḵẖādimoṅ ke sāth aisā sulūk kyūṅ kar rahe haiṅ? 16hameṅ bhūsā nahīṅ diyā jā rahā aur sāth sāth yah kahā gayā hai ki utnī īṅṭeṅ banāo jitnī pahale banāte the. natīje meṅ hameṅ mārā pīṭā bhī jā rahā hai hālāṅki aisā karne meṅ āp ke apne log ġaltī par haiṅ.”
17firaaun ne javāb diyā, “tum log sust ho, tum kām karnā nahīṅ chāhate. is liye tum yah jagah chhoṛnā aur rabb ko qurbāniyāṅ pesh karnā chāhate ho. 18ab jāo, kām karo. tumheṅ bhūsā nahīṅ diyā jāegā, lekin ḵẖabardār! utnī hī īṅṭeṅ banāo jitnī pahale banāte the.”
19jab isrāīlī nigrānoṅ ko batāyā gayā ki īṅṭoṅ kī matlūbā tādād kam na karo to vah samajh gae ki ham phaṅs gae haiṅ. 20firaaun ke mahal se nikal kar un kī mulāqāt mūsā aur hārūn se huī jo un ke intizār meṅ the. 21unhoṅ ne mūsā aur hārūn se kahā, “rabb ḵẖud āp kī adālat kare. kyūṅki āp ke sabab se firaaun aur us ke mulāzimoṅ ko ham se ghin ātī hai. āp ne unheṅ hameṅ mār dene kā mauqā de diyā hai.”
mūsā kī shikāyat aur rabb kā javāb
22yah sun kar mūsā rabb ke pās vāpas āyā aur kahā, “ai āqā, tū ne is qaum se aisā burā sulūk kyūṅ kiyā? kyā tū ne isī maqsad se mujhe yahāṅ bhejā hai? 23jab se maiṅ ne firaaun ke pās jā kar use terī marzī batāī hai vah isrāīlī qaum se burā sulūk kar rahā hai. aur tū ne ab tak unheṅ bachāne kā koī qadam nahīṅ uṭhāyā.”