Ḵẖurūj 7
1lekin rabb ne kahā, “dekh, mere kahane par tū firaaun ke liye allāh kī haisiyat rakhegā aur terā bhāī hārūn terā paiġambar hogā. 2jo bhī hukm maiṅ tujhe dūṅgā use tū hārūn ko batā de. phir vah sab kuchh firaaun ko batāe tāki vah isrāīliyoṅ ko apne mulk se jāne de. 3lekin maiṅ firaaun ko aṛ jāne dūṅgā. agarchi maiṅ misr meṅ bahut se nishānoṅ aur mojizoṅ se apnī qudrat kā muzāharā karūṅgā 4to bhī firaaun tumhārī nahīṅ sunegā. tab misriyoṅ par merā hāth bhārī ho jāegā, aur maiṅ un ko saḵẖt sazā de kar apnī qaum isrāīl ko ḵẖāndānoṅ kī tartīb ke mutābiq misr se nikāl lāūṅgā. 5jab maiṅ misr ke ḵẖilāf apnī qudrat kā izhār karke isrāīliyoṅ ko vahāṅ se nikālūṅgā to misrī jān leṅge ki maiṅ rabb hūṅ.”
6mūsā aur hārūn ne sab kuchh vaisā hī kiyā jaisā rabb ne unheṅ hukm diyā. 7firaaun se bāt karte vaqt mūsā 80 sāl kā aur hārūn 83 sāl kā thā.
mūsā kī lāṭhī sāṁp ban jātī hai
8rabb ne mūsā aur hārūn se kahā, 9“jab firaaun tumheṅ mojizā dikhāne ko kahegā to mūsā hārūn se kahe ki apnī lāṭhī zamīn par ḍāl de. is par vah sāṁp ban jāegī.”
10mūsā aur hārūn ne firaaun ke pās jā kar aisā hī kiyā. hārūn ne apnī lāṭhī firaaun aur us ke uhdedāroṅ ke sāmne ḍāl dī to vah sāṁp ban gaī. 11yah dekh kar firaaun ne apne ālimoṅ aur jādūgaroṅ ko bulāyā. jādūgaroṅ ne bhī apne jādū se aisā hī kiyā. 12har ek ne apnī lāṭhī zamīn par phaiṅkī to vah sāṁp ban gaī. lekin hārūn kī lāṭhī ne un kī lāṭhiyoṅ ko nigal liyā.
13tāham firaaun is se mut’assir na huā. us ne mūsā aur hārūn kī bāt sunne se inkār kiyā. vaisā hī huā jaisā rabb ne kahā thā.
pānī ḵẖūn meṅ badal jātā hai
14phir rabb ne mūsā se kahā, “firaaun aṛ gayā hai. vah merī qaum ko misr chhoṛne se roktā hai. 15kal subah-savere jab vah daryā-e-nīl par āegā to us se milne ke liye daryā ke kināre par khaṛe ho jānā. us lāṭhī ko thāme rakhnā jo sāṁp ban gaī thī. 16jab vah vahāṅ pahuṅche to us se kahanā, ‘rabb ibrāniyoṅ ke ḵẖudā ne mujhe āp ko yah batāne ke liye bhejā hai ki merī qaum ko merī ibādat karne ke liye registān meṅ jāne de. lekin āp ne abhī tak us kī nahīṅ sunī. 17chunāṅche ab āp jān leṅge ki vah rabb hai. maiṅ is lāṭhī ko jo mere hāth meṅ hai le kar daryā-e-nīl ke pānī ko mārūṅgā. phir vah ḵẖūn meṅ badal jāegā. 18daryā-e-nīl kī machhliyāṅ mar jāeṅgī, daryā se badbū uṭhegī aur misrī daryā kā pānī nahīṅ pī sakeṅge’.”
19rabb ne mūsā se kahā, “hārūn ko batā denā ki vah apnī lāṭhī le kar apnā hāth un tamām jagahoṅ kī taraf baṛhāe jahāṅ pānī jamā hotā hai. tab misr kī tamām nadiyoṅ, naharoṅ, johaṛoṅ aur tālāboṅ kā pānī ḵẖūn meṅ badal jāegā. pūre mulk meṅ ḵẖūn hī ḵẖūn hogā, yahāṅ tak ki lakṛī aur patthar ke bartanoṅ kā pānī bhī ḵẖūn meṅ badal jāegā.”
20chunāṅche mūsā aur hārūn ne firaaun aur us ke uhdedāroṅ ke sāmne apnī lāṭhī uṭhā kar daryā-e-nīl ke pānī par mārī. is par daryā kā sārā pānī ḵẖūn meṅ badal gayā. 21daryā kī machhliyāṅ mar gaīṅ, aur us se itnī badbū uṭhne lagī ki misrī us kā pānī na pī sake. misr meṅ chāroṅ taraf ḵẖūn hī ḵẖūn thā.
22lekin jādūgaroṅ ne bhī apne jādū ke zarīe aisā hī kiyā. is liye firaaun aṛ gayā aur mūsā aur hārūn kī bāt na mānī. vaisā hī huā jaisā rabb ne kahā thā. 23firaaun palaṭ kar apne ghar vāpas chalā gayā. use us kī parvā nahīṅ thī jo mūsā aur hārūn ne kiyā thā. 24lekin misrī daryā se pānī na pī sake, aur unhoṅ ne pīne kā pānī hāsil karne ke liye daryā ke kināre kināre gaṛhe khode. 25pānī ke badal jāne ke bād sāt din guzar gae.