Azrā 1
jilāvatanī se vāpsī
1fārs ke bādshāh ḵẖoras kī hukūmat ke pahale sāl meṅ rabb ne vah kuchh pūrā hone diyā jis kī peshgoī us ne yaramiyāh kī mārifat kī thī. us ne ḵẖoras ko zail kā elān karne kī taharīk dī. yah elān zabānī aur taharīrī taur par pūrī bādshāhī meṅ kiyā gayā.
2“fārs kā bādshāh ḵẖoras farmātā hai, rabb āsmān ke ḵẖudā ne duniyā ke tamām mamālik mere havāle kar die haiṅ. us ne mujhe yahūdāh ke shahar yarūshalam meṅ us ke liye ghar banāne kī zimmādārī dī hai. 3āp meṅ se jitne us kī qaum ke haiṅ yarūshalam ke liye ravānā ho jāeṅ tāki vahāṅ rabb isrāīl ke ḵẖudā ke liye ghar banāeṅ, us ḵẖudā ke liye jo yarūshalam meṅ sukūnat kartā hai. āp kā ḵẖudā āp ke sāth ho. 4jahāṅ bhī isrāīlī qaum ke bache hue log rahate haiṅ, vahāṅ un ke paṛosiyoṅ kā farz hai ki vah sone-chāṅdī aur māl-maveshī se un kī madad kareṅ. is ke ilāvā vah apnī ḵẖushī se yarūshalam meṅ allāh ke ghar ke liye hadie bhī deṅ.”
5tab kuchh isrāīlī ravānā ho kar yarūshalam meṅ rabb ke ghar ko tāmīr karne kī tayyāriyāṅ karne lage. un meṅ yahūdāh aur binyamīn ke ḵẖāndānī sarparast, imām aur lāvī shāmil the yānī jitne logoṅ ko allāh ne taharīk dī thī. 6un ke tamām paṛosiyoṅ ne unheṅ sonā-chāṅdī aur māl-maveshī de kar un kī madad kī. is ke ilāvā unhoṅ ne apnī ḵẖushī se bhī rabb ke ghar ke liye hadie die.
7ḵẖoras bādshāh ne vah chīzeṅ vāpas kar dīṅ jo nabūkadnazzar ne yarūshalam meṅ rabb ke ghar se lūṭ kar apne devtā ke mandir meṅ rakh dī thīṅ. 8unheṅ nikāl kar fārs ke bādshāh ne mitradāt ḵẖazānchī ke havāle kar diyā jis ne sab kuchh gin kar yahūdāh ke buzurg shesbazzar ko de diyā. 9jo faharist us ne likhī us meṅ zail kī chīzeṅ thīṅ :
sone ke 30 bāsan,
chāṅdī ke 1,000 bāsan,
29 chhuriyāṅ,
10sone ke 30 piyāle,
chāṅdī ke 410 piyāle,
bāqī chīzeṅ 1,000 adad.
11sone aur chāṅdī kī kul 5,400 chīzeṅ thīṅ. shesbazzar yah sab kuchh apne sāth le gayā jab vah jilāvatanoṅ ke sāth bābal se yarūshalam ke liye ravānā huā.