Azrā 2
vāpas āe hue isrāīliyoṅ kī faharist
1zail meṅ yahūdāh ke un logoṅ kī faharist hai jo jilāvatanī se vāpas āe. bābal kā bādshāh nabūkadnazzar unheṅ qaid karke bābal le gayā thā, lekin ab vah yarūshalam aur yahūdāh ke un shaharoṅ meṅ phir jā base jahāṅ un ke ḵẖāndān pahale rahate the. 2un ke rāhanumā zarubbābal, yashūa, nahamiyāh, sirāyāh, rālāyāh, mardkī, bilshān, misfār, bigvaī, rahūm aur bānā the. zail kī faharist meṅ vāpas āe hue ḵẖāndānoṅ ke mard bayān kie gae haiṅ.
3paraūs kā ḵẖāndān : 2,172,
4safatiyāh kā ḵẖāndān : 372,
5araḵẖ kā ḵẖāndān : 775,
6paḵẖat-moāb kā ḵẖāndān yānī yashūa aur yoāb kī aulād : 2,812,
7ailām kā ḵẖāndān : 1,254,
8zattū kā ḵẖāndān : 945,
9zakkī kā ḵẖāndān : 760,
10bānī kā ḵẖāndān : 642,
11babī kā ḵẖāndān : 623,
12azjād kā ḵẖāndān : 1,222,
13adūniqām kā ḵẖāndān : 666,
14bigvaī kā ḵẖāndān : 2,056,
15adīn kā ḵẖāndān : 454,
16atīr kā ḵẖāndān yānī hizaqiyāh kī aulād : 98,
17bazī kā ḵẖāndān : 323,
18yūrā kā ḵẖāndān : 112,
19hāshūm kā ḵẖāndān : 223,
20jibbār kā ḵẖāndān : 95,
21bait-laham ke bāshinde : 123,
22natūfā ke 56 bāshinde,
23antot ke bāshinde : 128,
24azmāvat ke bāshinde : 42,
25qiryat-yārīm, kafīrā aur bairot ke bāshinde : 743,
26rāmā aur jibā ke bāshinde : 621,
27mikmās ke bāshinde : 122,
28bait-el aur aī ke bāshinde : 223,
29nabū ke bāshinde : 52,
30majbīs ke bāshinde : 156,
31dūsre ailām ke bāshinde : 1,254,
32hārim ke bāshinde : 320,
33lūd, hādīd aur onū ke bāshinde : 725,
34yarīhū ke bāshinde : 345,
35sanāāh ke bāshinde : 3,630.
36zail ke imām jilāvatanī se vāpas āe.
yadāyāh kā ḵẖāndān jo yashūa kī nasal kā thā : 973,
37immer kā ḵẖāndān : 1,052,
38fashhūr kā ḵẖāndān : 1,247,
39hārim kā ḵẖāndān : 1,017,
40zail ke lāvī jilāvatanī se vāpas āe. yashūa aur qadamīel kā ḵẖāndān yānī hūdāviyāh kī aulād : 74,
41gulūkār : āsaf ke ḵẖāndān ke 128 ādmī,
42rabb ke ghar ke darbān : sallūm, atīr, talmūn, aqqūb, ḵẖatītā aur sobī ke ḵẖāndānoṅ ke 139 ādmī.
43rabb ke ghar ke ḵẖidmatgāroṅ ke darj-e-zail ḵẖāndān jilāvatanī se vāpas āe.
zīhā, hasūfā, tabbāot, 44qarūs, sīāhā, fadūn, 45libānā, hajābā, aqqūb, 46hajāb, shalmī, hanān, 47jiddel, jahar, riyāyāh, 48razīn, naqūdā, jazzām, 49uzzā, fāsih, basī, 50asnā, maūnīm, nafūsīm, 51baqbūq, haqūfā, harhūr, 52bazlūt, mahīdā, harshā, 53barqūs, sīsrā, tāmah, 54naziyāh aur ḵẖatīfā.
55sulemān ke ḵẖādimoṅ ke darj-e-zail ḵẖāndān jilāvatanī se vāpas āe.
sūtī, sūfirat, farūdā, 56yālā, darqūn, jiddel, 57safatiyāh, ḵẖattīl, fūkirat-zabāim aur amī.
58rabb ke ghar ke ḵẖidmatgāroṅ aur sulemān ke ḵẖādimoṅ ke ḵẖāndānoṅ meṅ se vāpas āe hue mardoṅ kī tādād 392 thī. 59-60 vāpas āe hue ḵẖāndānoṅ dilāyāh, tūbiyāh aur naqūdā ke 652 mard sābit na kar sake ki isrāīl kī aulād haiṅ, go vah tal-milah, tal-harshā, karūb, addūn aur immer ke rahane vāle the.
61-62 habāyāh, haqqūz aur barzillī ke ḵẖāndānoṅ ke kuchh imām bhī vāpas āe, lekin unheṅ rabb ke ghar meṅ ḵẖidmat karne kī ijāzat na milī. kyūṅki go unhoṅ ne nasbanāme meṅ apne nām talāsh kie un kā kahīṅ zikr na milā, is liye unheṅ nāpāk qarār diyā gayā. (barzillī ke ḵẖāndān ke bānī ne barzillī jiliādī kī beṭī se shādī karke apne susar kā nām apnā liyā thā.) 63yahūdāh ke gavarnar ne hukm diyā ki in tīn ḵẖāndānoṅ ke imām filahāl qurbāniyoṅ kā vah hissā khāne meṅ sharīk na hoṅ jo imāmoṅ ke liye muqarrar hai. jab dubārā imām-e-āzam muqarrar kiyā jāe to vahī ūrīm aur tummīm nāmī qur’ā ḍāl kar muāmalā hal kare.
64kul 42,360 isrāīlī apne vatan lauṭ āe, 65nīz un ke 7,337 ġulām aur lauṅḍiyāṅ aur 200 gulūkār jin meṅ mard-o-ḵẖavātīn shāmil the.
66isrāīliyoṅ ke pās 736 ghoṛe, 245 ḵẖacchar, 67435 ūṅṭ aur 6,720 gadhe the.
68jab vah yarūshalam meṅ rabb ke ghar ke pās pahuṅche to kuchh ḵẖāndānī sarparastoṅ ne apnī ḵẖushī se hadie die tāki allāh kā ghar nae sire se us jagah tāmīr kiyā jā sake jahāṅ pahale thā. 69har ek ne utnā de diyā jitnā de sakā. us vaqt sone ke kul 61,000 sikke, chāṅdī ke 2,800 kilogrām aur imāmoṅ ke 100 libās jamā hue.
70imām, lāvī, gulūkār, rabb ke ghar ke darbān aur ḵẖidmatgār, aur avām ke kuchh log apnī apnī ābāī ābādiyoṅ meṅ dubārā jā base. yūṅ tamām isrāīlī dubārā apne apne shaharoṅ meṅ rahane lage.