Azrā 3

naī qurbāngāh par qurbāniyāṅ

1sātveṅ mahīne kī ibtidā meṅ pūrī qaum yarūshalam meṅ jamā huī. us vaqt isrāīlī apnī ābādiyoṅ meṅ dubārā ābād ho gae the. 2jamā hone kā maqsad isrāīl ke ḵẖudā kī qurbāngāh ko nae sire se tāmīr karnā thā tāki mard-e-ḵẖudā mūsā kī sharīat ke mutābiq us par bhasm hone vālī qurbāniyāṅ pesh kī jā sakeṅ. chunāṅche yashūa bin yūsdaq aur zarubbābal bin siyāltīel kām meṅ lag gae. yashūa ke imām bhāiyoṅ aur zarubbābal ke bhāiyoṅ ne un kī madad kī. 3go vah mulk meṅ rahane vālī dīgar qaumoṅ se sahame hue the tāham unhoṅ ne qurbāngāh ko us kī purānī bunyād par tāmīr kiyā aur subah-shām us par rabb ko bhasm hone vālī qurbāniyāṅ pesh karne lage. 4jhoṁpaṛiyoṅ kī īd unhoṅ ne sharīat kī hidāyat ke mutābiq manāī. us hafte ke har din unhoṅ ne bhasm hone vālī utnī qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ jitnī zarūrī thīṅ.

5us vaqt se imām bhasm hone vālī tamām darkār qurbāniyāṅ bāqāidagī se pesh karne lage, nīz nae chāṅd kī īdoṅ aur rabb kī bāqī maḵẖsūs-o-muqaddas īdoṅ kī qurbāniyāṅ. qaum apnī ḵẖushī se bhī rabb ko qurbāniyāṅ pesh kartī thī. 6go rabb ke ghar kī bunyād abhī ḍālī nahīṅ gaī thī to bhī isrāīlī sātveṅ mahīne ke pahale din se rabb ko bhasm hone vālī qurbāniyāṅ pesh karne lage. 7phir unhoṅ ne rājoṅ aur kārīgaroṅ ko paise de kar kām par lagāyā aur sūr aur saidā ke bāshindoṅ se deodār kī lakṛī maṅgavāī. yah lakṛī lubnān ke pahāṛī ilāqe se samundar tak lāī gaī aur vahāṅ se samundar ke rāste yāfā pahuṅchāī gaī. isrāīliyoṅ ne muāvaze meṅ khāne-pīne kī chīzeṅ aur zaitūn kā tel de diyā. fārs ke bādshāh ḵẖoras ne unheṅ yah karvāne kī ijāzat dī thī.

rabb ke ghar kī tāmīr-e-nau

8jilāvatanī se vāpas āne ke dūsre sāl ke dūsre mahīne meṅ rabb ke ghar kī nae sire se tāmīr shurū huī. is kām meṅ zarubbābal bin siyāltīel, yashūa bin yūsdaq, dīgar imām aur lāvī aur vatan meṅ vāpas āe hue bāqī tamām isrāīlī sharīk hue. tāmīrī kām kī nigrānī un lāviyoṅ ke zimme lagā dī gaī jin kī umr 20 sāl yā is se zāid thī.

9zail ke log mil kar rabb kā ghar banāne vāloṅ kī nigrānī karte the : yashūa apne beṭoṅ aur bhāiyoṅ samet, qadamīel aur us ke beṭe jo hūdāviyāh kī aulād the aur handād ke ḵẖāndān ke lāvī.

10rabb ke ghar kī bunyād rakhte vaqt imām apne muqaddas libās pahane hue sāth khaṛe ho gae aur turam bajāne lage. āsaf ke ḵẖāndān ke lāvī sāth sāth jhāṅjh bajāne aur rabb kī sitāish karne lage. sab kuchh isrāīl ke bādshāh dāūd kī hidāyāt ke mutābiq huā. 11vah hamd-o-sanā ke gīt se rabb kī tārīf karne lage, “vah bhalā hai, aur isrāīl par us kī shafqat abdī hai!” jab hāzirīn ne dekhā ki rabb ke ghar kī bunyād rakhī jā rahī hai to sab rabb kī ḵẖushī meṅ zordār nāre lagāne lage.

12lekin bahut se imām, lāvī aur ḵẖāndānī sarparast hāzir the jinhoṅ ne rabb kā pahalā ghar dekhā huā thā. jab un ke dekhte dekhte rabb ke nae ghar kī bunyād rakhī gaī to vah buland āvāz se rone lage jabki bāqī bahut sāre log ḵẖushī ke nāre lagā rahe the. 13itnā shor thā ki ḵẖushī ke nāroṅ aur rone kī āvāzoṅ meṅ imtiyāz na kiyā jā sakā. shor dūr dūr tak sunāī diyā.