Azrā 4

rabb ke ghar kī tāmīr kī muḵẖālafat

1yahūdāh aur binyamīn ke dushmanoṅ ko patā chalā ki vatan meṅ vāpas āe hue isrāīlī rabb isrāīl ke ḵẖudā ke liye ghar tāmīr kar rahe haiṅ. 2zarubbābal aur ḵẖāndānī sarparastoṅ ke pās ā kar unhoṅ ne daraḵẖwāst kī, “ham bhī āp ke sāth mil kar rabb ke ghar ko tāmīr karnā chāhate haiṅ. kyūṅki jab se asūr ke bādshāh asarhaddūn ne hameṅ yahāṅ lā kar basāyā hai us vaqt se ham āp ke ḵẖudā ke tālib rahe aur use qurbāniyāṅ pesh karte āe haiṅ.” 3lekin zarubbābal, yashūa aur isrāīl ke bāqī ḵẖāndānī sarparastoṅ ne inkār kiyā, “nahīṅ, is meṅ āp kā hamāre sāth koī vāstā nahīṅ. ham akele hī rabb isrāīl ke ḵẖudā ke liye ghar banāeṅge, jis tarah fārs ke bādshāh ḵẖoras ne hameṅ hukm diyā hai.”

4yah sun kar mulk kī dūsrī qaumeṅ yahūdāh ke logoṅ kī hausalāshikanī aur unheṅ ḍarāne kī koshish karne lagīṅ tāki vah imārat banāne se bāz āeṅ. 5yahāṅ tak ki vah fārs ke bādshāh ḵẖoras ke kuchh mushīroṅ ko rishvat de kar kām rokne meṅ kāmyāb ho gae. yūṅ rabb ke ghar kī tāmīr ḵẖoras bādshāh ke daur-e-hukūmat se le kar dārā bādshāh kī hukūmat tak rukī rahī.

6bād meṅ jab aḵẖasverus bādshāh kī hukūmat shurū huī to isrāīl ke dushmanoṅ ne yahūdāh aur yarūshalam ke bāshindoṅ par ilzām lagā kar shikāytī ḵẖat likhā.

7phir artaḵẖshastā bādshāh ke daur-e-hukūmat meṅ use yahūdāh ke dushmanoṅ kī taraf se shikāytī ḵẖat bhejā gayā. ḵẖat ke pīchhe ḵẖāskar bishlām, mitradāt aur tābiel the. pahale use arāmī zabān meṅ likhā gayā, aur bād meṅ us kā tarjumā huā. 8sāmriyā ke gavarnar rahūm aur us ke mīramunshī shamsī ne shahanshāh ko ḵẖat likh diyā jis meṅ unhoṅ ne yarūshalam par ilzāmāt lagāe. pate meṅ likhā thā,

9az : rahūm gavarnar aur mīramunshī shamsī, nīz un ke hamḵẖidmat qāzī, safīr aur tarpal, sippar, arak, bābal aur sosan yānī ailām ke mard, 10nīz bāqī tamām qaumeṅ jin ko azīm aur azīz bādshāh ashūrbanīpāl ne uṭhā kar sāmriyā aur daryā-e-furāt ke bāqīmāndā maġribī ilāqe meṅ basā diyā thā.

11ḵẖat meṅ likhā thā,

“shahanshāh artaḵẖshastā ke nām,

az : āp ke ḵẖādim jo daryā-e-furāt ke maġrib meṅ rahate haiṅ.

12shahanshāh ko ilm ho ki jo yahūdī āp ke huzūr se hamāre pās yarūshalam pahuṅche haiṅ vah is vaqt us bāġī aur sharīr shahar ko nae sire se tāmīr kar rahe haiṅ. vah fasīl ko bahāl karke bunyādoṅ kī marammat kar rahe haiṅ. 13shahanshāh ko ilm ho ki agar shahar nae sire se tāmīr ho jāe aur us kī fasīl takmīl tak pahuṅche to yah log ṭaiks, ḵẖarāj aur mahasūl adā karne se inkār kar deṅge. tab bādshāh ko nuqsān pahuṅchegā. 14ham to namakaharām nahīṅ haiṅ, na shahanshāh kī tauhīn bardāsht kar sakte haiṅ. is liye ham guzārish karte haiṅ 15ki āp apne bāpdādā kī tārīḵẖī dastāvezāt se yarūshalam ke bāre meṅ mālūmāt hāsil kareṅ, kyūṅki un meṅ is bāt kī tasdīq milegī ki yah shahar māzī meṅ sarkash rahā. haqīqat meṅ shahar ko isī liye tabāh kiyā gayā ki vah bādshāhoṅ aur sūboṅ ko taṅg kartā rahā aur qadīm zamāne se hī baġāvat kā mambā rahā hai. 16ġaraz ham shahanshāh ko ittilā dete haiṅ ki agar yarūshalam ko dubārā tāmīr kiyā jāe aur us kī fasīl takmīl tak pahuṅche to daryā-e-furāt ke maġribī ilāqe par āp kā qābū jātā rahegā.”

17shahanshāh ne javāb meṅ likhā,

“maiṅ yah ḵẖat rahūm gavarnar, shamsī mīramunshī aur sāmriyā aur daryā-e-furāt ke maġrib meṅ rahane vāle un ke hamḵẖidmat afsaroṅ ko likh rahā hūṅ.

āp ko salām! 18āp ke ḵẖat kā tarjumā merī maujūdgī meṅ huā hai aur use mere sāmne paṛhā gayā hai. 19mere hukm par yarūshalam ke bāre meṅ mālūmāt hāsil kī gaī haiṅ. mālūm huā ki vāqaī yah shahar qadīm zamāne se bādshāhoṅ kī muḵẖālafat karke sarkashī aur baġāvat kā mambā rahā hai. 20nīz, yarūshalam tāqatvar bādshāhoṅ kā dār-ul-hakūmat rahā hai. un kī itnī tāqat thī ki daryā-e-furāt ke pūre maġribī ilāqe ko unheṅ muḵẖtalif qism ke ṭaiks aur ḵẖarāj adā karnā paṛā. 21chunāṅche ab hukm deṅ ki yah ādmī shahar kī tāmīr karne se bāz āeṅ. jab tak maiṅ ḵẖud hukm na dūṅ us vaqt tak shahar ko nae sire se tāmīr karne kī ijāzat nahīṅ hai. 22dhyān deṅ ki is hukm kī takmīl meṅ sustī na kī jāe, aisā na ho ki shahanshāh ko baṛā nuqsān pahuṅche.”

23jūṅ hī ḵẖat kī kāpī rahūm, shamsī aur un ke hamḵẖidmat afsaroṅ ko paṛh kar sunāī gaī to vah yarūshalam ke liye ravānā hue aur yahūdiyoṅ ko zabardastī kām jārī rakhne se rok diyā.

24chunāṅche yarūshalam meṅ allāh ke ghar kā tāmīrī kām ruk gayā, aur vah fārs ke bādshāh dārā kī hukūmat ke dūsre sāl tak rukā rahā.