Azrā 5
rabb ke ghar kī tāmīr dubārā shurū hotī hai
1ek din do nabī banām hajjī aur zakariyāh bin iddū uṭh kar isrāīl ke ḵẖudā ke nām meṅ jo un ke ūpar thā yahūdāh aur yarūshalam ke yahūdiyoṅ ke sāmne nubuvvat karne lage. 2un ke hausalāafzā alfāz sun kar zarubbābal bin siyāltīel aur yashūa bin yūsdaq ne faislā kiyā ki ham dubārā yarūshalam meṅ allāh ke ghar kī tāmīr shurū kareṅge. donoṅ nabī is meṅ un ke sāth the aur un kī madad karte rahe.
3lekin jūṅ hī kām shurū huā to daryā-e-furāt ke maġribī ilāqe ke gavarnar tattnī aur shatar-boznī apne hamḵẖidmat afsaroṅ samet yarūshalam pahuṅche. unhoṅ ne pūchhā, “kis ne āp ko yah ghar banāne aur is kā ḍhāṅchā takmīl tak pahuṅchāne kī ijāzat dī? 4is kām ke liye zimmādār ādmiyoṅ ke nām hameṅ batāeṅ!” 5lekin un kā ḵẖudā yahūdāh ke buzurgoṅ kī nigrānī kar rahā thā, is liye unheṅ rokā na gayā. kyūṅki logoṅ ne sochā ki pahale dārā bādshāh ko ittilā dī jāe. jab tak vah faislā na kare us vaqt tak kām rokā na jāe.
6phir daryā-e-furāt ke maġribī ilāqe ke gavarnar tattnī, shatar-boznī aur un ke hamḵẖidmat afsaroṅ ne dārā bādshāh ko zail kā ḵẖat bhejā,
7“dārā bādshāh ko dil kī gaharāiyoṅ se salām kahate haiṅ! 8shahanshāh ko ilm ho ki sūbā yahūdāh meṅ jā kar ham ne dekhā ki vahāṅ azīm ḵẖudā kā ghar banāyā jā rahā hai. us ke liye baṛe tarāshe hue patthar istemāl ho rahe haiṅ aur dīvāroṅ meṅ shahatīr lagāe jā rahe haiṅ. log baṛī jāṅfishānī se kām kar rahe haiṅ, aur makān un kī mehanat ke bāis tezī se ban rahā hai. 9ham ne buzurgoṅ se pūchhā, ‘kis ne āp ko yah ghar banāne aur is kā ḍhāṅchā takmīl tak pahuṅchāne kī ijāzat dī hai?’ 10ham ne un ke nām bhī mālūm kie tāki likh kar āp ko bhej sakeṅ. 11unhoṅ ne hameṅ javāb diyā,
‘ham āsmān-o-zamīn ke ḵẖudā ke ḵẖādim haiṅ, aur ham us ghar ko az sar-e-nau tāmīr kar rahe haiṅ jo bahut sāl pahale yahāṅ qāim thā. isrāīl ke ek azīm bādshāh ne use qadīm zamāne meṅ banā kar takmīl tak pahuṅchāyā thā. 12lekin hamāre bāpdādā ne āsmān ke ḵẖudā ko taish dilāyā, aur natīje meṅ us ne unheṅ bābal ke bādshāh nabūkadnazzar ke havāle kar diyā jis ne rabb ke ghar ko tabāh kar diyā aur qaum ko qaid karke bābal meṅ basā diyā. 13lekin bād meṅ jab ḵẖoras bādshāh ban gayā to us ne apnī hukūmat ke pahale sāl meṅ hukm diyā ki allāh ke is ghar ko dubārā tāmīr kiyā jāe. 14sāth sāth us ne sone-chāṅdī kī vah chīzeṅ vāpas kar dīṅ jo nabūkadnazzar ne yarūshalam meṅ allāh ke ghar se lūṭ kar bābal ke mandir meṅ rakh dī thīṅ. ḵẖoras ne yah chīzeṅ ek ādmī ke sapurd kar dīṅ jis kā nām shesbazzar thā aur jise us ne yahūdāh kā gavarnar muqarrar kiyā thā. 15us ne use hukm diyā ki sāmān ko yarūshalam le jāo aur rabb ke ghar ko purānī jagah par az sar-e-nau tāmīr karke yah chīzeṅ us meṅ mahfūz rakho. 16tab shesbazzar ne yarūshalam ā kar allāh ke ghar kī bunyād rakhī. usī vaqt se yah imārat zer-e-tāmīr hai, agarchi yah āj tak mukammal nahīṅ huī.’
17chunāṅche agar shahanshāh ko manzūr ho to vah taftīsh kareṅ ki kyā bābal ke shāhī daftar meṅ koī aisī dastāvez maujūd hai jo is bāt kī tasdīq kare ki ḵẖoras bādshāh ne yarūshalam meṅ rabb ke ghar ko az sar-e-nau tāmīr karne kā hukm diyā. guzārish hai ki shahanshāh hameṅ apnā faislā pahuṅchā deṅ.”