Azrā 6
dārā bādshāh yahūdiyoṅ kī madad kartā hai
1tab dārā bādshāh ne hukm diyā ki bābal ke ḵẖazāne ke daftar meṅ taftīsh kī jāe. is kā khoj lagāte lagāte 2āḵẖirkār mādī shahar ikbtānā ke qilae meṅ tūmār mil gayā jis meṅ likhā thā,
3“ḵẖoras bādshāh kī hukūmat ke pahale sāl meṅ shahanshāh ne hukm diyā ki yarūshalam meṅ allāh ke ghar ko us kī purānī jagah par nae sire se tāmīr kiyā jāe tāki vahāṅ dubārā qurbāniyāṅ pesh kī jā sakeṅ. us kī bunyād rakhne ke bād us kī ūṅchāī 90 aur chauṛāī 90 fuṭ ho. 4dīvāroṅ ko yūṅ banāyā jāe ki tarāshe hue pattharoṅ ke har tīn raddoṅ ke bād deodār ke shahatīroṅ kā ek raddā lagāyā jāe. aḵẖrājāt shāhī ḵẖazāne se pūre kie jāeṅ. 5nīz sone-chāṅdī kī jo chīzeṅ nabūkadnazzar yarūshalam ke is ghar se nikāl kar bābal lāyā vah vāpas pahuṅchāī jāeṅ. har chīz allāh ke ghar meṅ us kī apnī jagah par vāpas rakh dī jāe.”
6yah ḵẖabar paṛh kar dārā ne daryā-e-furāt ke maġribī ilāqe ke gavarnar tattnī, shatar-boznī aur un ke hamḵẖidmat afsaroṅ ko zail kā javāb bhej diyā,
“allāh ke is ghar kī tāmīr meṅ mudāḵẖalat mat karnā! 7logoṅ ko kām jārī rakhne deṅ. yahūdiyoṅ kā gavarnar aur un ke buzurg allāh kā yah ghar us kī purānī jagah par tāmīr kareṅ.
8na sirf yah balki maiṅ hukm detā hūṅ ki āp is kām meṅ buzurgoṅ kī madad kareṅ. tāmīr ke tamām aḵẖrājāt vaqt par muhayyā kareṅ tāki kām na ruke. yah paise shāhī ḵẖazāne yānī daryā-e-furāt ke maġribī ilāqe se jamā kie gae ṭaiksoṅ meṅ se adā kie jāeṅ. 9roz-ba-roz imāmoṅ ko bhasm hone vālī qurbāniyoṅ ke liye darkār tamām chīzeṅ muhayyā karte raheṅ, ḵẖwāh vah javān bail, meṅḍhe, bheṛ ke bacche, gandum, namak, mai yā zaitūn kā tel kyūṅ na māṅgeṅ. is meṅ sustī na kareṅ 10tāki vah āsmān ke ḵẖudā ko pasandīdā qurbāniyāṅ pesh karke shahanshāh aur us ke beṭoṅ kī salāmatī ke liye duā kar sakeṅ.
11is ke ilāvā maiṅ hukm detā hūṅ ki jo bhī is farmān kī ḵẖilāfvarzī kare us ke ghar se shahatīr nikāl kar khaṛā kiyā jāe aur use us par maslūb kiyā jāe. sāth sāth us ke ghar ko malbe kā ḍher banāyā jāe. 12jis ḵẖudā ne vahāṅ apnā nām basāyā hai vah har bādshāh aur qaum ko halāk kare jo mere is hukm kī ḵẖilāfvarzī karke yarūshalam ke ghar ko tabāh karne kī jur’at kare. maiṅ, dārā ne yah hukm diyā hai. ise har tarah se pūrā kiyā jāe.”
rabb ke ghar kī maḵẖsūsiyat
13daryā-e-furāt ke maġribī ilāqe ke gavarnar tattnī, shatar-boznī aur un ke hamḵẖidmat afsaroṅ ne har tarah se dārā bādshāh ke hukm kī tāmīl kī. 14chunāṅche yahūdī buzurg rabb ke ghar par kām jārī rakh sake. donoṅ nabī hajjī aur zakariyāh bin iddū apnī nubuvvatoṅ se un kī hausalāafzāī karte rahe, aur yūṅ sārā kām isrāīl ke ḵẖudā aur fārs ke bādshāhoṅ ḵẖoras, dārā aur artaḵẖshastā ke hukm ke mutābiq hī mukammal huā.
15rabb kā ghar dārā bādshāh kī hukūmat ke chhaṭe sāl meṅ takmīl tak pahuṅchā. adār ke mahīne kā tīsrā din [a] 12 mārch. thā. 16isrāīliyoṅ ne imāmoṅ, lāviyoṅ aur jilāvatanī se vāpas āe hue isrāīliyoṅ samet baṛī ḵẖushī se rabb ke ghar kī maḵẖsūsiyat kī īd manāī. 17unhoṅ ne 100 bail, 200 meṅḍhe aur bheṛ ke 400 bacche qurbān kie. pūre isrāīl ke liye gunāh kī qurbānī bhī pesh kī gaī, aur is ke liye fī qabīlā ek bakrā yānī mil kar 12 bakre chaṛhāe gae. 18phir imāmoṅ aur lāviyoṅ ko rabb ke ghar kī ḵẖidmat ke muḵẖtalif gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā gayā, jis tarah mūsā kī sharīat hidāyat detī hai.
isrāīlī fasah kī īd manāte haiṅ
19pahale mahīne ke 14veṅ din [b] 21 aprail. jilāvatanī se vāpas āe hue isrāīliyoṅ ne fasah kī īd manāī. 20tamām imāmoṅ aur lāviyoṅ ne apne āp ko pāk-sāf kar rakhā thā. sab ke sab pāk the. lāviyoṅ ne fasah ke lele jilāvatanī se vāpas āe hue isrāīliyoṅ, un ke bhāiyoṅ yānī imāmoṅ aur apne liye zabah kie. 21lekin na sirf jilāvatanī se vāpas āe hue isrāīlī is khāne meṅ sharīk hue balki mulk ke vah tamām log bhī jo ġairyahūdī qaumoṅ kī nāpāk rāhoṅ se alag ho kar un ke sāth rabb isrāīl ke ḵẖudā ke tālib hue the. 22unhoṅ ne sāt din baṛī ḵẖushī se beḵẖamīrī roṭī kī īd manāī. rabb ne un ke diloṅ ko ḵẖushī se bhar diyā thā, kyūṅki us ne fārs ke bādshāh kā dil un kī taraf māil kar diyā thā tāki unheṅ isrāīl ke ḵẖudā ke ghar ko tāmīr karne meṅ madad mile.