Azrā 7

azrā imām ko yarūshalam bhejā jātā hai

1in vāqiāt ke kāfī arse bād ek ādmī banām azrā bābal ko chhoṛ kar yarūshalam āyā. us vaqt fārs ke bādshāh artaḵẖshastā kī hukūmat thī. ādmī kā pūrā nām azrā bin sirāyāh bin azariyāh bin ḵẖilaqiyāh 2bin sallūm bin sadoq bin aḵẖītūb 3bin amariyāh bin azariyāh bin mirāyot 4bin zaraḵẖiyāh bin uzzī bin buqqī 5bin abīsūa bin fīnhās bin ilīazar bin hārūn thā. (hārūn imām-e-āzam thā).

6azrā pāk navishtoṅ kā ustād aur us sharīat kā ālim thā jo rabb isrāīl ke ḵẖudā ne mūsā kī mārifat dī thī. jab azrā bābal se yarūshalam ke liye ravānā huā to shahanshāh ne us kī har ḵẖwāhish pūrī kī, kyūṅki rabb us ke ḵẖudā kā shafīq hāth us par thā. 7kaī isrāīlī us ke sāth gae. imām, lāvī, gulūkār aur rabb ke ghar ke darbān aur ḵẖidmatgār bhī un meṅ shāmil the. yah artaḵẖshastā bādshāh kī hukūmat ke sātveṅ sāl meṅ huā. 8-9 qāfilā pahale mahīne ke pahale din [a] 8 aprail. bābal se ravānā huā aur pāṅchveṅ mahīne ke pahale din [b] 4 agast. sahīh-salāmat yarūshalam pahuṅchā, kyūṅki allāh kā shafīq hāth azrā par thā. 10vajah yah thī ki azrā ne apne āp ko rabb kī sharīat kī taftīsh karne, us ke mutābiq zindagī guzārne aur isrāīliyoṅ ko us ke ahkām aur hidāyāt kī tālīm dene ke liye vaqf kiyā thā.

shahanshāh azrā ko mukhtāranāmā detā hai

11artaḵẖshastā bādshāh ne azrā imām ko zail kā mukhtāranāmā de diyā, usī azrā ko jo pāk navishtoṅ kā ustād aur un ahkām aur hidāyāt kā ālim thā jo rabb ne isrāīl ko dī thīṅ. muḵẖtāranāme meṅ likhā thā,

12“az : shahanshāh artaḵẖshastā

azrā imām ko jo āsmān ke ḵẖudā kī sharīat kā ālim hai, salām! 13maiṅ hukm detā hūṅ ki agar merī saltanat meṅ maujūd koī bhī isrāīlī āp ke sāth yarūshalam jā kar vahāṅ rahanā chāhe to vah jā saktā hai. is meṅ imām aur lāvī bhī shāmil haiṅ, 14shahanshāh aur us ke sāt mushīr āp ko yahūdāh aur yarūshalam bhej rahe haiṅ tāki āp allāh kī us sharīat kī raushnī meṅ jo āp ke hāth meṅ hai yahūdāh aur yarūshalam kā hāl jāṅch leṅ. 15jo sonā-chāṅdī shahanshāh aur us ke mushīroṅ ne apnī ḵẖushī se yarūshalam meṅ sukūnat karne vāle isrāīl ke ḵẖudā ke liye qurbān kī hai use apne sāth le jāeṅ. 16nīz, jitnī bhī sonā-chāṅdī āp ko sūbā bābal se mil jāegī aur jitne bhī hadie qaum aur imām apnī ḵẖushī se apne ḵẖudā ke ghar ke liye jamā kareṅ unheṅ apne sāth le jāeṅ. 17un paisoṅ se bail, meṅḍhe, bheṛ ke bacche aur un kī qurbāniyoṅ ke liye darkār ġallā aur mai kī nazreṅ ḵẖarīd leṅ, aur unheṅ yarūshalam meṅ apne ḵẖudā ke ghar kī qurbāngāh par qurbān kareṅ. 18jo paise bach jāeṅ un ko āp aur āp ke bhāī vaise ḵẖarch kar sakte haiṅ jaise āp ko munāsib lage. shart yah hai ki āp ke ḵẖudā kī marzī ke mutābiq ho. 19yarūshalam meṅ apne ḵẖudā ko vah tamām chīzeṅ pahuṅchāeṅ jo āp ko rabb ke ghar meṅ ḵẖidmat ke liye dī jāeṅgī. 20bāqī jo kuchh bhī āp ko apne ḵẖudā ke ghar ke liye ḵẖarīdnā paṛe us ke paise shāhī ḵẖazānā adā karegā.

21maiṅ, artaḵẖshastā bādshāh daryā-e-furāt ke maġrib meṅ rahane vāle tamām ḵẖazānachiyoṅ ko hukm detā hūṅ ki har tarah se azrā imām kī mālī madad kareṅ. jo bhī āsmān ke ḵẖudā kī sharīat kā yah ustād māṅge vah use diyā jāe. 22use 3,400 kilogrām chāṅdī, 16,000 kilogrām gandum, 2,200 liṭar mai aur 2,200 liṭar zaitūn kā tel tak denā. namak use utnā mile jitnā vah chāhe. 23dhyān se sab kuchh muhayyā kareṅ jo āsmān kā ḵẖudā apne ghar ke liye māṅge. aisā na ho ki shahanshāh aur us ke beṭoṅ kī saltanat us ke ġazab kā nishānā ban jāe. 24nīz, āp ko ilm ho ki āp ko allāh ke is ghar meṅ ḵẖidmat karne vāle kisī shaḵẖs se bhī ḵẖarāj yā kisī qism kā ṭaiks lene kī ijāzat nahīṅ hai, ḵẖwāh vah imām, lāvī, gulūkār, rabb ke ghar kā darbān yā us kā ḵẖidmatgār ho.

25ai azrā, jo hikmat āp ke ḵẖudā ne āp ko atā kī hai us ke mutābiq majisṭreṭ aur qāzī muqarrar kareṅ jo āp kī qaum ke un logoṅ kā insāf kareṅ jo daryā-e-furāt ke maġrib meṅ rahate haiṅ. jitne bhī āp ke ḵẖudā ke ahkām jānte haiṅ vah is meṅ shāmil haiṅ. aur jitne in ahkām se vāqif nahīṅ haiṅ unheṅ āp ko tālīm denī hai. 26jo bhī āp ke ḵẖudā kī sharīat aur shahanshāh ke qānūn kī ḵẖilāfvarzī kare use saḵẖtī se sazā dī jāe. jurm kī sanjīdgī kā lihāz karke use yā to sazā-e-maut dī jāe yā jilāvatan kiyā jāe, us kī milkiyat zabt kī jāe yā use jel meṅ ḍālā jāe.”

azrā kī sitāish

27rabb hamāre bāpdādā ke ḵẖudā kī tamjīd ho jis ne shahanshāh ke dil ko yarūshalam meṅ rabb ke ghar ko shāndār banāne kī taharīk dī hai. 28usī ne shahanshāh, us ke mushīroṅ aur tamām asar-o-rasūḵẖ rakhne vāle afsaroṅ ke diloṅ ko merī taraf māil kar diyā hai. chūṅki rabb mere ḵẖudā kā shafīq hāth mujh par thā is liye merā hauslā baṛh gayā, aur maiṅ ne isrāīl ke ḵẖāndānī sarparastoṅ ko apne sāth isrāīl vāpas jāne ke liye jamā kiyā.

[a] 8 aprail.
[b] 4 agast.