Azrā 8

azrā ke sāth jilāvatanī se vāpas āne vāloṅ kī faharist

1darj-e-zail un ḵẖāndānī sarparastoṅ kī faharist hai jo artaḵẖshastā bādshāh kī hukūmat ke daurān mere sāth bābal se yarūshalam ke liye ravānā hue. har ḵẖāndān ke mardoṅ kī tādād bhī darj hai :

2-3 fīnhās ke ḵẖāndān kā jairsom,

itmar ke ḵẖāndān kā dānyāl,

dāūd ke ḵẖāndān kā hattūsh bin sakaniyāh,

paraūs ke ḵẖāndān kā zakariyāh. 150 mard us ke sāth nasbanāme meṅ darj the.

4paḵẖat-moāb ke ḵẖāndān kā ilīhūainī bin zaraḵẖiyāh 200 mardoṅ ke sāth,

5zattū ke ḵẖāndān kā sakaniyāh bin yahazīel 300 mardoṅ ke sāth,

6adīn ke ḵẖāndān kā abad bin yūntan 50 mardoṅ ke sāth,

7ailām ke ḵẖāndān kā yasāyāh bin ataliyāh 70 mardoṅ ke sāth,

8safatiyāh ke ḵẖāndān kā zabadiyāh bin mīkāel 80 mardoṅ ke sāth,

9yoāb ke ḵẖāndān kā abadiyāh bin yahīel 218 mardoṅ ke sāth,

10bānī ke ḵẖāndān kā salūmīt bin yūsifayāh 160 mardoṅ ke sāth,

11babī ke ḵẖāndān kā zakariyāh bin babī 28 mardoṅ ke sāth,

12azjād ke ḵẖāndān kā yūhanān bin haqqātān 110 mardoṅ ke sāth,

13adūniqām ke ḵẖāndān ke āḵẖirī log ilīfalat, yaīel aur samāyāh 60 mardoṅ ke sāth,

14bigvaī kā ḵẖāndān kā ūtī aur zabūd 70 mardoṅ ke sāth.

15maiṅ yānī azrā ne mazkūrā logoṅ ko us nahar ke pās jamā kiyā jo ahāvā kī taraf bahatī hai. vahāṅ ham ḵẖaime lagā kar tīn din ṭhahare rahe. is daurān mujhe patā chalā ki go ām log aur imām ā gae haiṅ lekin ek bhī lāvī hāzir nahīṅ hai. 16chunāṅche maiṅ ne ilīazar, arīel, samāyāh, ilnātan, yarīb, ilnātan, nātan, zakariyāh aur masullām ko apne pās bulā liyā. yah sab ḵẖāndānī sarparast the jabki sharīat ke do ustād banām yūyārīb aur ilnātan bhī sāth the. 17maiṅ ne unheṅ lāviyoṅ kī ābādī kāsifiyāh ke buzurg iddū ke pās bhej kar vah kuchh batāyā jo unheṅ iddū, us ke bhāiyoṅ aur rabb ke ghar ke ḵẖidmatgāroṅ ko batānā thā tāki vah hamāre ḵẖudā ke ghar ke liye ḵẖidmatgār bhejeṅ.

18allāh kā shafīq hāth ham par thā, is liye unhoṅ ne hameṅ mahalī bin lāvī bin isrāīl ke ḵẖāndān kā samajhdār ādmī saribiyāh bhej diyā. saribiyāh apne beṭoṅ aur bhāiyoṅ ke sāth pahuṅchā. kul 18 mard the. 19in ke ilāvā mirārī ke ḵẖāndān ke hasabiyāh aur yasāyāh ko bhī un ke beṭoṅ aur bhāiyoṅ ke sāth hamāre pās bhejā gayā. kul 20 mard the. 20un ke sāth rabb ke ghar ke 220 ḵẖidmatgār the. in ke tamām nām nasbanāme meṅ darj the. dāūd aur us ke mulāzimoṅ ne un ke bāpdādā ko lāviyoṅ kī ḵẖidmat karne kī zimmādārī dī thī.

yarūshalam ke liye ravāngī kī tayyāriyāṅ

21vahīṅ ahāvā kī nahar ke pās hī maiṅ ne elān kiyā ki ham sab rozā rakh kar apne āp ko apne ḵẖudā ke sāmne past kareṅ aur duā kareṅ ki vah hameṅ hamāre bāl-bacchoṅ aur sāmān ke sāth salāmatī se yarūshalam pahuṅchāe. 22kyūṅki hamāre sāth faujī aur ghuṛsavār nahīṅ the jo hameṅ rāste meṅ ḍākuoṅ se mahfūz rakhte. bāt yah thī ki maiṅ shahanshāh se yah māṅgne se sharm mahsūs kar rahā thā, kyūṅki ham ne use batāyā thā, “hamāre ḵẖudā kā shafīq hāth har ek par ṭhahartā hai jo us kā tālib rahatā hai. lekin jo bhī use tark kare us par us kā saḵẖt ġazab nāzil hotā hai.” 23chunāṅche ham ne rozā rakh kar apne ḵẖudā se iltimās kī ki vah hamārī hifāzat kare, aur us ne hamārī sunī.

24phir maiṅ ne imāmoṅ ke 12 rāhanumāoṅ ko chun liyā, nīz saribiyāh, hasabiyāh aur mazīd 10 lāviyoṅ ko. 25un kī maujūdgī meṅ maiṅ ne sonā-chāṅdī aur bāqī tamām sāmān tol liyā jo shahanshāh, us ke mushīroṅ aur afsaroṅ aur vahāṅ ke tamām isrāīliyoṅ ne hamāre ḵẖudā ke ghar ke liye atā kiyā thā.

26maiṅ ne tol kar zail kā sāmān un ke havāle kar diyā : taqrīban 22,000 kilogrām chāṅdī, chāṅdī kā kuchh sāmān jis kā kul vazan takrīn 3,400 kilogrām thā, 3,400 kilogrām sonā, 27sone ke 20 piyāle jin kā kul vazan taqrīban sāḍhe 8 kilogrām thā, aur pītal ke do pālish kie hue piyāle jo sone ke piyāloṅ jaise qīmtī the.

28maiṅ ne ādmiyoṅ se kahā, “āp aur yah tamām chīzeṅ rabb ke liye maḵẖsūs haiṅ. logoṅ ne apnī ḵẖushī se yah sonā-chāṅdī rabb āp ke bāpdādā ke ḵẖudā ke liye qurbān kī hai. 29sab kuchh ehatiyāt se mahfūz rakheṅ, aur jab āp yarūshalam pahuṅcheṅge to ise rabb ke ghar ke ḵẖazāne tak pahuṅchā kar rāhanumā imāmoṅ, lāviyoṅ aur ḵẖāndānī sarparastoṅ kī maujūdgī meṅ dubārā tolnā.”

30phir imāmoṅ aur lāviyoṅ ne sonā-chāṅdī aur bāqī sāmān le kar use yarūshalam meṅ hamāre ḵẖudā ke ghar meṅ pahuṅchāne ke liye mahfūz rakhā.

yarūshalam tak safar

31ham pahale mahīne ke 12veṅ din [a] 19 aprail. ahāvā nahar se yarūshalam ke liye ravānā hue. allāh kā shafīq hāth ham par thā, aur us ne hameṅ rāste meṅ dushmanoṅ aur ḍākuoṅ se mahfūz rakhā. 32ham yarūshalam pahuṅche to pahale tīn din ārām kiyā. 33chauthe din ham ne apne ḵẖudā ke ghar meṅ sonā-chāṅdī aur bāqī maḵẖsūs sāmān tol kar imām marīmot bin ūriyāh ke havāle kar diyā. us vaqt ilīazar bin fīnhās aur do lāvī banām yūzbad bin yashūa aur nauadiyāh bin binnūī us ke sāth the. 34har chīz ginī aur tolī gaī, phir us kā pūrā vazan faharist meṅ darj kiyā gayā.

35is ke bād jilāvatanī se vāpas āe hue tamām logoṅ ne isrāīl ke ḵẖudā ko bhasm hone vālī qurbāniyāṅ pesh kīṅ. is nāte se unhoṅ ne pūre isrāīl ke liye 12 bail, 96 meṅḍhe, bheṛ ke 77 bacche aur gunāh kī qurbānī ke 12 bakre qurbān kie.

36musāfiroṅ ne daryā-e-furāt ke maġribī ilāqe ke gavarnaroṅ aur hākimoṅ ko shahanshāh kī hidāyāt pahuṅchāīṅ. in ko paṛh kar unhoṅ ne isrāīlī qaum aur allāh ke ghar kī himāyat kī.

[a] 19 aprail.