Azrā 9
ġairyahūdī bīviyoṅ par afsos
1-2 kuchh der bād qaum ke rāhanumā mere pās āe aur kahane lage, “qaum ke ām logoṅ, imāmoṅ aur lāviyoṅ ne apne āp ko mulk kī dīgar qaumoṅ se alag nahīṅ rakhā, go yah ghinaune rasm-o-rivāj ke pairokār haiṅ. un kī aurtoṅ se shādī karke unhoṅ ne apne beṭoṅ kī bhī shādī un kī beṭiyoṅ se karāī hai. yūṅ allāh kī muqaddas qaum kan’āniyoṅ, hittiyoṅ, farizziyoṅ, yabūsiyoṅ, ammoniyoṅ, moābiyoṅ, misriyoṅ aur amoriyoṅ se ālūdā ho gaī hai. aur buzurgoṅ aur afsaroṅ ne is bevafāī meṅ pahal kī hai!”
3yah sun kar maiṅ ne raṅjīdā ho kar apne kapṛoṅ ko phāṛ liyā aur sar aur dāṛhī ke bāl noch noch kar naṅge farsh par baiṭh gayā. 4vahāṅ maiṅ shām kī qurbānī tak behiss-o-harkat baiṭhā rahā. itne meṅ bahut se log mere ird-gird jamā ho gae. vah jilāvatanī se vāpas āe hue logoṅ kī bevafāī ke bāis tharathrā rahe the, kyūṅki vah isrāīl ke ḵẖudā ke javāb se nihāyat ḵẖaufzadā the. 5shām kī qurbānī ke vaqt maiṅ vahāṅ se uṭh khaṛā huā jahāṅ maiṅ taubā kī hālat meṅ baiṭhā huā thā. vahī phaṭe hue kapṛe pahane hue maiṅ ghuṭne ṭek kar jhuk gayā aur apne hāthoṅ ko āsmān kī taraf uṭhāe hue rabb apne ḵẖudā se duā karne lagā,
6“ai mere ḵẖudā, maiṅ nihāyat sharmindā hūṅ. apnā muṅh terī taraf uṭhāne kī mujh meṅ jur’at nahīṅ rahī. kyūṅki hamāre gunāhoṅ kā itnā baṛā ḍher lag gayā hai ki vah ham se ūṅchā hai, balki hamārā qusūr āsmān tak pahuṅch gayā hai. 7hamāre bāpdādā ke zamāne se le kar āj tak hamārā qusūr sanjīdā rahā hai. isī vajah se ham bār bār pardesī hukmarānoṅ ke qabze meṅ āe haiṅ jinhoṅ ne hameṅ aur hamāre bādshāhoṅ aur imāmoṅ ko qatl kiyā, giriftār kiyā, lūṭ liyā aur hamārī behuramtī kī. balki āj tak hamārī hālat yahī rahī hai.
8lekin is vaqt rabb hamāre ḵẖudā ne thoṛī der ke liye ham par meharbānī kī hai. hamārī qaum ke bache khache hisse ko us ne rihāī de kar apne muqaddas maqām par mahfūz rakhā hai. yūṅ hamāre ḵẖudā ne hamārī āṅkhoṅ meṅ dubārā chamak paidā kī aur hameṅ kuchh sukūn muhayyā kiyā hai, go ham ab tak ġulāmī meṅ haiṅ. 9beshak ham ġulām haiṅ, to bhī allāh ne hameṅ tark nahīṅ kiyā balki fārs ke bādshāh ko ham par meharbānī karne kī taharīk dī hai. us ne hameṅ az sar-e-nau zindagī atā kī hai tāki ham apne ḵẖudā kā ghar dubārā tāmīr aur us ke khaṅḍarāt bahāl kar sakeṅ. allāh ne hameṅ yahūdāh aur yarūshalam meṅ ek mahfūz chārdīvārī se gher rakhā hai.
10lekin ai hamāre ḵẖudā, ab ham kyā kaheṅ? apnī in harkatoṅ ke bād ham kyā javāb deṅ? ham ne tere un ahkām ko nazar’andāz kiyā hai 11jo tū ne apne ḵẖādimoṅ yānī nabiyoṅ kī mārifat die the.
tū ne farmāyā, ‘jis mulk meṅ tum dāḵẖil ho rahe ho tāki us par qabzā karo vah us meṅ rahane vālī qaumoṅ ke ghinaune rasm-o-rivāj ke sabab se nāpāk hai. mulk ek sire se dūsre sire tak un kī nāpākī se bhar gayā hai. 12lihāzā apnī beṭiyoṅ kī un ke beṭoṅ ke sāth shādī mat karvānā, na apne beṭoṅ kā un kī beṭiyoṅ ke sāth rishtā bāṅdhnā. kuchh na karo jis se un kī salāmatī aur kāmyābī baṛhtī jāe. tab hī tum tāqatvar ho kar mulk kī acchhī paidāvār khāoge, aur tumhārī aulād hameshā tak mulk kī acchhī chīzeṅ virāsat meṅ pātī rahegī.’
13ab ham apnī sharīr harkatoṅ aur baṛe qusūr kī sazā bhugat rahe haiṅ, go ai allāh, tū ne hameṅ itnī saḵẖt sazā nahīṅ dī jitnī hameṅ milnī chāhie thī. tū ne hamārā yah bachā khachā hissā zindā chhoṛā hai. 14to kyā yah ṭhīk hai ki ham tere ahkām kī ḵẖilāfvarzī karke aisī qaumoṅ se rishtā bāṅdheṅ jo is qism kī ghinaunī harkateṅ kartī haiṅ? hargiz nahīṅ! kyā is kā yah natījā nahīṅ niklegā ki terā ġazab ham par nāzil ho kar sab kuchh tabāh kar degā aur yah bachā khachā hissā bhī ḵẖatm ho jāegā? 15ai rabb isrāīl ke ḵẖudā, tū hī ādil hai. āj ham bache hue hisse kī haisiyat se tere huzūr khaṛe haiṅ. ham qusūrvār haiṅ aur tere sāmne qāim nahīṅ rah sakte.”