Paidāish 15
abrām ke sāth rabb kā ahd
1is ke bād rabb royā meṅ abrām se hamkalām huā, “abrām, mat ḍar. maiṅ hī terī sipar hūṅ, maiṅ hī terā bahut baṛā ajr hūṅ.”
2lekin abrām ne etirāz kiyā, “ai rabb qādir-e-mutlaq, tū mujhe kyā degā jabki abhī tak mere hāṅ koī bacchā nahīṅ hai aur ilīazar damishqī merī mīrās pāegā. 3tū ne mujhe aulād nahīṅ baḵẖshī, is liye mere gharāne kā naukar merā vāris hogā.” 4tab abrām ko allāh se ek aur kalām milā. “yah ādmī ilīazar terā vāris nahīṅ hogā balki terā apnā hī beṭā terā vāris hogā.” 5rabb ne use bāhar le jā kar kahā, “āsmān kī taraf dekh aur sitāroṅ ko ginne kī koshish kar. terī aulād itnī hī beshumār hogī.”
6abrām ne rabb par bharosā rakhā. is binā par allāh ne use rāstbāz qarār diyā.
7phir rabb ne us se kahā, “maiṅ rabb hūṅ jo tujhe kasdiyoṅ ke ūr se yahāṅ le āyā tāki tujhe yah mulk mīrās meṅ de dūṅ.” 8abrām ne pūchhā, “ai rabb qādir-e-mutlaq, maiṅ kis tarah jānūṅki is mulk par qabzā karūṅgā?” 9javāb meṅ rabb ne kahā, “mere huzūr ek tīnsālā gāy, ek tīnsālā bakrī aur ek tīnsālā meṅḍhā le ā. ek qumrī aur ek kabūtar kā bacchā bhī le ānā.” 10abrām ne aisā hī kiyā aur phir har ek jānvar ko do hissoṅ meṅ kāṭ kar un ko ek dūsre ke āmne-sāmne rakh diyā. lekin parindoṅ ko us ne sālim rahane diyā. 11shikārī parinde un par utarne lage, lekin abrām unheṅ bhagātā rahā.
12jab sūraj ḍūbne lagā to abrām par gaharī nīṅd tārī huī. us par dahshat aur aṅdherā hī aṅdherā chhā gayā. 13phir rabb ne us se kahā, “jān le ki terī aulād aise mulk meṅ rahegī jo us kā nahīṅ hogā. vahāṅ vah ajnabī aur ġulām hogī, aur us par 400 sāl tak bahut zulm kiyā jāegā. 14lekin maiṅ us qaum kī adālat karūṅgā jis ne use ġulām banāyā hogā. is ke bād vah baṛī daulat pā kar us mulk se nikaleṅge. 15tū ḵẖud umrrasīdā ho kar salāmatī ke sāth intiqāl karke apne bāpdādā se jā milegā aur dafnāyā jāegā. 16terī aulād kī chauthī pusht ġairvatan se vāpas āegī, kyūṅki us vaqt tak maiṅ amoriyoṅ ko bardāsht karūṅgā. lekin āḵẖirkār un ke gunāh itne saṅgīn ho jāeṅge ki maiṅ unheṅ mulk-e-kan’ān se nikāl dūṅgā.”
17sūraj ġurūb huā. aṅdherā chhā gayā. achānak ek dhuāṅdār tanūr aur ek bhaṛaktī huī mash’al nazar āī aur jānvaroṅ ke do do ṭukṛoṅ ke bīch meṅ se guzre.
18us vaqt rabb ne abrām ke sāth ahd kiyā. us ne kahā, “maiṅ yah mulk-e-misr kī sarhadd se furāt tak terī aulād ko dūṅgā, 19agarchi abhī tak is meṅ qīnī, qanizzī, kadmūnī, 20hittī, farizzī, rafāī, 21amorī, kan’ānī, jirjāsī aur yabūsī ābād haiṅ.”