Paidāish 20
ibrāhīm aur abīmlik
1ibrāhīm vahāṅ se junūb kī taraf dasht-e-najab meṅ chalā gayā aur qādis aur shūr ke darmiyān jā basā. kuchh der ke liye vah jirār meṅ ṭhaharā, lekin ajnabī kī haisiyat se. 2vahāṅ us ne logoṅ ko batāyā, “sārā merī bahan hai.” is liye jirār ke bādshāh abīmlik ne kisī ko bhijvā diyā ki use mahal meṅ le āe.
3lekin rāt ke vaqt allāh ḵẖwāb meṅ abīmlik par zāhir huā aur kahā, “maut tere sar par khaṛī hai, kyūṅki jo aurat tū apne ghar le āyā hai vah shādīshudā hai.”
4asal meṅ abīmlik abhī tak sārā ke qarīb nahīṅ gayā thā. us ne kahā, “mere āqā, kyā tū ek bequsūr qaum ko bhī halāk karegā? 5kyā ibrāhīm ne mujh se nahīṅ kahā thā ki sārā merī bahan hai? aur sārā ne us kī hāṅ meṅ hāṅ milāī. merī nīyat acchhī thī aur maiṅ ne ġalat kām nahīṅ kiyā.” 6allāh ne kahā, “hāṅ, maiṅ jāntā hūṅ ki is meṅ terī nīyat acchhī thī. is liye maiṅ ne tujhe merā gunāh karne aur use chhūne se rok diyā. 7ab us aurat ko us ke shauhar ko vāpas kar de, kyūṅki vah nabī hai aur tere liye duā karegā. phir tū nahīṅ maregā. lekin agar tū use vāpas nahīṅ karegā to jān le ki terī aur tere logoṅ kī maut yaqīnī hai.”
8abīmlik ne subah-savere uṭh kar apne tamām kārindoṅ ko yah sab kuchh batāyā. yah sun kar un par dahshat chhā gaī. 9phir abīmlik ne ibrāhīm ko bulā kar kahā, “āp ne hamāre sāth kyā kiyā hai? maiṅ ne āp ke sāth kyā ġalat kām kiyā ki āp ne mujhe aur merī saltanat ko itne saṅgīn jurm meṅ phaṅsā diyā hai? jo sulūk āp ne hamāre sāth kar dikhāyā hai vah kisī bhī shaḵẖs ke sāth nahīṅ karnā chāhie. 10āp ne yah kyūṅ kiyā?”
11ibrāhīm ne javāb diyā, “maiṅ ne apne dil meṅ kahā ki yahāṅ ke log allāh kā ḵẖauf nahīṅ rakhte hoṅge, is liye vah merī bīvī ko hāsil karne ke liye mujhe qatl kar deṅge. 12haqīqat meṅ vah merī bahan bhī hai. vah mere bāp kī beṭī hai agarchi us kī aur merī māṅ farq haiṅ. yūṅ maiṅ us se shādī kar sakā. 13phir jab allāh ne hone diyā ki maiṅ apne bāp ke gharāne se nikal kar idhar udhar phirūṅto maiṅ ne apnī bīvī se kahā, ‘mujh par yah meharbānī kar ki jahāṅ bhī ham jāeṅ mere bāre meṅ kah denā ki vah merā bhāī hai’.”
14phir abīmlik ne ibrāhīm ko bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail, ġulām aur lauṅḍiyāṅ de kar us kī bīvī sārā ko use vāpas kar diyā. 15us ne kahā, “merā mulk āp ke liye khulā hai. jahāṅ jī chāhe us meṅ jā baseṅ.” 16sārā se us ne kahā, “maiṅ āp ke bhāī ko chāṅdī ke hazār sikke detā hūṅ. is se āp aur āp ke logoṅ ke sāmne āp ke sāth kie gae nārvā sulūk kā izālā ho aur āp ko bequsūr qarār diyā jāe.”
17-18 tab ibrāhīm ne allāh se duā kī aur allāh ne abīmlik, us kī bīvī aur us kī lauṅḍiyoṅ ko shifā dī, kyūṅki rabb ne abīmlik ke gharāne kī tamām aurtoṅ ko sārā ke sabab se bāṅjh banā diyā thā. lekin ab un ke hāṅ dubārā bacche paidā hone lage.