Paidāish 30
1lekin rāḵẖil beaulād hī rahī, is liye vah apnī bahan se hasad karne lagī. us ne yāqūb se kahā, “mujhe bhī aulād deṅ varnā maiṅ mar jāūṅgī.” 2yāqūb ko ġussā āyā. us ne kahā, “kyā maiṅ allāh hūṅ jis ne tujhe aulād se maharūm rakhā hai?” 3rāḵẖil ne kahā, “yahāṅ merī lauṅḍī bilhāh hai. us ke sāth hambistar hoṅ tāki vah mere liye bacche ko janm de aur maiṅ us kī mārifat māṅ ban jāūṅ.”
4yūṅ us ne apne shauhar ko bilhāh dī, aur vah us se hambistar huā. 5bilhāh hāmilā huī aur beṭā paidā huā. 6rāḵẖil ne kahā, “allāh ne mere haq meṅ faislā diyā hai. us ne merī duā sun kar mujhe beṭā de diyā hai.” us ne us kā nām dān yānī ‘kisī ke haq meṅ faislā karne vālā’ rakhā.
7bilhāh dubārā hāmilā huī aur ek aur beṭā paidā huā. 8rāḵẖil ne kahā, “maiṅ ne apnī bahan se saḵẖt kushtī laṛī hai, lekin jīt gaī hūṅ.” us ne us kā nām naftālī yānī ‘kushtī meṅ mujh se jītā gayā’ rakhā.
9jab liyāh ne dekhā ki mere aur bacche paidā nahīṅ ho rahe to us ne yāqūb ko apnī lauṅḍī zilfā de dī tāki vah bhī us kī bīvī ho. 10zilfā ke bhī ek beṭā paidā huā. 11liyāh ne kahā, “maiṅ kitnī ḵẖushqismat hūṅ!” chunāṅche us ne us kā nām jad yānī ḵẖushqisamtī rakhā.
12phir zilfā ke dūsrā beṭā paidā huā. 13liyāh ne kahā, “maiṅ kitnī mubārak hūṅ. ab ḵẖavātīn mujhe mubārak kaheṅgī.” us ne us kā nām āshar yānī mubārak rakhā.
14ek din anāj kī fasal kī kaṭāī ho rahī thī ki rūbin bāhar nikal kar khetoṅ meṅ chalā gayā. vahāṅ use mardumagayāh [a] ek paudā jis ke bāre meṅ ḵẖayāl kiyā jātā thā ki use khā kar bāṅjh aurat bhī bacche ko janm degī. mil gae. vah unheṅ apnī māṅ liyāh ke pās le āyā. yah dekh kar rāḵẖil ne liyāh se kahā, “mujhe zarā apne beṭe ke mardumagayāh meṅ se kuchh de do.” 15liyāh ne javāb diyā, “kyā yahī kāfī nahīṅ ki tum ne mere shauhar ko mujh se chhīn liyā hai? ab mere beṭe ke mardumagayāh ko bhī chhīnnā chāhatī ho.” rāḵẖil ne kahā, “agar tum mujhe apne beṭe ke mardumagayāh meṅ se do to āj rāt yāqūb ke sāth so saktī ho.”
16shām ko yāqūb khetoṅ se vāpas ā rahā thā ki liyāh āge se us se milne ko gaī aur kahā, “āj rāt āp ko mere sāth sonā hai, kyūṅki maiṅ ne apne beṭe ke mardumagayāh ke ivz āp ko ujrat par liyā hai.” chunāṅche yāqūb ne liyāh ke pās rāt guzārī.
17us vaqt allāh ne liyāh kī duā sunī aur vah hāmilā huī. us ke pāṅchvāṅ beṭā paidā huā. 18liyāh ne kahā, “allāh ne mujhe is kā ajr diyā hai ki maiṅ ne apne shauhar ko apnī lauṅḍī dī.” us ne us kā nām ishkār yānī ajr rakhā.
19is ke bād vah ek aur dafā hāmilā huī. us ke chhaṭā beṭā paidā huā. 20us ne kahā, “allāh ne mujhe ek acchhā-ḵẖāsā tuhfā diyā hai. ab merā ḵẖāvand mere sāth rahegā, kyūṅki mujh se us ke chhah beṭe paidā hue haiṅ.” us ne us kā nām zabūlūn yānī rihāish rakhā.
21is ke bād beṭī paidā huī. us ne us kā nām dīnā rakhā.
22phir allāh ne rāḵẖil ko bhī yād kiyā. us ne us kī duā sun kar use aulād baḵẖshī. 23vah hāmilā huī aur ek beṭā paidā huā. us ne kahā, “mujhe beṭā atā karne se allāh ne merī izzat bahāl kar dī hai. 24rabb mujhe ek aur beṭā de.” us ne us kā nām yūsuf yānī ‘vah aur de’ rakhā.
yāqūb kā lāban ke sāth saudā
25yūsuf kī paidāish ke bād yāqūb ne lāban se kahā, “ab mujhe ijāzat deṅ ki maiṅ apne vatan aur ghar ko vāpas jāūṅ. 26mujhe mere bāl-bacche deṅ jin ke ivz maiṅ ne āp kī ḵẖidmat kī hai. phir maiṅ chalā jāūṅgā. āp to ḵẖud jānte haiṅ ki maiṅ ne kitnī mehanat ke sāth āp ke liye kām kiyā hai.”
27lekin lāban ne kahā, “mujh par meharbānī kareṅ aur yahīṅ raheṅ. mujhe ġaibdānī se patā chalā hai ki rabb ne mujhe āp ke sabab se barkat dī hai. 28apnī ujrat ḵẖud muqarrar kareṅ to maiṅ vahī diyā karūṅgā.”
29yāqūb ne kahā, “āp jānte haiṅ ki maiṅ ne kis tarah āp ke liye kām kiyā, ki mere vasīle se āp ke maveshī kitne baṛh gae haiṅ. 30jo thoṛā bahut mere āne se pahale āp ke pās thā vah ab bahut ziyādā baṛh gayā hai. rabb ne mere kām se āp ko bahut barkat dī hai. ab vah vaqt ā gayā hai ki maiṅ apne ghar ke liye kuchh karūṅ.”
31lāban ne kahā, “maiṅ āp ko kyā dūṅ?” yāqūb ne kahā, “mujhe kuchh na deṅ. maiṅ is shart par āp kī bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl jārī rakhūṅgā ki 32āj maiṅ āp ke revaṛ meṅ se guzar kar un tamām bheṛoṅ ko alag kar lūṅgā jin ke jism par chhoṭe yā baṛe dhabbe hoṅ yā jo safed na hoṅ. isī tarah maiṅ un tamām bakriyoṅ ko bhī alag kar lūṅgā jin ke jism par chhoṭe yā baṛe dhabbe hoṅ. yahī merī ujrat hogī. 33āindā jin bakriyoṅ ke jism par chhoṭe yā baṛe dhabbe hoṅge yā jin bheṛoṅ kā raṅg safed nahīṅ hogā vah merā ajr hoṅgī. jab kabhī āp un kā muāinā kareṅge to āp mālūm kar sakeṅge ki maiṅ diyānatdār rahā hūṅ. kyūṅki mere jānvaroṅ ke raṅg se hī zāhir hogā ki maiṅ ne āp kā kuchh churāyā nahīṅ hai.” 34lāban ne kahā, “ṭhīk hai. aisā hī ho jaisā āp ne kahā hai.”
35usī din lāban ne un bakroṅ ko alag kar liyā jin ke jism par dhāriyāṅ yā dhabbe the aur un tamām bakriyoṅ ko jin ke jism par chhoṭe yā baṛe dhabbe the. jis ke bhī jism par safed nishān thā use us ne alag kar liyā. isī tarah us ne un tamām bheṛoṅ ko bhī alag kar liyā jo pūre taur par safed na the. phir lāban ne unheṅ apne beṭoṅ ke sapurd kar diyā 36jo un ke sāth yāqūb se itnā dūr chale gae ki un ke darmiyān tīn din kā fāsilā thā. tab yāqūb lāban kī bāqī bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl kartā gayā.
37yāqūb ne safedā, bādām aur chanār kī harī harī shāḵẖeṅ le kar un se kuchh chhilkā yūṅ utār diyā ki us par safed dhāriyāṅ nazar āīṅ. 38us ne unheṅ bheṛ-bakriyoṅ ke sāmne un hauzoṅ meṅ gāṛ diyā jahāṅ vah pānī pīte the, kyūṅki vahāṅ yah jānvar mast ho kar milāp karte the. 39jab vah in shāḵẖoṅ ke sāmne milāp karte to jo bacche paidā hote un ke jism par chhoṭe aur baṛe dhabbe aur dhāriyāṅ hotī thīṅ. 40phir yāqūb ne bheṛ ke bacchoṅ ko alag karke apne revṛoṅ ko lāban ke un jānvaroṅ ke sāmne charne diyā jin ke jism par dhāriyāṅ thīṅ aur jo safed na the. yūṅ us ne apne zātī revṛoṅ ko alag kar liyā aur unheṅ lāban ke revaṛ ke sāth charne na diyā.
41lekin us ne yah shāḵẖeṅ sirf us vaqt hauzoṅ meṅ khaṛī kīṅ jab tāqatvar jānvar mast ho kar milāp karte the. 42kamzor jānvaroṅ ke sāth us ne aisā na kiyā. isī tarah lāban ko kamzor jānvar aur yāqūb ko tāqatvar jānvar mil gae. 43yūṅ yāqūb bahut amīr ban gayā. us ke pās bahut se revaṛ, ġulām aur lauṅḍiyāṅ, ūṅṭ aur gadhe the.